assalamwalekum wa rehmatullahi wa barakatahu · pdf fileghaib k maine gaib woh chupi hui chiz...

132

Upload: lythuan

Post on 23-Feb-2018

375 views

Category:

Documents


33 download

TRANSCRIPT

Assalamwalekum wa rehmatullahi wa barakatahu

Is Kitaab ko Likhne ka maqsad hai ki humare Sunni Bhaiyon k saamne ILM

e Ghaib jaankari baatna,in sha ALLAH is kitab me har woh chiz maujud hai

jo Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka Ilm e ghaib saabit karta hai

aur yaha tak ki Wahbi,Deoband,Ahle Hadees aur digar firqe jo Ilm e ghaib ka

inkaar karte hai aur jo ALLAH ki ataai pe ungli uthate hai.Unka ka b parda

fash kiya gaya hai aur saath hi un k sawalaat o jawabaat b diye gaye hai.

ALLAH se dua hai ki Humne is kitaab me jo likha hai use ALLAH apni

bargah me qabul kare aur humare Tamam Sunni Sahi ul Aqeeda mazboot

kare..

Aameen...Sum Aameen....

Index

1) GHAIB k Maine.

2) Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..

3) ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib

4) ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni

main.

5) ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni

main 6) Ilm e ghaib woh aayat jo ALLAH ka Zaati aur Khaas

Ilm e Ghaib saabit karti hai lekin Gustakh use NABI

Sallallahualaihiwasallam ki ilm e ghaib ki nafi ki dalil

lete hai...

7) Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib

ki Nafi k liye Dalil lete hai aur unke jawabaat...

8) Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par 9) Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me

10) Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me

GHAIB k Maine

Gaib woh chupi hui chiz hai jis ko INSAAN na to Aankh, Kaan, Naak wagera,

ya kisi Hawaas se Mehsoos kar sake, aur na Bila Daleel Aqal main Aasake.

For E.g:

Khanon ki lazzaten (TASTE), aur in ki Khushbu wagera hamare liye GAIB

nahin, q k Yeh Aankh se Chupay hone k Baawajood, dusre Hawaas (Naak,

zabaan) se Mehsoos ki ja sakti hain,

Ab Gaib kya hoga...

Jinnat, Malaika (Farishtey), aur Jannat aur Dozakh Wagera hamare liye is

waqt GAIB hain..

Q k Yeh na Hawaas se maalooom hosakte hain, aur na hi Bila Daleel E Aqal

se,..

Ab GAIB hote hain, 2 tarah k..

1) Woh GAIB, jis par koi Daleel Qaim hosake, Yaani Dalael se maaloom

hosake..

For E.g: Jese Jannat, Dosakh aur ALLAH TA'ALA ki Zaat o SIFFAAT... k In

Baaton ka Andaza, Is DUNIYA ki Cheezen dekh k aur QURA'ANI

AAYAAT dekh kar pata chalta hai..

2) Dusra GAIB woh jis ko Kisi DALEEL se Bhi Maaloom na kiya ja sake,

FOR E.g:

QAYAMAT ka ILM, K Kab hogi??, INSAAN kab Marega??, Aur Aurat k

Pait main Larka hai ya Larki, Bad Bakht (Buri) Aulaad hai, Ya NAIK

BAKHT (NAIK) AULAAD, yeh woh Baaten hain, jin ko Daleel se bhi maaloom

nahin kiya ja sakta...

Isi Dusrey GAIB (TYPE) ko Mafateh-AL-GAIB, kaha jata hai..

Ek Aayat hai Qura'an ki (Parah#29, Surah#72, Aayat#26,27).. Uski Tafseer

Bezaawi main is hi Aayat k Tehet, Gaib ki Kuch yun Taareef ki gai hai:

"GAIB se Muraad woh chupi huwi CHEEZ hai, jis ko Hawaas na Pa saken aur

na Badahatan usko Aqal chahe"

Tafseer Kabeer Suarh Baqar k Shoru main Isi Aayat k Ma Tehet hai:

" Aam Mufassareen ka Qol hai, k GAIB woh hai, jo Hawaas se Chupa ho,

Phir GAIB ki 2 Qismen hoti hai, Ek to woh jis par Daleel ho, dusri woh jis par

koi Daleel nahin"

Tafsser ROOH ur Bayaan main Shoru SURAH E BAQAR k Ma Tehet hai:

" GAIB woh hai, jo HAWAAS aur AQAL se poora poora chupa ho, is tarah k

kisi Zariye se bhiIBTADA'AN, KHULLAM KHULLA maaloom na hosake,

GAIB ki 2 QISMEN (TYPES) hain, Ek woh jis par koi Daleel na ho, woh hi is

Aayat se Muraaad hai, k ALLAH TA'ALA k Paass GAIB ki Kunjiyaan

(CHABIYAAN) hain, dusri Qisam woh jis par Daleel Qaim ho, Jese ALLAH

TA'ALAaur Uski Siffaat, woh hi is Jagah Muraad hai"

(YEH TAMAAM TAFASEER IS LIYE LIKHI HAIN TAA K AAP KO YEH NA

LAGE K MAIN GAIB KI TAAREEF APNI MARZI SE BATA RAHA HUN, Yeh

Taareef Muffassareen se Sabit haii,..JazakALLAH)

Ahle Sunnat wal jama’at ka Aqeeda ILM e Gaib par..

Ap Salallaho Alaihi Wasalam ka Ilm e Gaib Atai ha aur Jis Waqt Quran ki Akhri

Ayat Nazil Hui Ap SalAllaho Alaihi Wasalam ka Ilam Mukamal hogaya. Yani AP

SALALLAHO ALAIHI WASALAM KO PEHLE ILAM ATA KIA GAYA PHIR

AHISTA AHISTA QUL ILAM ATA KERDIGA AYA...

HAWALA MUQALAAT E KAZMI PAGE 111 JILD 2 PE AND 156 HAQ

PER KON HAI.

GAIB ki Taareef aur is ki IQSAAM (TYPES):

Gaib k meaning hy..Aisi chizen jo Aam Adami Na dekh Sake..Aur...Gaib ki

khabar dene waaale ko Nabi kehte hai.

Nabi to kehte hi use hai Jo Gayb Ki khabar deta ho...

Aur hmaare Aaqa sal-lal-lahu alai hi wa sallam to Nabi k saath saath RASOOL

BHI HAIN..

kya kisi ne kabi ALLAH (Subhana wa taaala) KO DEKHA HAI..?

KABHI JIBRAEL Alaihis Salaam KO DEKHA HAI..

KABHI KISI FARISHTE KO DEKHA HAI..

Beshak nai... to in GAIB Ki cheezon par Imaan kaise laaya ..

Nabi ne hi to bataaya ...aur Agar koi kahe...Nabi ko Gayb ka Ilm nai tha tab to

Uska Imaan hi khaariz hogya..

Quraan may aata hai...."Wa maa yantikhu anil hawaa". "Aur woh apni marzi say

kuch nahi kehtay (Muhammad Sallallahu alai wa salam) Surah najam aayat no.3

"Khudaa ki Razaa pay razii Muhammad

Razaa e Muhammad pay Razii Khudaa"

Shaykh al-Islam, Hafiz Ibn Hajar al-'Asqalani, writes:

"One of the qualities bestowed upon a Prophet is the quality that he knows what

has already happened in the past and what will happen in the future"..Urdu

translation..."Nabi ki ek Khubi yeh hai k ..Wo Jante hy jo ho chuka hy past

(mazi)me, aur kiya hoga future (mustaqbil) me.."

[Fath al-Bari, chapter on 'The Anbiya']

ILM-E-GHAIB ka inkaar KUFAR hai

Q : ILM-E-GHAIB kya hai ?

A : ILM-E-GHAIB, future may honay walay WAAQIYAAT hain.

Q : Kya hum ALLAH-TALA ko GHAIB keh saktay hain ?

A : HAAN, kyun k ALLAH-TALA ki zaat MAKHFEE hai, is liyay.

Q : Hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray mai kaisay pata chala ?

A : hum ko ALLAH-TALA kay baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa

sallam)) nay bataya.

Q : is ka matlab yay howa kay agar pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) ki

zaat nahi hoti,

to hum ko ALLAH-TALA ki zaat k baray may pata nahi chalta ?

A : jee haan offcourse, ap nay sahi farmaya.

To sabit yay howa k ALLAH-TALA ki zaat GHAIB hai.

hum ko ALLAH-TALA k baray mai pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam))

say pata chala.

jis nay pyaray nabi ( (sal-lal-lahu alai hi wa sallam)) kay ILM-E-GHAIB ka inkaar

kiya...goya.

us nay ALLAH-TALA ki zaat ko man-nay say INKAAR kiya.

aur jo ALLAH-TALA ko man-nay say INKAAR karay.

wo KAAFIR nahi to aur kiya hai ?

ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib

ZAATI :- ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya

nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi

maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi

hui nahi hai.

ATAAI :- Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm Ataai hai,Yaani k

ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka jo

ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna

Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap

Sallallahualaihiwasallam ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai.Ataai ilm ki

Dalil surah Al Baqrah aayat no.255.

ILM-E-GAIB k Saboot QURA'AN ki roshni main.

Aayat#1:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB tum ko in sab par Nigehbaan bana kar hum la

denge ".(PARAH#5,Surah#4(Nisaa),Aayat#41)

Tafseer Nesha Poori main isi Aayat k Ma Tehet hai.

" Is liye Huzoor (Aleh Salaam) ki Rooh Mubarak tamaam Roohon aur Dilon

aur Nafson ko dekhne waali hai, Q k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya

k ALLAH ne jo pehle peda farmaya woh mera NOOR hai".

Tafseer ROOH UL BAYAAN main Isi Aayat k Ma Tehet hai.

" HUZOOR (ALEH SALAAM) par Aap ki ummat k Aamaal Subah-O-Shaaam

pesh kiye jaate hain, Lihaaza Aap UMMAT ko Un ki Alaamaat se Jaante hain,

aur In k Aaamaal ko Bhi, Is liye Aap in par GAWAHI denge".

Tafseer Madarak main Isi Aayat K Ma Tehet hai.

" HUZOOR (ALEH SALAAM) Gawah hain, Mominon par Un k Eemaan

k Kaafiron par un k Kufar kAur Munaafiqon par un k Naffaaq k".

Is Aayat aur In Tafaaseer se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) Az

Awwal ta Qayaamat tum logon k Kufr-o-Eemaan-o-Naffaaq-o-Aamaal wagera

sab ko Jaante hain, is liye Aap sab ki Gawahi denge, Yeh hi to ILM-E-

GAIB hai..

Aayat#2:

Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB

ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko

chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)

Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka

Matla'a kare, isKUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH

ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai,

aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese

Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen" (Anwaar Ul Tanzeel, Jild#1,

PAGE#308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)

Tafseer E Khazan main hai.

Tarjuma: " Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko

chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par." (Al Baab

Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Jild#1,

PAGE#308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)

Tafseer E Kabeer main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena,

Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai". (Tafseer Ul Kabeer,

JILD#9, PAGE#111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)

Tafseer E Jalalen main hai.

Tarjuma: " Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko

Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai"....

" KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq

karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant

leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH

SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya". (Tafseer-E-

Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)

Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH

SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..

ROOH Ul BAYAAN main hai.

Tarjuma: " Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager

RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se". (Tafseer E ROOH Ur Bayaan,

JILD#2, PAGE#162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)

Aayat#3:

(Surah # Al-Nisaa,Aayat no # 113)

Tarjuma: " Aur tum ko Sikha diya jo kuch tum na jaante the, aur ALLAH ka

tum par bara fazal hai".

Tafseer-E-Jalaleen, Page 97, main hai.

Tarjuma: "Yaani Aahkaam sikhae, aur ILM-E-GAIB sikhaya"

IMAAM Hussain Bin Mas'ood Bagwi 516 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " (Aur ALLAH ne aap ko woh sab Ilm Ata kar diye jo, aap nahin

jaante the) YaaniEhkaam main sab, aur ILM-E-GAIB main se. (Tafseer

Mo'allam Ul Tanzeel, Jild#1, Page#479, Matboo'a Darul Ma'arfa'a, Beroot)

Ab yeh jo baat likhi gai hai, yeh Tafseer aaj se Taqreeban 900 saal pelhle likhi

gai, agar yeh baat galat hoti, to Kiya in likhne waale sahab ko roka na jaata???

Tafseer-E-Madarik main hai.

Tarjuma: " Deen aur Shariyat k Umoor Sikhae, aur chupi huwi baaten, Dilon

k Raaz batae".(Tafseer-E-Madarik, Jil#1, Page#282, Matboo'a Maktab Ul

Qura'an, Peshawar)

Jaame Al Bayaan main hai.

Tarjuma: " Yaani Aap ko woh sab baaten bata din, jo Aap Qura'an k Nuzool se

pehle na jaante the". (Tafseer-E-Tibri, Jild#5, Page#270, Matboo'a Dar Ul

Fikar, Beroot)

Is Aayat aur in Tafaseer se maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko

tamaam Aaenda aur Guzishta Waakiyaat ki Khabar di gai, Yaani ILM-E-

GAIB..

Aayat#4:

Tarjuma: " Tum Apne RAB k Fazal se Majnoon nahin". (PARAH#29,

SURAH#68 (Surah Qalam), AAYAT#2)

Tafseer-E-ROOH UR BAYAAN main isi Aayat k Ma Tehet hai.

Tarjuma: " Yaani Aap se woh Baaten chuip huwi nahin hain, jo Azal main

thin, aur jo Abad tak hongi, Q K jin k Maaenay (Meaning) hain chupna, Aap us

ko jaantay hain jo ho chuka, aur KHABARDAAR hain us k jo hoga".

Is Aayat ki is Tafseer se Saaf Saaf ILM-E-GAIB k baaray main Maaloom hota

hai..

Aayat#5:

Tarjuma: " Aur Ae MEHBOOB agar tum in se puchoge, to kahenge k hum to

Yun hi Hansi Khel main the". (PARAH#10, SURAH#9 Surah Tawbah,

AAYAT#65)

Tafseer Dar Mansoor O Tarbi main isi Aayat k Ma Tehet:

Tarjuma: " HAZRAT MUJAHID (Razi ALLAH Anho) se riwayat hai, is Aayat

k Nuzool k Baaray main hai k Ek Munaafiq ne kaha k MUHAMMAD (Sallalaho

Aleh Wassallam) Khabar dete hain, k Falaan ki Oontni (Camel) Falaan

JANGAL main Hai, In ko GAIB ki kiya KHABAR". ( Al-Darar Al Masoorni Fi

Tafseer, Al-Maasoor, SURAH TOBA, Aayat#65, Jild#3, PAGE#456, Matboo'a

Darul Qutub Ul ILMIYA, Beroot)

Bad Aqeedah logon se Darkhuwast hai k Baar baar parhen, k Ek Munaafiq ne

kaha tha k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko GAIB ki Kiya khabar.. Arey hosh

karo, GUSTAAKHON tum b Munaafiqon k Aqaid pe chalte ho.. hosh

karo.. ALLAH ka KHOF karo..

IMAAM MUJAAHID Bin Jabar Al Makhzoomi At'Taba'i, 104 HIJRI main..

(Yaani Aaj se taqreeban 1300 saal pehle) likhte hain:

TARJUMA: " IMAAM MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) is Aayat ki

Tafseer main Farmatay hain, k Ek MUNAAFIQ ne kaha MUHAMMAD (ALEH

SALAAM) humen yeh HADEES sunaate hain k FALAAN SHAKHS

ki Oontni (Camel) FALAAN Waadi main FALAAN FALAAN din hai, Yeh

GAIB ko Kiya Jaanen". (Tafseer MUJAAHID, Tehet, Surah TOBA, Aayat#66,

JILD#1,PAGE#283, Matboo'a Al Mansooraat, Ul ILMIYA, BEROOT)

IMAAM ABU JAAFAR BIN JAREER TIBRI 311 Hijri main IMAAM

MUJAAHID (REHMATULLAH ALEH) se Riwayat nakal karte hain:

" Inhon ne farmaya k Munaafiqeen main se ek SHAKHS ne kaha

k MUHAMMAD (ALEH SALAAM) hum se bayaan karte hain k FALAAN ki

Oontni Falaan Falaan Waadi main hai, Bhala woh GAIB ki Baaten kiya jaanen".

(Jaamay Ul Bayaan, Fi TAfseer Ul Qura'an, Al Maaroof Tafseer Tibri, Surah

TOBA, Aayat#65, Jild#10, PAGE#196, Matboo'a Daarul Haya, Beroot)

Is Aayat aur Tafseer se Saaf Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) k

GAIB se Inkaar karna MUNAAFIQEEN ka Kaam tha, Jis ko QURA'AN ne

Kufar qarar diya..

Aayat#6:

Tarjuma: " Tu Apne GAIB par kisi ko Musallat nahin karta siwae apne

Pasandeedah Rasoolon k ".

Tafseer Azeezi main Isi Aayat k Ma Tehet, Page 173 pe hai:

Tarjuma: " Jo cheez Tamaam MAKHLOOQAAT se Gayab ho, Woh Gaib

Matlaq hai, jeseQayaamat k Aane ka Waqt, aur Rozaana aur har cheez ki

Pedaaishi aur Shar'ai Ehkaamaur Jese Parwardigaar ki Zaat-O-Siffaat Bar

Tareeq tafseel, is Qisam ko RAB TA'ALA ka Khaas GAIB kehte hain. Pas Apne

Khaas GAIB par woh kisi ko Matle'a nahin karta, Is k Siwa Jis ko pasand farma

de, aur Woh RASOOL hote hain, chahey Farishtey ki Jins se hon ya INSAAN ki

jins se, Jese HAZRAT MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) ko Apne

Ba'az GAIB Zaahir farmata hai".

Tafseer-E-Khaazan main isi Aayat k ma Tehet hai:

Tarjuma: " Siwae is k Jis ko apni Nabuwat aur Risaalat k liye Chun liya,

pas Zaahir farmata hai, jis par Chahta hai GAIB, Taa k inki Nabuwat par

Daleel pakri Jaaway, in GAIB cheezon se jis ki woh Khabar dete hain, Pas yeh

in ka Mojaza hota hai. ( Labaab ul Taaweel, Fi Maani U Tanzeel Ul Maaroof,

Tafseer-E-Khazan, JILD#4, Page#319, Matboo'a Darul Ma'arfatah Beroot)

ROOH Ul BAYAAN se yahi Aayat:

Tarjuma: " Ibn-E-SHIEKH ne farmaya k RAB TA'ALA is GAIB par jo is se

khaas hai, kisi koMatle'a nahin farmata siwae burgazeedah RASOOL k aur jo

GAIB k RAB se KHAAS nahin,us par Ger RASOOL ko bhi Matle'a farma

deta hai". (Tafseer ROOH Ul BAYAAN, JILD#10, Page#236, Matboo'a Darul

Haya, Beroot)

Is Aayat aur In Tafaseer se Maaloom huwa k KHUDA

TA'ALA apne Pasandeedah RASOOLON ko ILM-E-GAIB Ata karta hai..

Aur Sab se Ziyadah MEHBOOB ALLAH k Nazdeeq, HAZRAT

MUHAMMAD (Sallalaho Alehe Wassallam) hain.. to jo Bad Aqeedah

log, HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Shaan kam karne ki koshish karte hain..

unko ALLAH TA'ALA k Azaab se darna chahiye..

Aayat#7:

Tarjuma: " Aur yeh NABI, GAIB batane main Bukheel nahin".(Surah

Taqveer)aayat no.24

Yeh jab hi hosakta hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-GAIB ho,

aur HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko is se Matle'a farma dete hon.

Mu'aalim U Tanzeel main isi Aayat k Ma tehet hai:

Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) GAIB aur Aasmani Khabron par aur

in Khabron aur Qisson par Bukheel nahin hain. Muraad yeh hai k HUZOOR

(ALEH SALAAM) k Pass GAIB aata hai, pas woh is main tum par Bukhal

nahin karte, Balkey tumhen Sikhate hain, aur Tum koKHABAR dete hain, Jese

k Kaahin chupate hain, wese nahin Chupaate".

(Mu'aalim U Tanzeel, JILD#4, PAGE#422, Matboo'a Darul Kitaab Ul Ilmiya,

Beroot)

Tafseer-E-Khazan main hai:

Tarjuma: "Muraad yeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) k pass ILM-E-

GAIB aata hai, to tum par is main Bukhal nahin farmate, Balkay tum

ko Sikhate hain".

( Lubaab U Taaweel , Al Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer-E-Khazan, JILD#4,

PAGE#357, Matboo'a Darul Ma'arfatah, Beroot)

Is Aayat o Ibaarat se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) logon ko

ILM-E-GAIB sikhate hain. Aur Sikhae ga wohi, jo khud jaanta hoga..

Aayat#8:

Tarjuma: " Aur inko apna ILM-E-LADNI Ata kiya, (Yaani HAZRAT

KHIZAR ko)".

(Parah#15, Surah#18 Surah Kahf, Aayat#65)

Be Zaawi main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ko woh ILM sikhae jo,

hamare saath Khaas hain, bager hamare batae koi nahin jaanta aur woh ILM-

E-GAIB hai".

(Tafseer-E-Be Zaawi, JILD#3, PAGE#510, Matboo'a Darul fikar, Beroot)

Tafseer IBN-E-JAREER main ABDULLAH IBN-E-ABBAS se Riwayat hai:

Tarjuma: "HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) ne farmaya tha, HAZRAT

MOOSA (ALEH SALAAM) se k tum mere saath Sabar na kar sako ge,

Woh KHIZAR, ILM-E-GAIB jaante the, k Unhon ne Jaan liya".

(Jaame Ul Bayaan, Fi Tafseer Ul Qura'an, Al Ma'aroof, Tafseer Tibri, JILD#15,

PAGE#323, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

ROOH UL BAYAAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT KHIZAR ko jo Ladni ILM sikhaya gaya, woh ILM-E-

GAIB hai aur is GAIB k Muta'alliq Khabar dena hai, KHUDA k Hukum se,

jese us taraf IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) gae hain".

(Tafseer-e-ROOH Ul Bayaan, JILD#5, PAGE#321, Matboo'a Darul Haya, Beroot)

Tafseer-E-Madarik main hai:

Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko GAIB ki khabren din, aur kaha gaya

hai, k ILM-E-LADNI woh hota hai, jo banday ko ILHAAM k Tareeqay par

haasil ho".

(Tafseer-E-Madaarik, JILD#2, Page#22, Matboo'a Maktab Ul Qura'an, Peshaawar)

Tafseer-E-KHAAZAN main isi Aayat k tehet hai:

Tarjuma: " Yaani HAZRAT KHIZAR ko ILM-E-BAATIN ILHAAM k

Tareeqay par Ata farmaya".

Is Aayat O Tafseeri Ibaarton se Maaloom huwa k RAB TA'ALA ne HAZRAT

KHIZAR ko bhi ILM-E-GAIB Ata farmaya tha, jis se Laazim Aya

k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi ILM-E-GAIB Ata huwa, Q

k Aap Tamaam Makhlooqaat-E-ILAHI main sab se ziyaada Afzal aur AALIM

(Yaani ILM waalay) hain, aur HAZRAT KHIZAR (ALEH SALAAM) bhi

Makhlooq hain..

Aayat#9:

Tarjuma: " Aur isi Tarah hum IBRAAHIM ko Dikhate hain. Saari Baadshahi

Aasmaanon ki aur Zameen ki".

(Parah#7, Surah#6 Surah An-‘aam, Aayat#75)

Tafseer-E-KHAAZAN main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam) ko Sehra par khara kiya gaya,

aur un k LiyeAasmaan khol diye gae, Yahaan tak k Unhon ne Arsh O Kursi aur

jo kuch Aasmaanon main hai Dekh liya, aur Aap k Liye Zameen Khol di gai,

Yahaan Tak k Inhon ne Zameenon k neeche zameen aur un k Ajaibaat ko dekh

liya jo Zameenon main hai".

(La BAab Taaweel Fi Tanzeel, Al Ma'aroof, Tafsser-E-Khaazin, JILD#2,

PAGE#126, Matboo'a Darul Qut8b Ilmiya, BEROOT)

Tafseer-E-MADARIK main isi Aayat k MA TEHET hai:

Tarjuma: " Mujaahid ne HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) k

liye saaton (7), Aasmaan khol diye gae, aur Unhon ne dekh liya, jo

Kuch Aasmaanon main hai, Yahaan tak k Un ki NAZAR ARSH tak puhanch

gai, aur un k liye, Saat (7), Zameen kholi gain k Unhon ne Woh cheezen dekh

lin, jo zameenon main hai".

Tafseer-E-MADARIK, JILD#1, PAGE#373, MATBOO'a, MAKTABUL

QURA'AN,PESHAAWAR)

ROOH-UL-BAYAAN main is Aayat k Ma Tehet hai:

Tarjuma: " IBRAAHIM ko Aasman O Zameen ki Ajaebaat O Garaebaat

dikha diye, aurARSH ki bulandi se Tehet-Suri tak khol diye".

(Tafseer-E-ROOH-UR-BAYAAN), JILD#3, PAGE#72, MATBOO'A Darul Haya,

BEROOT)

TAFSEER-E-IBN-EJAREER-ABI-HAATIM main hai:

Tarjuma: " HAZRAT IBRAAHIM pe khuli posheedah tamaam cheezen khul

gaen, Pas in par Makhlooq k Aamaal main se bhi kuch Posheedah na raha".

(Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri,

JIL#246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT)

Tafseer-E-Kibri main hai:

Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne HAZRAT IBRAAHIM (Aleh Salaam0) k liye

Aasmaanon ko Cheer diya, Yahaan tak k inhon ne, ARSH-O-QURSI aur

jahaan tak Jismaani ILM ki Foqiyat Khatam hoti hai, Dekh liya. Aur Woh

Ajeeb O Gareeeb cheezen bhi dekh lin, jo Aasmaanon min hain, aur woh

Ajeeb-O-Gareeb cheezen bhi dekh lin, jo zameen k Pait main hai".

(Tafseer-E-Kabeer, JILD#5, PAGE#35, MATBOO'A Darul Haya, BEROOT)

IS Aayaat aur in Tafaaseer se maaloom huwa k ARSH se le k ar Zameen k

Andarooni Hissay tak HAZRAT IBRAAHIM (ALEH SALAAM) ko dikhae

gae, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM in se kahin ziyaada hai to

Maanna parega, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko bhi yeh tamaaam

ULOOM Ata huwe.

Khayaal rahe k ARSH k ILM main LOOH-E-MEHFOOZ bhi aagaya

aur (LOOH-E-MEHFOOZ main tamaam ULOOM aur sab kuch likh diya

gaya hai, DUNIYA O AAKHIRAT k tamaam Mu'aamlaat is main likhe gae

hain), Lihaaza yeh ILM-E-IBRAAHIMI ki shaan hai to, aap khud sochen k

NABI-E-PAK (Sallalaho Alehe Wassallam) ka kiya ILm hoga, Q k ILM-E-

IBRAAHIm (ALEH SALAAM) aur ILM-E-AADAM (ALEH SALAAM) to

HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM ka ek Qatra hai..

Aayat#10:

Tarjuma: "Ae Eemaan waalo, Aesi Baaten hamare Mehboob se na pucho, k

Agar tum pe zaahir kardi jaawen, to tumhen naagawaar hon".

(Parah#7, Surah#5 Surah Maai’dah, Aayat#101)

Imaam Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " Ek Shakhs ne kaha Ae ALLAH k NABI (ALEH SALAAM) mera

Baap kon hai?? ToAAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya Tera Baap

Falaan hai, aur phir yeh Aayat-e-Kareema Naazil huwi, Ae Eemaan waalon

Aesi baaten mat pucha karo, k agar tumhare aage, bayaan kardi jaen to

tumhen bura lage".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul A'atasaam, JILD# 2, PAGE# 1083, MAtboo'a Qadeemi

Kutub Khaana, Karachi)

Jab Mu'aanideen Haq ki Gustaakhiyaan haad se barh gaen, aur in ki Taraf

Uthaae gae,sawaalaat ka silsila tool Pakar gaya, to HUZOOR (ALEH

SALAAM) k Rookh Anwaar parNaaraazgi k Aasaar Namoodaar huwe,

Riwaayat main aata hai k AAP (Sallalho Alehe Wassallam) JALAAL main akar

mimbar par Jalwa Afroz huwe, aur yeh Aelaaan farmaya, jis ka

Zikar HAZRAT ABU MOOSA (Razi ALLAH Anhu) ki riwaayat main yun kiya

gaya hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se kuch cheezon k baaray main pucha

gaya Jinhen AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Na Pasand farmaya,

Jab Sawaalaat ka silsila Tawaalat Aekhtiyaar kar gaya, To AAP (Sallalaho

Alehe Wassallam) naaraaz hogae, phir Logon se farmaya, tum mujh se jis

Cheez k baaray main chaho sawaaal karo,

Ek Shakhs ne kaha MERA BAAP KON HAI???

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA BAAP HUZAAFA hai,

phir dusra shakhs khara huwa, aaur us ne Kaha YA RASOOL ALLAH! MERA

BAAP KON HAI??

AAP (Sallalho Alehe Wassallam) ne farmaya tera baap Sheeba ka Ghulaam

Saalim hai.

Jab HAZRAT UMAR (Razi ALLAH anhu) ne AAP k Chehray par Naaraazgi

ki Kefiyat dekhi to kaha YA RASOOL ALLAH! Hum ALLAH ki baargah

main Toba karte hain".

(Sahhi Bukhari, Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#19, Matboo'a Qadeemi, Kutub

khana Karachi),

(Al Beher Az Khaar, Al Maaroof, Bamusnad al Bazaar, JILD#8, PAGE# 146,

Raqam Ul Hadees 3165, Matboo'a Maktabul Uloom O Al Hakam, Ul Madina tul

Munawwarah),

(Musnad Abi Ya'ALI, JILD#13, PAGE#288-289, Rakam Ul Hadees 7303),

(Muslim Shareef Baab Fil Fazail, Baaab Touqeer (Sallalaho Alehe Wassallam),

JILD#4, PAGE#1834-1835, Rakamul Hadees, 2360)

Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) se Marvi hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) (Mimbar par) Tashreef lae, aur

Khutba diya, ABDULLAH BIN HUZAAFA ne khare ho kar Arz kiya.. MERA

BAAP KON HAI?? AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya TERA

BAAP HUZAAFA HAI??.. Phir AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) baaar baar

farmane lage, mujh se Pucho... HAZRAT UMAR (Razi ALLAH Anhu) ne Do

(2) Zaanon beth kr Arz ki HUM ALLAH TA'ALA k RAB hone par,

aur ISLAAM k Deen hone par, Aur MUHAMMAD (Sallaho Alehe Wassallam)

k NABI hone par Raazi huwe, Aap ne yeh Kalimaat Teen (3) Martabaa Dohrae,

Phit HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sakoot Ekhtuyaar farmaya".

(Sahi Bukhari Kitaab Ul ILM, JILD#1, PAGE#20, Matboo'a Qadeemi, Kutub

Khaana Karachi)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri mai Riwayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya tm mjh se jis cheez k

Muta'aliq Sawaal Karoge, main tmhen us cheez k Muta'aliq bayaan

karunga".

(Musnad Ahmed, JILD#3, PAGE#177, Raqam Ul Hadees 12843,Misar)

Is Aayat aur in Tafaaseer se ILM-E-GAIB ka saboot milta hai, k agar koi

yeh Aqeedah rakhta tha, k NABI (ALEH SALAAM) ko ILM nahin hai, to

NABI (ALEH SALAAM) k Chehrey Mubarak pe Naaraazgi k Aasaar aa jate

the, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Mimbar pe khare ho k Aelaan karna

k Jo puchna hai, jisne Puchna hai, Puch le... AAP (ALEH SALAAM) jawaab

denge, Jis Par phir yeh Aayat Naazil huwi...

Bad Aqeeedah Logon ko Chahiye k woh Apne Aqaid ILM-E-GAIB k Muta'aliq

durust karlen, Q kHAQ aur Baatil un k Saamne hai, jis Raah pe chalna chahen

chalay jaen.. Bas itna Zarur yaad rakhna.. HUZOOR (ALEH SALAAM) main

ILM-E-GAIB na maanna Munaafiqon ka kaam tha..

Aayat # 12:

Surah Al-Baqrah Aayat no.31.

Tarjuma: Aur ALLAH taala ne Adam Alaihissalam ko tamam Aashiya k naam

sikhaye.phir sab aashiya Malaika par pesh kar k farmaya sacche ho toh in k naam

batao..

Tafseer khazan ul irfan me is aayat k baare hai...

ALLAH TAALA ne Hazrat Adam Alaihissalam par tamam aashiya wa jumla

masmiyaat pesh farama kar aapko unke isma wa sifat wa afaal wa khuas wa usool

uloom wa sana’at sab ka ilm bataur ilham ataa farmaya....

Yaani agar tum apne is khel me sacche ho k me koi makhluq tum se zyada ilm

paida na karuga aur khilafat k tumhi mustahak hotoh un chizon k naam batao

kyuki khalifa ka kaam tasruf wa tadbeed aur adl wa insaaf hai aur yeh bagair is k

mumkin nahi k khalifa ko in tamam chizon ka ilm ho jin par inko mutassruf

faramaya gaya aur jin ka is ko faisla karna hai..Masla: ALLAH TAALA ne Hazrat

Adam Alaihissalam k Malaika par Afzal hone ka sabab ilm zaahir farmaya isse

saabit hua k ilm isma’a khlutu aur tanhai k ibaadat se afzal hai,Masla: is aayat se

yeh b saabit hua k Ambiya Alaihissalam Maliaka se Afzal hai.....

Aayat # 13:

Surah Rehman Aayat no 1-4

Tarjuma : Rehman ne apne mehboob ko quran sikhaya insaniyat ki jaan

Mohammed ko paida kiya Makaan wa Mayakoon ka bayaan inhe sikhaya.

Tafseer al sawi me hai ki Mohammed Sallallahualaihiwasallam jo al insan al kamil

hai jinhe Makaan wa Mayakoon ka ilm ataa kiya gaya hai(woh sab kuch jo ho

chuka,jo ho raha hai aur jo hone wala hai.)

ImamAbu Muhammad Husayn b. Mas'ud ibn Muhammad al-Farra' Baghawi al

shafi’i (d.516H/1122),apni

Tafseer al baghawi me likhte hai ki “ALLAH ne Mohammed

Sallallahualaihiwasallam ko paida kiya aur unhe har woh baat sikha di jo ho chuka

aur jo hone wala hai.

ن } :وقال ابن كيسان ـ صلى هللا عليه وسلم :يعني { خلق ٱإلنس بيان ما كان :يعني {علمه ٱلبيان }محمدا

وما يكون ألنه كان يبين ع

.ن األولين واآلخرينوعن يوم الدين

( Tafsir al Baghawi under Sura rahman , ayat 3-4).

Ibn Keesan Khalaqal Insaan He created human that is MuHammad Sallallahu `

Alayhi wa Sallam

likhte hai Allamahul Bayaan yani bayan sikhaya woh bayaan jo ho chuka aur hone

wala hai.

NOTE : Imam Baghawi ne hadith classics Sharh al-Sunnah and Masabih al-Sunnah

likhi jo baad me Mishkat al-Masabih addition k saath al-Tibrizi d.741H.

Ala'uddin Ali Bin Muhammad Khazin al shafi’i [ d. 725 AH] apni Tafsir me likhte

hai “Mohammed Sallallahualaihiwasallam ko ma kaan wa ma yakoon ka ilm ataa

kiya gaya”

[ Tafsir Al Khazin ]

Aayat # 14 :

Surah Yusuf Aayat no. 37.

Tarjuma :- Yusuf ne kaha jo khana tumhe mila karta hai woh tumhare paas na

aane paayega k me uski taabir uske aane se pehle tumhe bata duga.(is aayat se

Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Ilm e ghaib saabit hai)

Aayat # 15 :

Surah Al-Imran Aayat no. 49.

Tarjuma :- Aur tumhe batata hu jo tum khate aur jo tum apne gharo me jama kar

rakhte ho.(Yaani woh jo b chupate apne ghar ki 4 diwari me woh sab Hazrat Isa

Alaihissalam ko khabar hai)

Aayat # 16 :

Surah Yusuf Aayat no. 22.

Tarjuma: Aur jab apne pure quwat ko pahucha,humne ise hukum aur ilm ataa

farmaya.

Aayat # 17 :

Surah Yusuf Aayat no. 96

Tarjuma: Fir jab khushi sunane wala aaya,usne wa kurta Yaqub k muh par daala

usi waqt uski aankhen fir aai kaha mena kehta tha k mujhe ALLAH ki woh shaani

maalum hai jo tum nahi jaante.

Aayat # 18.

Surah Ambiya Aayat no. 74

Tarjuma : Aur Lut ko humne Hukumat aur Ilm diya.

In tamam Aayat se Saabit hai ki ALLAH taala ne Sarkar

Sallallahualaihiwasallam k saath Digar Ambiya Alaihissalam ko b ilm e ghaib

ataa kiya hai.

ILM-E-GAIB k Saboot Ahadees ki roshni main

HADEES # 1:

Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq aur Mishkaat, JILD#2, Baab Bada'a Ul Khalq O

Zikar Ul Ambiya mainHazrat UMAR-E-FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) se

Riwaayat hai:

TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Jagah Qayaam farmaya,

Pas Hum ko Ibtada-E-Pedaish ki khabar de di, Yahaan tak k Jannati log, Apni

Apni Manzilon main Puhanch gae, aur Jahannumi log apni main jis ne Yaad

rakha , Us ne yaad rakha, aur jo Bhool gaya, Woh Bhool Gaya".

(Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, PAGE#453, Matboo'a

Qadeemi, Kutub Khaana Karachi),

(Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub

khaana Karachi)

(Mishqaat UL Musaabeh, PAGE#506, Matboo'a NOOR Muhammad Qutub

Khana)

Is Jagah HUZOOR (ALEH SALAAM) ne 2 Qisam k Waqi'aat ki khabar di

1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi..

2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi..

Yaani Az Roz Awwal ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya.. Issi Hadith ki sharah main ALLAMA BadarudDin A'ni "A'ini Sharah-e-Bukahri Jild 7 Page # 214, 215 per farmatay hian: والغرض انہ اخبر عن المبداء والمعاش والمعاد جمیعا"Gharz ye k Hzur Sarwar-e-Aalam ne Makhlooqat k Mubda aur mu'ash aur ma'ad sab ki khabar de di Aur Imam Badr ud Din Aini agay chal k farmaty hain: وفیہ داللۃ علی انہ اخبر فی المجلس الواحد بجمیع احوال المخلوقات من ابتدائھا وفی ایراد ذلک کلہ فی مجلس واحد امر عظیم من خوارق فدیف وقد اعطی جوامع الکلم مع ذلک"aur iss Hadith main iss baat pe Dalalat hai Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسالم ne ek hi majlish main

tamam Makhlooqat k TAMAM ahwaal ki khabar di. Ibtada se intehaa tak aur ek hi majlis main iss ka Waarid farmana Khwariq-e-Adat se Amr-e-Azeem hai aur Q na ho? Iss k bawajood k Nabi-e-Paak ”.Jawam al’Kalam bhi diye gye علیہ الصلوۃ والسالم

Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari, Irshad-Us-Saari, Sharah Bukhari, Marqaat

Sharah, Mishqaat main Upar di gai Hadees k Ma Tehet hai:

Tarjuma: "Is HADEES main Dalalat hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek

hi Majlis main Saari Makhlooqaat k Saaray Haalaat ki Az Ibtada ta Inteha

tak Khabar di".

(Marqaat Sharah Ul Mishqaat, JILD#11, PAGE#$, Maktab-E-IMDAADIYA,

Multan)

(Irshaad Us Saari JILD#5, PAGE#250)

(Haashiya Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#453, Matboo'a Qadeemi, Kutub khana

Karachi)

IS Hadees aur Sharah se saaf maaloom hota hai k HUZOOR (ALEH

SALAAM) ko ILM-E-GAIB ata kiya gaya hai, Q k Bager ILM-E-GAIB k

woh Az Awwal (Yaani duniya ki Ibtada) se le kar Ta Aakhir (Qayaamat

tak) k tamaam Waqiyaat kese bata sakte hain... Unhon ne sab kuch ILM-E-

GAIB se hi bataya jo ALLAH TA'ALA ne inko Ata kiya hai...

HADEES # 2:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA

isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai:

Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo Qayaamat tak hone

waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka Ziyaadah Haafiz

hai".

(Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 3:

Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat Huzefa

(Razi ALLAH Anhu) hai.

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah QAYAAMAT tak koi

cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha, yaad rakha, jo bhool

gaya woh Bhool gaya".

(Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi)

(Dalaelun Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul

Qutub Ul Ilmiya, BEROOT)

Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain:

TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main ROZ-E-

QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka Azeem

mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel Kalaam

ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal ek

dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki

Hadees main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne

Riwaayat kiya hai, KHUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae,

AAP k haath main 2 kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main

farmaya yeh Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat

aur in k Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam

Ziyaadah ho sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP

(SALLALAHO ALEHE WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k

Baaray main AHLE DOZAKH ki Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya".

(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a Dar-un-

nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)

IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis main Roz-E-

Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP (Sallalaho

Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q na ho

k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt

main bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya".

(Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot)

ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain:

(Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250)

HADEES # 4:

Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat Sobaan

(Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main ne Zameen k

Mashriqon aur Magribon ko dekh liya".

(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a E

Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

(Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl

Kutub Ilmiya, Beroot)

MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani Sharah

Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai..

Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE SALAAM) k liye

zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese ek haath main

aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali ko Qareeb

kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un tamaam

cheezon ko jo Zameen main hain"..

HADEES # 5:

Mishkaat Ul Masaajid main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai:

TARJUMA: " HUM ne apne RAB ko achi Soorat main dekha, RAB TA'ALA

ne apna Dast Qudrat Hamaray Seenay par rakha, Jis ki Thandak hum ne

apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O Zameen ki Cheezon ko hum

ne jaan liya".

(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom,

JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana,

Multan)

Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Mene Apne RAB Azzawajal ko Behtareen soorat main

deekha, RAB-E-Zul jalaalne mujh se farmaya k Malaika Muqqabareen kis baat

par jhagra karte hain?? Mene Arz ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH

mere donon Shaanon k Darmiyaan rakh diya, mene us ki Thandak apni dono

Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey in tamaam Cheezon ka ILM

hogaya, jo k Aasmaaanon aur Zameenon main thin".

(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom,

JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana,

Multan)

IMAAM AHMED BIN HAMBAL 241 Hijri main Riwaayat karte hin:

Tarjuma: " HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain

k NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya AAJ RAAT ko neend main mera RAB

Azzawajal Haseen Soorat main mere Pass Aaya, aur farmaya Ae

MUHAMMAD! Kiya tum jaante ho k Malaikah kis chez par behes kar rahe hain??

HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k AAP ne farmaya

Nahin..

Phir NABI (ALEH SALAAM) farmate hain, k ALLAH TA'ALA ne apna

Haath mere donon kandhon k darmiyaan rakha Hat'ta k Main ne apne seene

main is ki Thandak mehsoos ki aur mene in tamaam Cheezon ko jaan liya jo

Aasmaanon aur Zameenon main hain".

(Musnad Ahmed, JILD#1, PAGE#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a Mosasta

Qurtaba Misar)

Hadees # 6:

Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (RAZI

ALLAH ANHU) ki Riwaayat se hai:

Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne hamare saamne Saari duniya ko pesh

farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QAYAMAT tak hone

waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain".

(Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us

Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, JILD#7, PAGE#206, Matboo'a

Darul Ma'arfatah, Beroot)

HADEES # 7:

Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:

Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan

li ".

(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL

HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)

Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH

ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar

mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak

jo kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha

hun jese meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye

Munqashaf farmaya, jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".

(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya, Beroot)

Hadees # 8:

Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal main Ba Riwaayat Abu Zar Gafari (Razi

ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " Hum ko HUZOOR (ALEH SALAAM) ne is Haal par chora k

koi Parindah apne Par bhi nahin hilaata, Magar us ka hum ko ILM bata

diya".

(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta,

Qurtuba Misar)

IMAAM Bo Saf Bin Ismail Nibhani (Rehmatullah Aleh) Likhte hain".

Tarjuma: " Imaam Ahmed-O-Ibn-E-Saad aur Tabraani (Rehmatullah Aleh) ne

Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL

ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal main chora hai, K Fiza-

E-Aasmaani main jo parinda par maarta hai AAP ne Az Roe ILM hum se

uska Zikar kar diya".

(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul Fikar Beroot)

Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri main Riwaayat

karte hain:

Tarjuma: " HAZRAT ABU ZAR (RAZI ALLAH ANH) se Riwaayat hai k inhon

ne kaha k RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh Wassallam) ne humen is haal par

chora k Fiza-E-Aasmaani main jo Parinda par Maarta hai AAP ne Az Roe

ILM hum se us ka Zikar kar diya hai".

(Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hjiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) Farmate hain k

Humen RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Is Haal par chora

k Fiza main jo bhi apne Paron se Urne waala Parinda tha, AAP ne humen Us

Se Muta'aliq Zikar kiya".

(Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta

Qurtuba Misar)

Ab Aap Khud faisla karen.. k Kiya Bager ILm k Aasmaan main Urne waale

Parinday k K baaray main maaloom kiya ja sakta hai???

Woh bhi tni jaldi maaloom karna, k Parinday k Par Hilaanay se pehle hi

dusron ko bhi Parinday k Baaray main bata diya jae...

Ab aap khud hi faisla kar sakte hain, Q k Aasmaan main Urne Waala

PArinday k Baaray main Maaloomat to Gaib hai, Q k GAIB har Chupi huwi

cheez ko kehte hain, jo kisi Hawaas k bager maaloom na ki ja sake... to is

GAIB k ILM ko kiya kahen ge???

ALLAH, Bad Aqeedah logon ko Raah-E-Raast pe Lae.. Aameen..

HADEES # 9:

Mishkaat Baab Ul Fitan Fasal Saani Main HAZRAT HUZEFA (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat hai..

Tarjuma: " Nahin chora HUZOOR (ALEH SALAAM) ne kisi Fitna chalanay

waalay ko duniya k khatam hone tak, jin ki taadaad 300 se ziyada tak puhnchay gi

magar hum ko is ka naam is k baap ka naam aur is k Qabeelay ka naam bata

diya"

(Mishkaat Ul Musaabeh, baab Ul Fitan Fasal Saani, PAGE#463, Matboo'a

Qadeemi Kutub khana karachi)

HADEES # 10:

Mishkaat Baab Zikar Ul Ambiya main Bukhaari se Ba Riwaayat Abu Hurerah

(Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " Hazrat Daaod (Aleh Salaam) par Qura'an (Zaboor) ko is Qadar

halka kar diya gaya tha, k Woh Apne Ghoron ko Zain laganay ka Hukum

dete the to AAP in ki Zain se pehle ZABOOR parh lete the"..

(Sahi Bukhari Kitaab Ul Ambiya, JILD#1, PAGE#475, Matboo'a Qadeemi Kutub

khana karachi)

Yeh Hadees is jagah is liye bayaan ki gai k Agar HUZOOR (ALEH SALAAM)

ne ek Wa'az main Az Awwal Ta Aakhir Waaqiyaat bayaan farma diye to yeh

bhi AAP ka ek Mojiza tha jese k HAZRAT DAAOOD (ALEH SALAAM)

AAN ki AAN main Saari ZABOOR SHAREEF parh lete the..

HADEES # 11:

Mishkaat Baab Munaakib Ahle Bait main hai..

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne khabar di k FATIMA ZOHRA

(RAZI ALLAH ANHU) k farzand peda hoga, jo tumhari parwarish main

rahe ga"..

(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Ahle Bait Un NABI Ul Fasal Ul Awwal,

PAGE#572, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khana KArachi)

Tamaam baad k Hone waale Fitnon ka bata dena, aur aese batana, K fitnah

karne waalon k naam batana, un k Baap ka naam batana, uar Qabeelay ka

naam batan.. yeh kiya hai??? Jawaaaaab do???

Aap khud faisla kar sakte hain k FATIMA ZOHRA (RAZI ALLAH ANHU)

ko batana k un k Yahaan farzand peda hoga.. yeh GAIB hai ya nahin???

Batao?? Jawaab do Gustaakhon???

HADEES # 12:

Bukhari Baab Asbaat Azaab Ul Qabar main HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI

ALLAH ANHU) se Naqal hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) do Qabron par se Guzre jin main

Azaab horaha tha, to farmaya k dono Shakhson ko azaab diya ja raha hai, aur

kisi Dushwaar baat mai Azaab nahin ho raha in main se ek to Peeshaab se na

bachta tha, aur dusra Chugli Kiya karta tha, phir Ek Tar SHAAKH ko le kar

is ko aadha aadha Cheera Phir har Qabar main ek ek ko Gaarh diya aur

Farmaya k jab tak yeh Tukray khushk naa honge, in dono shakhson se Azaab

main kami ki jaawe gi"..

(Sahi Bukhari, JILD#1, PAGE#611, MAtboo'a Qadeemi Kutub khana Karachi)

HADEES # 13:

Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazan main

hai:

Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar par kharay huwe, Pas Qayamat

ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain, Phir farmaya jo

Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak Hum is

jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum

tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, K mera

Thikaana kahaan hai?? Farmaya Jahannum main... Abdullah Bin Huzaifa ne

khare ho kar Dariyaft kiya k Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA..

Phir Baar Baar farmate rahek Pucho Pucho"..

(Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083, Matboo'a Qadeemi,

Kutub Khaana Karachi)

Khayaal Rahe k Jahannumi Ya Jannati hona Uloom E Khamsa main se hai

k Saeed hai yaShakki, isi Tarah kon kis kaa Beta hai yeh aesi baat hai k Jis

ka ILM Siwae is ki Maa k aur kisi ko nahin hosakta,

Qurbaan un Nigaahon k jo k Andheray Ujaalay, Duniya O Aakhirat sab ko

Dekhti hain..

HADEES # 14:

Mishkaat Baab Minaakib Ali (Razi ALLAH Anhu) main hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khebar k din farmaya k Hum Kal

yeh Jhanda us ko den ge, jis k haath par ALLAH Khaibar Fatah Farma dega,

aur Woh ALLAH aur US k RASOOL se Muhabbat karta hai"..

(Mishkaa Ul Musaahib, Page#563, Matboo'a Noor Muhammad Qutub Khaana,

Karachi)

(Sahi Bukhari, Kitaaab Ul Fazail Us Sahaba Baab Min Fazail Ali Bin Abi Taalib

(Razi ALLAH Anhu, Jild#4, Page#1872, Raqam Ul Hadees 2407, Al Hadees 3499,

Matboo'a Dar Ibn E Kaseer, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:

Tarjma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Khaiber k din farmaya k Main

Aese SHAKHS ko Jhanda dunga, jo ALLAH AZZAWAJAL aur s k

RASOOL (ALEH SALAAM) ko Mehboob rakhta hai aur ALLAH aur Us k

RASOOL use Dost Rakhte hain aur Woh Mehsoor Yahood K Qilay ko Fatah

karega"..

(Tabqaat Ul Qubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a

Dar us Saadir, Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri Main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya Main Kal aese Aadmi

ko jhanda Ata karunga jo ALLAH aur is k RASOOL se Muhabbat karta hai,

ALLAH TA'ALA is k Haath par Musalmaanon ko Fatah Naseeb farmae ga

woh Bhaagay ga nahin"..

(Al Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar,

JILD#4, Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

HADEES # 15:

Mishkaat Baab Ul Masaajid main Abu Zar Gaffari (Razi ALLAH Anhu) se hai:

Tarjuma: " Hum par Hamari Ummat k Aamaal Pesh kiye gae, ache bhi aur

Buray bhi, Hum ne un k Achay Aamaal main woh Takleef de cheez bhi Paai

jo Raaste se Hata di jae"..

(Sahi Muslim Kitaab Ul Masaajid Baab Ul Nahi An Ul Bassaaq Fil Masjid, Jild#1,

Page#207, Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)

Upar dono Ahaadees se Saaf Saaf ILM-E-GAIB Saaabit hai..

k

Khaiber ki Jang kon Fatah karega yeh Batana GAIB nahin to aur kiya hai??

Gustaakhon se Sawaal.. Batao jawaab do??

Dusri Hadees se to ab Koi Shak hi nahin Bachta.. Are NABI (ALEH

SALAAM) khud farma rahe hain.. k Un k Saamne Unki Ummat k Aamaal

Pesh kiye jaate hain...

Are Shetaan k Chelon Doob Maro.. ALLAH k Azaab se daro..

HADEES # 16:

Muslim Jild#2, Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar main Hazrat Anus (Razi

ALLAH Anhu) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Falaan Shakhs k

Girne ki jagah haiaur apne Dast-E-Mubaarak ko idhar Udhar Zameen par

Rakhte the, Raawi ne farmaya k Koi bhi Maqtooleen main se HUZOOR

(ALEH SALAAM) k Haath ki Jagah se Zara bhi na Hata"..

(Sahi Muslim Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,Page#102, Matboo'a

Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

NOTE: Khayaal Rahe k kon kis Jagah Mare ga, Yeh Uloom E Khamsa main se

hai, jis ki Khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) Jang-E-Badar main ek Roz pehle

de rahe hain..

Imaam Abu Daaod 275 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Anus (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k (Jang-E-

Badar k din) RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya Kal Yeh

Falaan k Girne ki jagah hai aur AAP ne Zameen par Haath rakha aur Kal

yeh Falaan k Girne ki jagah hai aur Zameen par haath rakha aur Kal yeh

Falaaan k Girne ki Jagah hai aur Zameen par Haath rakha tha, koi Shakhs is

k Bilkul Mutuwaajis nahin huwa. (Isi jagah gir kar mara), Phir RASOOL

ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalaam) k Hukum se unko Ghaseet kar Badar

k Kooen main Daal diya gaya"..

(Sunan Abi Daaod, Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681,

Matboo'a Dar Ul Fikar, Beroot)

ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri main is Hadees

Mubaraka ki sharah main likhte hain:

Tarjuma: " Is Hadees Mubaraka main HUZOOR (ALEH SALAAM) k 2

Mojazon ka Zikar hai, jo kAAP ki nabuwat ki nishaaniyaan hain, Ek AAP

(Sallalaho Alehe Wassallam) ka in Un k Jaabir Sardaaron k Qatal Gaahon ki

Khabar dena k kisi ne apni Qatal Gaah se Tajaawuz na kiya, Dusra Mojaza

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh batana k jis Larkay ko woh Maar

rahe the, jab use Chortay to woh such bolta, aur jab use Maarte to woh jhoot

bolta aur yahi Haqeeqat thi"..

(Such kiya tha aur Jhoot kiya?? Is ko Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu)

na samajh sake aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Waazeh farma diya,

Yahi GAIB batana HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Dusra Mojiza tha)..

(Sahi Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2,

Page#102, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)

HADEES # 17:

Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH

ANHU) se Riwaayat hai:

Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah kabhi na dekha k Bheriya

Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab

(HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k Darmiyaani Nakhlistaan

(Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur Aaendah ki

Khabren de rahe hain".

(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees, 433,

Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)

Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat nahin hai, Dar Asal

Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k Sangistaanon k darmiyaan

Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe Waaqiyaat bhi

Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..

( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash,

JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)

ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668 Hijri main

Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is se kahin Ziyaadah Ajeeb

Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k Darmiyaan Khajooron k Baagaat

Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo tumhen Maazi ki

Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone waala hai

un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..

(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2,

Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi

Peshawar)

Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah

Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:

Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh hai k Ek Aadmi Do (2)

Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina) main Beth kar Batla

raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...

(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a

Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)

Haqeeqat Aap k Saamne hai..

Hadees # 18:

Tafseer-E-Khaazan main (Parah 4, Surah 3, Aayat 179) k Tehet hai:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya k Hum Par Humari

Ummat Pesh farmai gai, apni apni Sooraton main, Matti main, jis tarah

k HAZRAT ADAM (ALEH SALAAM) par pesh huwin thin, HUM ko bata

diya gaya, k kon HUM par Eemaan Laawega, aur Kon Kufar karega, yeh

Khabar Munaafiqeen tak Puhnchi to woh Hans kar kehne lage, k HUZOOR

(ALEH SALAAM) farmate hain, k un ko logon ki Pedaish se Pehle hi Kaafir

O Momineen ki khabar hogai, hum to un k saath hain, aur hum ko nahin

Pehchaante, yeh khabar HUZOOR (ALEH SALAAM) tak Puhnchi to

Mimbar par khare huwe, aur KHUDA ki Hamd O Sana ki Phir farmaya k

Qomoun ka kiya haal hai k Hamaray ILM main Taana karte hain, Ab se

Qayaamat tak kisi Cheez k Baaray main jo bhi tum hum se Pucho ge, hum

tum ko Khabar Denge"..

Is Hadees se 2 Baaten Maaloom Huwin...

1) Ek yeh k HUZOOR (ALEH SALAAM) k ILM main Taana karna,

Munaafiqon ka Tareeqah hai..

2) Dusray yeh k Qayaamat tak k Waaqiyaat saaray HUZOOR (ALEH

SALAAM) k ILM main hain..

(Al Baab Ul Taaweel Fi Ma'ani Ut Tanzeel Ul Maaroof, Tafseer Khaazan, JILD#1,

Page#324, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)

HADEES # 19:

Mishkaaat Kitaab Ul Fitan, Baab Ul Malaahim, Fasal Awwal main Muslim se Ba

Riwaayat Ibn-E-Mas'ood (Razi ALLAH Anhu) hai:

Tarjuma: " Hum in (Dajjal se Jihaad ki Tayyari karne waalon) k Naam, In k Baap

Daadon k Naam, In k Ghoron k Rang Pehchaante hain, Woh Ro-E-Zameen par

Behtareen Sawaar hain"..

(Muslim Raqam Ul Hadees 2224, Kitaab Ul Fitan, Baab Fasal Fi Ashraat Us Saa'a,

JILD#2, PAGE#392, Matboo'a Qadeemi Qutub Khaana, Karachi)

HADEES # 20:

Mishkaat Shareef, Baab Minaaqib Abi Bakar O Umar main hai k HAZRAT

AAYESHA (Razi ALLAH Anhu) ne Baargah Risaalat main Arz kiya k Kya

koi Aesa bhi hai, jis ki Nekiyaan Taaron k barabar bhi hon, Farmaya woh

Umar hai...

(Mishkaat Ul Musaabeh Baab Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis,

PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub Khaana, Karachi)

Is se Maaloom huwa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko QAYAAMAT tak k

Saaray logon k Zaahiri aur Posheedah Aamal ki Puri khabar hai, aur

Aasmaanon k tamaam Zaahiri aur Posheedah Taaron ka bhi Tafseeli ILM

hai, Haalankay, Ba'az Taaray ab tak Sciencey Aalaat se bhi Maaloom na ho

sake, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne in dono cheezon ko Mulaahiza farma

liya, k UMAR ki Nekiyan Taaron k Barabar hain, Do Cheezon ki Barabari ya

Kami Beshi wohi Bata sakta hai, jise Donon Cheezon ka ILM bhi ho aur

Miqdaar bhi Maaloom ho....

HADEES # 21:

NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar dena:

Nijaashi Mulq-E-Habsha k Baasha ka laqab tha, jo koi wahaan ka Baadsha hota

tha, useNijaashi kehte the, woh Nijaashi pehle Eesaai tha, Lekin jab HUZOOR(

ALEH SALAAM) kaNaama-E-Mubaarak jis main us ko Daawat-e-Islaam di

gai thi, mila to HUZOOR (ALEH SALAAM) pae Eemaan le aaya aur AAP

(Sallalaho Alehe Wassallam) ki Risaalat ka Iqraar kiya..

Imaam Ali Bin Mehmood Bim Saood-Ul-Khazai 789 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Eemaan lae aur Gawaahi di

Tauheed O Risaalat ki"..

(Takhreej-Ur-Dalaalaat Us Samee'a, Page#297, Matboo'a Daar-Ul-Garb Ul

Islaami, Beroot)

Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehman Bin Al Juzwi 597 Hijri main Likhte hain:

Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya:

Tarjuma: " Agar main Mulq (Hukmaraani) k Masael main na hota, to main

AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) k Pass aa kar AAP (Sallalaho Alehe

Wassallam) ki Naal'en ko Choomta"..

(Safoo'o Al Safoo'o, Jild#1, Page#518, Matboo'a Daar ulMa'arfatah, Beroot)

Haafiz Abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main ek

Taweel Riwaayat main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur

phir 3 martaba yeh dua ki k Ae ALLAH Nijaashi ki MAgfirat farma Pas

SAHABA (RAZI ALLAH ANHU) ne Aameen kaha"..

(Mo'ajjam Ul Kabeer Tibraani Ma Asnad Jaafar (Razi ALLAH Anhu), Jild#2,

Page#110, Raqam Ul Hadees 478, Matboo'a Maktab Tul Uloom O Al haka, Ul

Mosal)

Imaam Shamsuddeen Muhammad Bin Ahmed Zehbi 748 Hijri main likhte

hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) kharay huwe aur Wazu kiya aur

phir 3 martaba yeh dua ki, Ae ALLAH Nijaashi ki Magfirat farma pas

Sahaba (Razi ALLAH Anhu) ne Aameen kaha"..

(Seera Aalaaam Un Niblaal, Jid#1, Page#437, Matboo'a Mo'sasta, Ur Risaala,

Beroot)

Imaam Abu Daaod 275 Hijri main riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat

hai k woh Farmaati hain, hum Guftugoo kiya karte the k Nijaashi (Razi

ALLAH Anhu) ki Qabar par hamesha ek Noor NAzar Aata hai"..

(Sunan Abu Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooweri, Jild#1, Page#341,342,

Matboo'a Maktab-a-Hukaaniyah Peshaawar)

(Sunan Abi Daa'ood, Kitaab Ul Jihaad, Baab Fin Nooreri, and Kabar Us Shaheed,

Jild#3, Page#16, RaqamUl Hadees 2523, Matboo'a Dar Ul Fiqar Beroot)

Aur jab Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) Wafaat paa gae, to HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne usi din Sahaba-e-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ko un ki

Wafaaat ki khabar sunai aur un par Namaz-E-Janaza parha aur Namaz-E-

Janaza k baad Hazarat Nijaashi k liye dua bhi farmai..

Imaam Muslim bin Hajjaj 261 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurera (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain, k

RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Habsha k Baadsha

Nijaashi ki Wafaat ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP

ne farmaya Apne Bhai k liye Astagfaar kar do"..

(Muslim Shareef, Jild#1, Page#309, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana karachi)

(Akmaal Akmaal Ul Mu'allim, Sharah Sahi Muslim, Jild#3, Page#88, Matboo'a

Daar Ul Kutub Ilmiy, Beroot)

Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri main Riwaayat

karte hain k:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu0 se Riwaayat hai k jab

Nijaashi (razi ALLAH Anhu0 Ka Inteqaal huwa to, NABI-E-Kareem (Aleh

Salaam) ne farmaya k in k liye Istagfaar karo"..

(Sunan Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, PPage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168,

Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)

(Nisaai Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore)

Imaam Abi MAnsoor Muhammad Bin Mehmood Al MA Taredi 333 Hijri

main likhte hain:

Tarjuma: " Hazarat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) se Riwaayat hai k jab

Nijaashi (Razi ALLAH Anhu) ka inteqaal huwa to NABI-E-KAREEM

(Sallalaho Aleh Wassallam) ne farmaya k Apne Bhai k liye IStagfaar karo"..

(Taawweelaat-E-Ahle Sunnah, Tafseer Ul Ma taredi, Jild#2, Page#567, Matboo'a

Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Bin Ahmed Ut Tabraani 360 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat JAreer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne farmaya Tumhara bhai Nijaashi Wafaat farma gaya

hai, un k liye Istagfaar karo"..

(Al Mo'ajjam Ul Kabeer Ut Tabrani, Jild#1, Raqam Ul Hadees 2347-2348-2350,

Matboo'a Ahya Ut Turaas Ul Islaami, Iraq)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Muhammad Al Tahawi 321 Hiri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte hain k

RAOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassalam) ne Habsha k Badsha Nijaashi

ki khabar usi din di, jis din us ka Inteqaal huwa tha, AAP ne farmaya Apne

Bhai k liye Istagfaar karo"..

(Sunan Ul Kubra, Jild#4, Page#57, Raqam Ul hadees 6932, Page#82, Raqam Ul

Hadees 7026, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiya, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaaayat

karte hain k:

Tarjuma: " Imaam Behki (Rehmatullah Aleh) farmate hain k RASOOL

ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ka yeh farmana k " Main nahin dekhta

magar yeh k woh Foat hogaya hai", Wallaho ILM AAP ne Hadiyon ko us ki

taraf bhejne se pehle khabar kardene ka iradah farmaya, aur us k Foat hone

se pehle AAP ne in kalimaat ko Saadir farmaya, is k Baad jab woh Foat huwa

to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usi din us k Foat hone ki khabar de di,

aur us par Namaz parhi thi"..

(Khasaais Ul Kubra, Jild#2, Page#168, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ul Ilmiyah

Beroot)

Haafiz Amaa Duddeen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 hijri main Riwaayat

karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Umme Kulsoom (Razi

ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Inhon ne Kaha k RASOOL ALLEH

(Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya jab Umme Salma (Razi ALLAH

Anhu) se Nikah farmaya to AAP ne farmaya, main ne Nijaashi ki tarag se

chand Mashq k Oqiyey aur Joray bhejey hain, main use nahin dekhta magar

yeh k woh Foat hogaya hai, aur main in Hadiyon ko nahin dekhta magar yeh

k ise Meri ise meri taraf Waapis kar diya gaya hai, to yeh Gaibi khabar aese

hi Waaqey huwi jese k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne

farmaya k Nijaashi Foat hogaya, aur Hadiyah Waapis Aagae"..

(Al Seerah Un Nabbuwah Na'i RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam)

Nijaashi Fi Yom-E-Zi Maat Fee Baariz Habsha, jild#3,Page#493, Matbo'a Daar ul

Kitaab Ul Aa'raabi, beroot)

ILM-E-GAIB-E-MUSTAFA (Sallalaho alehe Wassallam):

Is HADEES-E-MUBARAKAH se HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ILM-E-

GAIB saaf Wazeh hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HABSHA k

Baadsha NIJAASHI (RAZI ALLAH ANHU) k Inteqaal ki khabar usi din di,

jis din us ka Inteqaal huwa..

Aagay AAP khud Faisla kar sakte hain, k kisi k Batae Bager, kisi Hawaas k

Bager kisi k Inteqaal ki Khabar de dena, yeh ILM-e-GAIB nahin to aur Kiya

hai...

HADEES # 22:

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Pehle hi bata diya tum mujh se Neki aur

Badi k baaray main puchne aae ho:

Imaam Ismail Bin ul Fazal 535 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k

Unhon ne kaha, main NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Baargah main

is liye Aaya k main NEKI aur BADI k baaray main puchon, Magar mere

Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:

" Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu) kiya main tumhen bata dun, jo tum mujh

se Puchna Chahtay ho?

Main ne Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh E Wassallam)

mujhey bataiye,

Farmaya tum Muhj se Neki aur Badi k Baary main Puchne Aae ho??

Main ne Arz kiya.. Qasam hai us Zaat ki jis ne AAP ko Haq k Saath Mab'oos

farmaya, AAP ne Bilkul Sahi farmaya..

Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur

BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne

tumhen is ko karne se Kaha ho..

(Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut

TAEBAH Riyaaz)

Imaam Daarmi (RehmatULLAH) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Wabsah Asadi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain,

k RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Wabsah se farmaya tum

NEKI aur GUNAH k Muta'alliq puchne aae ho?? Unhon ne kaha jee haan..

(Sunan Daarmi, Jild#2, Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul

Arbi, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya Ae Wabsah

(Razi ALLAH Anhu)! Kiya main tumhen bata dun jo tum mujh se Puchna

chahtay ho??

Mene Arz kiya Ya RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujheu

bataeye..

Farmaya tum mujh se Neki aur Badi k baaray main Puchne aae ho,

Wabsah (Rzai ALLAH Anhu) ne farmaya AAP ne bilkul Sahi farmaya"..

(Musannad Ahmed, Jild#4, Page#228, Matboo'a Mo'sasta, Qurtuba Misar)

Imaam Jalaal Ud Deen Suyooti 911 Hijri main Riwayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Ahmed O Bazaar, Abu Ya'ali, Behki aur abu Naeem

(RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Wabsah (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat

ki, Unhon ne kaha main NABI-E-KAREEM (Razi ALLAH anhu) ki Baargah

main is liye Aaya k MAin NEKI aur BADI k Baaray main Puchon Magar

Mere Puchne se Qabal HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya:

Ae Wabsah (Razi ALLAH Anhu)! kiya main tumhen yeh na bata dun jo tum

mujh se puchna chahtay ho??

Mene Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) mujhey

bataiye,

Farmaya Tum Mujh se NEKI aur BADI k Baaray main Puchne aae ho??

Mene Arz kiya, Qasam hai us Zaat ki, jis ne AAP ko HAQ k saath Mab'oos

farmaya, AAP ne Bilkul Sahi Farmaya..

Farmaya NEKI woh AMAL hai, jis se Inshrah Sadar tumhen Haasil ho, aur

BADI woh hai, jis se tumharay Dil main Inqabaaz ho, Agar Chay Logon ne

tumhen is ko karne se Kaha ho..

(Khasa-e-Sul Kubra, Jild#2, Page#171, Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Ab AAP hi Bataen, k Kisi k DIL ki Baat jaan lena, kiya hai?? Kiya yeh ILM-

E-GAIB nahin??

HADEES#23:

* YEH BAKRI BAGER IJAAZAT K ZIBAH HUWI HAI:

Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne ek Ansaari se Riwaayat ki, us ne

kaha k ek Aurat ne NABI-E-KAREEM (Sallalaho Aleh Wassllam) k khaanay

ki daawat ki, jab Khaana rakha gaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek

Luqma le kar Moun main chabaya to farmaya, main is Gosht ko is Bakri ka pata

hun, jise Na Haq pakar liya gaya tha, Us Aurat se Pucha gaya, us Aurat ne kaha,

k is ki Hamsaaya ne us Gost ko apne Shohar ki Ijaazat liye Bager Bheja tha"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#176, Matboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah Beroot)

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#310, Matboo'a Dar Ul Qutub ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Daaood 275 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ansaar k ek Aadmi se Riwaayat hai, k hum RASOOL ALLAH

(Sallalaho Alehe Wassllam) k saath ek janaazay main gae, AAP Qabar Khodney

waaalay ko Waseeiyat farma rahe the, k Peron ki Jaaanib se QABAR ko kushaada

karo, aur Sar ki Jaanib se QABAR ko Kushaadah karo, jab AAP waaapis huwe to

ek Aurat ki taraf se Daawat dene waala aaya, AAP ne us ki Daawat ko Qubool kar

liya, aur Hum bhi AAP k Saath the pas khaana laaya gaya, AAP ne apna Haath

rakha, phir Qoum ne Apna Haath rakha, Sab ne khaaya Hum ne HUZOOR

(ALEH SALAAM) ki taraf dekha, AAPapne Moun main ek Luqma chaba rahe

the, AAP ne farmaya, Muhjey yeh ILM huwa hai, k yeh US Bakri ka Ghosht

hai, jise us k MAalik ki marzi k Bager Laaya gaya hai, Phir us Aurat ko

Bulaaya gaya, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Aleh

Wassallam) main ne kisi ko Mandi ki taraf bheja tha, Taa k Meray liye Bakri

khared li jae, to bakri nahin mili, mene Apne Parosi ko pegaam bheja, Jis ne ek

bakri khareedi thi, k woh Bakri Qeemat k Aewaz muhjey Bhej de to woh Parosi

nahin mila, mene us ki biwi ko Peghaam bheja, to usne woh Bakri mujhey de si,

tab RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya, yeh

Khaana QEDIYOn ko khila do"..

(Sunan Abi Daa'ood, Baab Fi Ijtanaab Us Shabhaat, Jild#3, Page#244, Raqam Ul

Hadees 3332, MAtboo'a Daar Ul Fiqar, Beroot)

Imaam Ali Bin Umar Al Daar Qatni Ul Baghdaadi 385 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, main is GHOSHT

ko is Bakri ka paata hun, jise is k Maalik ki ijaazat k Bager Zibah kiya gaya

ho"..

(Sunan Al Daar Qatni, Jild#4, Page#285, Matboo'a Daar Ul Ma'arfatah, Beroot)

Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh us Bakri ka

GHOSHT hai, jo Maalik ki Ijaazat k Bager Haasil kar k Zibah ki gai"..

(Al Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555,

Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)

Faisla Aap k Haath main hai, k GHOSHT ka Luqma moun main Rakhte hi,

pata chal jaana k BAQRI Ijaazat le k Zibah ki gai, ya bager ijaazat liye Zibah

kiye gae, GAIB hai ya nahin, aur is ka Jaan lena, ILM-e-GAIB hai ya nahin..

HADEES#24:

* TUMHARAY PASS AHL-E-JANNAT KA EK SHAKHS AARAHA HAI:

Muhammad Bin Abdullah Abu Abdullah Al Haakim NeshaPuri 405 Hijri

main HAZRAT ABDULAH BIN MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hum NABI-E-KAREEM (Sallalaho Alehe Wassallam) ki Bargah

main Haazir the, to RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne

farmaya tumharay pass Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aaraha hai, to HAZRAT

ABU BAKAR SIDDIQUE (Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth

gae"..

(Al Mustadrik Kitaab Ma'arfah l Sahabah, Jild#3, Page#73, RaqamUl Hadees

4443, MAtboo'a Daar Ul Qutub ilmiyah Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Seyooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Haakim (RematULLAH Aleh) ne SAHI bata kar HAZRAT IBN-

E-MAS'OOD (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Unhon ne kaaha

k RASOOL ALLAH (Sallalaho ALehe Wassallam) ne farmaya tumharay pass

Ahl-E-Jannat ka ek Shakhs aarha hai, to HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE

(Razi ALLAH Anhu) aae, aur Salaam kar k Beth gae"..

(Khasa-E-s Ul Kubra, Jild#2, page#180, MAtboo'a DarUl Qutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin AbdULLAH (RAZI ALLAH ANHU) bayaan

karte hain k Hum NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki Bargaah main

Haazir the k, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Is Waqt tum

par woh Shakhs Chmakay ga k, ALLAH ne mere Baad us se Behtar O

Buzrug tar kisi ko nahin banaya, aur us ki Shafa'at Ambiya ki Shafa'at ki

misal hogi, Pas Hum Haazir hi the k HAZRAT ABU BAKAR SIDDIQUE

(RAZI ALLAH ANHU) Aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qayaam

farmaya Phir in ko Boosa diya uar Galay lagaya"..

(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot)

Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) farmatay hain:

Tarjuma: " HAZRAT JAABIR BIN ABDULLAH (RAZI ALLAH

ANHU) Bayaan kart hain k HumNABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ki

Bargaah main Haazir the, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne irshaad farmaya, is

Waqt tum par woh Shkahs Chamkay ga, k ALLAH ne mere Baad us se

Behter O Buzrug Tar Kisi ko Nahin banaya aur us ki Shafa'at Ambiya ki

Shaffa'at ki Misal hogi, Pas Hum Haazir hi the, k HAZRAT ABU BAKAR

SIDDIQUE (RAZI ALLAH ANHU) aae, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

Qayaam farmaya phir un ko Boosa diya aur Galay lage"..

(Ar Riyaaz Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a

Daar Ul Guroob Ul Islaami, Beroot)

Kisi ko Ahl-E-Jannat kehna kiya hai?? Haqeeqat aap k Saamnay hai... HAZRAT

ABU BAKAR SIDDIQUE ko Ahl-E-Jannat keh kar pukaara, yaani HUZOOR

(ALEH SALAAM) jaantay they k woh Jannati hain, aur Jannat aur Dozakh k

Baaray main Jaanna Yaani kon Jannati hai aur kon Dozakhi yeh ILM-E-

GAIB hai ya nahin, is ka Faisla Aap hi kar len.

HADEES # 25:

SAB SE BAD BAKHT INSAAN KON HAI??:

Imaam E Kabeer Muhaddis Shaheer Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin

Abdullah Asfahaani 430 Hijri main is Riwaayat k Baad likhte hain:

Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, kehte hain,

Main aur Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Gazwah E Asheerah main hum

Ruqaab the, ek jagah hum ne parao kiya, wahaan hum ne chand choti se Khajooron

ko dekha, aur un k neechay maati ki dhool par hi sogae, humen NABI (ALEH

SALAAM) k siwa kisi ne bedaar na kiya, AAP tashreef lae, aur HAZRAT ALI

(Razi ALLAH Anhu) k paaon ko Aahista Tatola aur Haalat yeh thi k hum Mitti se

lat pat the, AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya ALI utho! kiya main

tumhen batlaon nahin k sab se Bad Bakht kon hai??

Ek to Qom E Samoood ka woh Mard Ahmer jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki

ooontni k paaon Kaate the, aur dusra woh jo tum par is jagah waar

karega, AAP ne apne Sir ki ek jaanib Ishaara kiya aur yeh tar hojae gi, AAP

ne apni Daarhi mubarak pakar li..(Yaani Sir se le kar Daarhi tak khon hi

khoon hoga)

(Dalael Un Nabuwwah Laabi Naeem Asfahaani Urdu, Page#497, Matboo'a Ziya

Ul Quran Publications Lahore)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main bhi yahi Riwaayat karte hain:

(Bahawaala: Fazael E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, Page#566, Raqam Ul

Hadees 953, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)

Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " to Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya k beshak RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se Uhad (Waada) farmaya k main us

waqt tak nahin marunga, jab tak main khaleefa na ban jaoun, phir meri

Daarhi ko mere khoon se rang diya jae.. to Aap (Razi ALLAH Anhu) bhi

Qatal huwe, aur Abu Al Fazaalah (Razi ALLAH Anhu) bhi Yom E Safeen k

roz Qatal huwe"..

(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah

Mukarrama)

Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Muhammad Bin Habeeb Ul Maawardi 429

Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Main nahin Marunga jab tak Meri Daarhi ko meray chehray k

khoon se Rang na diya jae"..

(Aalaam Un Nabuwwah Al Baaab As Saani Asharfi, page#79, Awwal Baab Us

Shaer Feema Sama Min Mojizaat, Akhbaar Ul Ahad, Page#157, Matboo'a Daar Ul

Kitaab, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH ALEH) Lihkte hain:

Tarjuma: " Hazrat UbaidULLAH se Marwih hai k NABI E KAREEM

(Sallalaho Alehe Wassallam) ne HAZRAT ALI (RAZI ALLAH ANHU) se

farmaya Ae ALI (RAZI ALLAH ANHU)Aglon aur Pichlon main Bad Bakht

tareen kon hai??

Unhon ne kaha ALLAH aur us ka RASOOL (SALLALAHO ALEHE

WASSALLAM) ziyaadah jaante hain, unhon ne farmaya, Aglon ka sab se

ziyadah Bad Bakht Saleh (ALEH SALAAM) ki Ooontni k haath paaon kaatne

waala tha, aur Pichlon ka bad bakht tareen woh hoga, jo tumhen Neza

maaray ga, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ne is Muqaam par ishaara

kiya, jahaan woh neza marey ga"

Imaam Jafar Suraiya Ali (Razi ALLAH Anhu) se marwih hai k main Hazrat

ALI (Razi ALLAH Anhu) k haathon par paaani daal rahi thi, Yaka yak

Unhon ne apna sir Uthaya, phir apni Daaarhi Pakar kar use naak tak buland

kiya k tere liye Khushi hai k tu Zarur Zarur Khoon main rangi jaegi, phir

Jummay k Din un par Hamla kiya gaya"..

(Tabkat E Ibn-E-Saad, Jild#3, Page#35, Matboo'a Dar Us Saadir, Beroot)

Imaam Jalal Ud Deen 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hakim (REMATULLAH) ne sahi bata kar HAZRAT ALI (RAZI

ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Aap ne kaha mujh se RASOOL ALLAH

(Sallalaho Alehe Wassllam) ne farmaya,tumhen is jagah aur is jagah Zarb

lagai jaegi, aur HUZOOR (ALEH SALAAM) ne donon Kanpatiyon ki taraf

ishaarah kiya, aur in donon se khoon Beh kar tumhari Daarhi ko Rangeen

kar dega"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#210, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Haafiz Abu Ul Qasim Sulemaan Suleman Bin Ahmed Tibraani 360 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Usman Bin Suhaib apne Baap suhaib (Razi ALLAH

Anhu) se Naqal farmate hain, k ek din HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) ko farmaya yeh batlao, pehle logon main se

Bad Bakht kon tha?

Aap ne Arz kiya jis ne Saleh (Aleh Salaam) ki Ooontni ko Qatal kiya, aur

Paaon kaatey, AAP ne farmaya tum ne theek jawaab diya..

Phir pucha acha yeh batlao Pichlay logon aur aane waalay logon main se Bad

Bakht kon hai??

Unhon ne Arz kiya maalom nahin, AAP ne farmaya, Jo Shakhs Aap ko Kanpati

par waar kar k shaheed karega..

Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ahl-E-Iraq ko farmatey the, Ba KHuda main

chahta hun aur pasand karta hun k oi bad bakht uthey aur is aur is jagah (yaani

Daarhi Mubarak aur Sar-E-Aqdas ki isi jaanib) ko khoon Aalood karta aur

main Darjah E Shahaaadat ko paa leta"..

(Al Mu'ajjim Ul Kabeer Ul Tibraani, Jild#8, Page#38, Raqam Ul Hadees 37311,

Jild#2, Page#247, Raqam Ul Hadees 2037-2038, Matboo'a Maktab Ul Uloom O Al

Hakam O Al Mosal)

Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya kiya main tumhen

tamaam logon main se do Bad Bakht Aadmiyon k mutaa'alik na bataon??

Hum ne Arz ki zarur Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM), HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne farmaya ek Qom E Sammod ka woh shakhs jis ne

Ooontni ki koonchen kaat din thin, aur dusra woh shakhs, jo Ae ALI! tere is

maqaam par Zarb lagae ga ( HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Apna Dast E

Aqdas HAZART ALI (Razi ALLAH Anhu) k Sir ki choti par rakha), yahaan

tak k is maqaam k khoon se yeh jagah bhi tar hojae gi"...

(As Seearah Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E

Asheerah, Jild#3, Page#144, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Ali Bin Mehmood Bin Saood Al Khazai 789 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Yeh Mojizaat E NABI (ALEH SALAAM) main se hain, aur yeh

Akhbaar Ul GAIB k baab main se hai"..

(Takhreej Ur Dalaalaat Us Samee'a Ul Fasal Fi Zakar O Akhbaar, Page#188,

Matboo'a Daar Ul Garab Ul Islaami, Beroot)

Faisla aap khud karen.. k HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko batana k un

ki Shahaadat kis tarah hogi yeh Ilm-E-GAIB hai ya nahin..

HADEES # 26:

ZAMEEN PAR CHALTA PHIRTA SHAHEED DEKHO:

Imaam Abu Ul Hasan Ali Bin Habeeb Ul Mawardi 429 Hijri main Riwaayat

karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir (Razi ALLAH ANhu) se Riwaayat hai k NABI-E-

KAREEM (Sallalaho Alehe) ne farmaya, jo iraadah rakhta ho k main Zameen par

chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin UbaidULLAH (Razi

ALLAH Anhu) ko dekhey"..

(Aalaam Un Nabuwwah, Al Baab Us Saani, Ashar Fi Anzaarah Bama Sehdas

baada, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)

Imaam Ibn-E-Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya jo chahay k

zameen par chalta phirta Shaheed dekhun to use chahiye k Talha Bin

UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhay, PhirTalha (Razi ALLAH

Anhu) Yom E Jaml main Shaheed huwe"..

(Dalael Un Nabuuwah Al Behki, Jild#3, Page#32, Matboo'a Dar Ul kitaab Ul

Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Waahid Hambli Ul Muqaddasi

643 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Moosa Bin Talha (Razi ALLAH Anhu) ne apne waalid se

Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jo Mehboob

rakhta hai k Zameen par Chalta phirta Shaheed dekhe, to ue Chahiye k Talha Bin

UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekhey, is Hadees E Mubaraka ki

Sanad Hasan hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah,

Beroot)

Imaam Ibn-E-Maaja (RehmatULLAH Aleh) Riwayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) Riwaayat karte

hain k Hazrat Talha (Razi ALLAH Anhu) ek martaba NABI E KAREEM

(ALEH SALAAM) k pass se guzrey toAAP (ALEH SALAAM) ne

farmaya, Shaheed Zameen par chal raha hai"..

(Sunan Abi Maaja, Fazal Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu), Jild#1,

Page#46, Raqam Ul Hadees 125, Matboo'a Daar Ul Fiqar Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hiri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdul Aziz (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya k NABI E

KAREEM (ALEH SALAAM) ne farmaya jo Shakhs kisi Shaheed ko Zameen par

Chalta Phirta dekhna chahay woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH

Anhu) ko dekh le"..

(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4, Page#29,

Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Jaabir Bin Abdullah (Razi ALLAH Anhu) farmatay hain k mene HUZOOR

(ALEH SALAAM) ko farmate huwe suna,

Tarjuma: " Jo Shakhs Shaheed ko zameen par chalte phirte dekhne se khush ho

woh Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) ko dekh le"..

(Sunan Tirmizi, Jild#5, Page#644, Raqam Ul Hadees 3739, Matboo'a Daar Ul

Haya, Beroot)

Ab yeh batana k Talha Bin UbaidULLAH (Razi ALLAH Anhu) Shaheed

honge, yeh Gaib ka Ilm hai ya nahin??

HADEES # 27:

Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB MUSTAFA

(Sallalaho Alehe Wassallam):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Muhammad Bin Umro

Bin Hasan (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hum Imaam

Hussain (Razi ALLAH Anhu) k saath karbala ki neher par the, Aap ne Shamar

Bin Zil Joshan ko dekh kar farmaya, ALLAH TA'ALA aur us k RASOOL

(ALEH SALAAM) ne such farmaya, Goya main Chitkabray kuttay ko dekh raha

hun, jo meri Ahl-E-Bait ka khoon pee raha hai, Q k Shamar Mal'oon Bars k marz

main mubtala tha"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah,

Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Shobi (RehmatULLAH Aleh) se

Riwaayat ki, Unhon ne kaha Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) Madina

Munawwara Aae, Unhen Maaloom huwa k Imaam Hussain (Razi ALLAH

Anhu) Iraq ki taraf Rawaana ho chukay hain, to woh madinay se do din ki

musaafat par jaa kar un se mile aur un se kaha ALLAH TA'ALA ne apne NABI

E KAREEM (ALEH SALAAM) ko duniya O Akhirat k darmiyaan ekhtiyaar

karne ko farmaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Aakhirat ko ekhtiyaar

kiya aur dunya ko rad kiya, q k AAP, RASOOL (ALEH SALAAM) k juzo

hain, Khuda ki Qasam AAP main se kisi ko Duniya kabhi nahin haasil hogi,

aur ALLAH TA'ALA ne AAP Hazraat se is duniya ko is cheez k saath Pher

diya hai, aur jo AAP Hazraat k liye is se behtar hai, lihaaza AAP waapis

chaliye, Magar Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ne waapisi se inkaar kar

diya, to Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne aap se yeh kehte huwe

Mu'aanikah kiya k AAP ko AALAH TA'ALA k Supard karta hun, Q k AAP

Shaheed hain"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#213, Daar Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)

Hafiz Abu Bakar Bin Hussain Behki 458 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai unhon

ne kaha k Main neRASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek din

dopeher k waqt khuwaab ki haalat main dekha k AAP k Baal Mubaarak Gard

Aalood hain, aur AAP k dast E Mubarak main khoon ki botal hai, mene Pucha

yeh kiya hai??

AAP ne farmaya Yeh HUSSAIN (razi ALLAH Anhu) aur in k Saathiyon ka

khoon hai.. Aaj main Shoru din se is khoon ko is waqt tak jama karta raha hun, to

mene apne khuwaab k waqt ko yaad rakha to yehi waqt tha, jis din

woh shaheed kiye gae"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah,

Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammar Bin Abi Ammar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan

karte hain k Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, mene khuwaab

main dekha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k baal bikhre huwe, aur

Gubaar Aalood hain, aur AAP dopeher k waqt ek Sheeshi uthae hain, jis

main khoon bhara huwa hai, mene arz kiya, Ya RASOOL ALLAH! Yeh kiya

Cheez hai??

AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Hussain (Razi ALLAH Anhu) aur in

k Ashaab (Razi ALLAH Anhu) ka khoon hai, main aaj din se le kar ab tak

yeh khoon jama kara raha hun, Hazrat Ammaar Ibn-E-abi Ammaar (Razi

ALLAH Anhu) farmaatey hain k hum ne woh din yaad rakha, phir maaloom

huwa, k Hazrat Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) ko usi din Shaheed kiya

gaya tha"..

(Musnad Ahmed, Jild#1, PAge#242, Raqam Ul Hadees, MAtboo'a Mosasta,

Qurtuba, Misar)

Imaam Hafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat

karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umm-E-Salma (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k

unhon ne kaha k meneRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ko khuwaab main

dekha k AAP k Sar-E-Mubaarak aur AAP ki Daarhi Shareef Gard Aalood hai, yeh

haal dekh kar mene Arz kiya, Ya RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Aap ka

kiya haal hai??

AAP ne farmaya, Abhi Abhi Maqtal-E-Hussain se Aaraha hun"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#48, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah,

Beroot)

Fasila Aap k haath main.. Haq ki pehchaan khud karen..

HADEES # 28:

BESHAK IMAAM HASAN AUR IMAAM HUSSAIN (Razi ALLAH Anhu)

JANNATI NOJAWAANON K SARDAAR HAIN:

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte

hain, RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne farmaya, Hasan aur

Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannat k Nojawaanon k Sardaar hain"..

(Sunan Tarmizi, Hadees Hasan Sahi, Jild#5, Page#656, Raqam Ul Hadees 3768,

Matboo'a Daar Ul Ahya at Turaas Al Arabi, Beroot)

Allama Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maliki 668 Hijri main Likhte

hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Hussain (Razi ALLAH

Anhu) aur Baray BhaiHazrat Hasan (Razi ALLAH Anhu) k Muta'alliq farmaya:

" Beshak Imaam Hasan aur Imaam Hussain (Razi ALLAH Anhu) Jannati

Nojawaanon k sardar hain"..

(Musnad Ahmed, Jild#3, page#623)

(Ibn-E-Maaja, Raqam Ul Hadees 118)

Yeh Batana k, Hazrat Imaaam Hasan Aur Hazrat Imaam Hussain (Razi

ALLAH Anhu) Jannati aur Jannati Nojawaanon k Sardaar hain, yeh Gaib

hai ya nahin??

Faisla Aap k Haath main hai..

Hadees # 29:

SAB SE PEHLE MUJH SE WOH MILEGI JO TUM SAB MAIN DARAAZ-

E-DAST HAI:

Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH) ne Hazrat Aayesha Siddique'ah (Razi

ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne farmaya, tum Azwaaj main se woh Zoja mujhey sab se pehle

milegi, , jo tum sab main Daraz-E-Dast hai, to hum naapnti thin, k kis ka

Haath Taweel hain, to woh Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) thin, un k

Haath taweel the, q k woh apney haath se Amal kartin, aur Sadqa kiya karti

thin"..

(Khasais ul Kubra, Jild#2, PAge#219, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah

Beroot)

Imaam Muhammad Bin Habbaan Bin Ahmed Abu Haatim 354 Hijri main

Likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ki Wafaat hone waali sab se pehli Biwi thin"..

(As Suqaat, Jild#3, PAge#144,Bar Raqam 485, Matboo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Ibn-e-Abdul Bar (RehmatULLAH ALEH) likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab (Razi ALLAH Anhu)) sab se pehle milne waali biwi

thin"..

(Al Isti'aab, Jild#4, PAge#1850, Bar Raqam 3355, MAtboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Bhi Yahi Riwaayat karte hai:

(Ba Hawaala: Al Jaamay Us Sageer, Fi Ahaadees Ul Basheer Un Nazeer, Jild#1,

Page#168, Raqam Ul Hades 2832, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ul Ilmyah Beroot)

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehmaan Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte

hain:

Tarjuma: " Hadees Shareef main hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

apni Azwaaj E Mutah'hiraat se kaha, tum main sab se pehle mujhey woh milegi,

jis k Haath lambay honge, Azwaaj E Mutah'hiraat (Razi ALLAH Anhu) ek jagah

jama ho kar apne haathon ki Pemaish karne lageen, Hazrat Soodah (Razi ALLAH

Anhu) k Haath Taweel the, Magar in main Sab se pehle, Hazrat Zainab (Razi

ALLAH Anhu) ka Wisaal huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Haath ki

Tawaalat se Sadqah aur Neki main Ziyad'dati ki muraad li thi, aur yeh

khoobi Hazrat Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH Anhu) main Paai jaati

thi"..

(Roz Ul Atfaal Man Sharah Shura, Jild#2, Page#364, MAtboo'a Daar Ul Kutub

Ilmiyah, Beroot)

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430

Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdur Rehman Abzi (RehmatULLAH) kehte hain k main

ne Madina Munawwarah main Hazrat Ibn-E-Umar (RAzi ALLAH Anhu) k

peeche, Zainab (Razi ALLAH Anhu) Zoj-E-NABI (ALEH SALAAM) ki

Namaz-E-Janaza Parhi, AAP (Sallalaho Alehe Wassllam) k Pardah farmane k

baad, Hazrat Zainab (Razi ALLAH Anhu) pehli Azwaj E Mutah'hira thin,

Jinhon ne wafaat paai, Aur Hazrat Ibn-E-Umar (Razi ALLAH Anhu) ne in ki

Namaz main 4 Takbeeren Kahin"..

(Halya Tul Oliya, Tabkaat Ul Asfaya, jild#8, PAge#211, Matboo'a Daar Ul Kitaab

Ul Arabi, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Hussain Behki 258 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " Woh Zainab Bint-E-Hajazh (Razi ALLAH Anhu), RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) ki Wafaat hone Waali sab se pehli Biwi thin"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#7, Page#285, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah,

Beroot)

Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Al Khateeb 810 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Woh (Zainab Bint-E-Hajash (RAzi ALLAH Anhu) sab se pehli

milne waali Biwi thin"..

(Waseela E Islaam, Matboo'a Daar Ul Garb Ul Ul Islaami, Beroot)

Faisla Aap karen.. k jis NABI (ALEH SALAAM) ne yeh bata diya, k Unki

Azwaaj main Sab se pehle un ko Woh Zoja milengi jin k Haath Taweel honge

(Yaani Zainab Bint-E-Hajash (Razi ALLAH ANhu)) unhen Gaib ka Ilm hai

ya nahin..

HADEES # 30:

OWAIS KARNI (Razi ALLAH Anhu) Aur ILM-E-GAIB-E-Mustafa

(Sallalaho Alehe Wassallam):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Muslim (Aleh Rehmah) ne Ameer Ul Momineen Hazrat Umar-E-

Faarooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) ne hum se Irshaad farmaya k Ahl-E-Aman ka ek

Shakhs Tumharay pass Aaega, aur Yaman main Sirf Apni Waalidah ko hi

chor kar aaaega, Is k Jism par Safedi thi to, usne ALLAH Azzawajal se Use

Dur karne ki dua ki to, woh Safedi dur Jati rahi, Sirf Ek Deenaar k barabar

Safedi baaqi hai, is ka naam Owais (Aleh Rehmah) hai, to tum main se jo koi

us se Mulaqaat kare, to use Chahiye k us se Magfirat ki Darkhuwaast ki dua

kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH) ne Dusri Sanad k saath, Hazrat Umar-E-

Farooq (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, K RASOOL (ALEH

SALAAM) ne farmaya, k Taba'een main, Qur'n ka ek Shakhs hoga, jis ka

naam Owais E Karni (Aleh Rehmah) hoga, is k Jisam main Safedi Zaahir hogi,

woh ALLAH Azzawajal se use Dur karne ki dua karega, aur Woh Dur

hojaegi,woh dua karega, " Ae Khuda! MEre jism se is Safedi ko dur kar de,

aur mere jism main itni safedi chor de, k main teri nemat ko yaad rakhun, to

ALLAH TA'ALA Azzawajal us k jism main itni safedi chor de ga, lihaaza tum

main se agar koi us se mile, aur woh ista'taa'at rakhta ho k is se Istagfar kare to

use Laazim hai k Us se Istagfaar ki darkhuwaast kare"..

(Khasaes Ul Kubra, Jild#2, PAge#220, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhaddis E KAbeerImaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430

Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Sahaba E KAraam (Razi ALLAH Anhu) kehne lage, Ya

RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) in Buzrugon main humen koi Aadmi

mil sakta hai??

Farmaya: Haan " Owais Karni" hai, jis se tumhari Mulaaqaat hogi, Sahab E

Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Owais Karni (Razi ALLAH Anhu) ki

Alaamaat puchin,

farmaya: Jis ki Aankhen Surkh Maael Hongi, Surkh Baalon Waala hoga,

Kushada Kaandhon waala, Darmiyaan E Qad Waala, Gandum Go, Seenay

par Baalon Waala, Daayaan Baaen par rakhe ga, Qura'an ki Tilaawat kare

ga, aur Apne par Bohat Rota hoga, Suno Us k Baa'en Kaandhay k neeche ek

chamak hogi, Ahl E Zameen main use koi nahin jaanta, Ooon ka Ozaar

Baandha hoga, Ooon hi ki Chaadar Orhi hogi, Khoob sun lo , Qayaamat k

Din Aam logon se Kaha jawega, k Jannat main daakhil hojao, aur Owais

Karni (Razi ALLAH Anhu) se kaha jaega, k Idhar kharey hojao, aur Shafa'at

karo, tumhaari Shafa'at Kabool ki jae gi, Ae Umar O Ali jab tumhari in se

Mulaaqaat hogi, to in se Istagfaar karwaana, ALLAH Tumhari Magfirat

farmae ga"..

(Huliya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#2, Page#82, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul

Ilmiyah Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, is Ummat main mera

Khaleel Owais Karni hai"..

(Tabkaat Ibn-E-Saad, Jild#6, Page#163, MAtbo'a Daar Us Saadir Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad O Haakim (Aleh Rehmah) ne Abdur Rehman Bin

Abu Laili (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k Jang Safeen k

Roz Ahl-E-Shaam k ek Aadmi ne Pukaara k kiya Tum main Owais Karni (Aleh

Rehma) hain??

Logon ne jawaab diya, Haan hain..

Us ne kaha mene NABI (ALEH SALAAM) se suna hai, k Owais Karni (Aleh

Rehma) Khair Ut Ta'ba'een hain..

Is k Baad woh Shakhs apne Ghoray ko Aerh laga kar apne lashkar main

chala gaya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#220, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abu Naeem Asfahaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Muhaarib Bin Dasaar (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte

hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Bila Shuba meri

Ummat main se aese log hain, jo nangay honay ki wajah se apni Masjid aur

Eid Gah main nahin ja sakte, aur un ka Eemaan unko logon se maangne se

Rokta hai, un main se Owais Karni aur Faraat Bin Hayaar (Razi ALLAH

Anhu) hain"..

(Halya Tul Oliya O Tabkaat, Jild#9, Page#38, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul

Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn E Saad O Haakim (RehmatULLAH) ne Batareek Aseer Bin

Jaabir (Aleh Rehmah) Hazrat Umar (razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki,

inhon ne Hazrat Owais KArni (RehmatULLAH Aleh) se farmaya, Aap mere

liye IStagfaar farmaen, Owais Karni (RehmatULLAH Aleh) ne famraya,

main Aap k liye q kar Istagfaar karun?? Jab k AAP Khud RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) k Sahaabi hain..

Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya, Main ne RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) se Suna hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khair

Ut Taab'aeen woh Shakhs hai, jis ka Naam Owais Karni (RehmatULLAH

Aleh) hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#221,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Yeh Hadees Bad Aqeedah Fitnon k Moon par Tamacha hai.. Q k is main

HUZOOR (ALEH SALAAM) k Ilm-E-Gaib ki Daleel bhi hai, aur Waseelay

ka Saboot bhi...

HUZOOR (ALEH SALAAM) ka Sahaba E Karaam ko Owais Karni k Baaray

main Batana, k Woh kis tarah k honge, aur Mulaaqaat bhi hogi, wagera.. aur

woh Baroz E Qayaamat Shafa'at bhi karenge, yeh Ilm-E-Gaib ka Saboot hai..

Aur OWais Karni se Dua ki Darkhuwaast karna, aur ALLAH ka Istagfaar

kabool karna, yeh Waseelay k Dalael main se hai..

Faisla Aap khud karen..

HADEES # 31:

DO AZEEM GIROH K DARMIYAAN ALLAH AZZAWAJAL US K

ZARIYE SULAH KARWAE GA:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Bukhari (RehmatULLAH Aleh) ne, Abu Bakar (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne Hazrat Imaam Hasan (Razi ALLAH Anhu) ki Baabat

farmaya, Mera Yeh Farzand Sardaar hai, aur Tawwaqqah hai k ALLAH

Azzawajal Musalmaanon k Do Azeem Girohon k Darmiyaan us k Zariye

Sulah karae ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#226, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ismail Bin Muhammad Bin Al Fazal Al As Subhani 535 Hijri main

Likhte hain:

Tarjuma: " Imaam (RehmatULLAH Aleh) farmate hain k yeh Hadees

Nabuwwat par Dalaalat karti hai k Isi tarah huwa jesa k HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne farmaya tha, k ALLAH Azzawajal ne Us k Zariye Iraaqi aur

Shaami Lashkaron main Sulah Farmadi"..

(Dalael E Nabuwwah, Page#112, Raqam Ul Hadees 114, Matboo'a Daar Ul Taeba

Riyaaz)

Faisla Khud karen k NABI (ALEH SALAAM) ne pehle hi Bata diya k Imaam

Hassan (Razi ALLAH Anhu) Do (2) Baray Giroh k Darmiyaan sulah karwaen

ge.. Aur Aesa hi juwa, To yeh ILM-E-GAIB nahin to aur kiya hai??

HADEES # 32:

UMM E WARQAH BIN NOFIL (Razi ALLAH Anhu) SHAHEED HAI:

Imaam Behki (RehmatULLAH) Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat UMM E Warqah Bint Al Haaris (Razi ALLAH Anhu) ki

Mulaaqat k liyeRASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Tashreef le jaate,

Aur AAP ne Un ka Naam As Shaheedah rakha tha, woh Quraan ki Haafiza

thin, Jab RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Gazwah E Badar Tashreef le

gae, to unhon ne kaha Aap Mujhey ijaazat den, to main bhi aap k saath jaaoun

aur Mareezon ki Zakham Patti aur Beemaaaron ki Temaadaari karun,

Shayad ALLAH TA'ALA mujhey Shahaadat Ata farmae, AAP (ALEH

SALAAM) ne farmaya, ALLAH TA'ALA tum ko Shahaadat Ata farmae ga,

aur AAP in ko As Shaheedah kehte the, aur NABI E KAREEM (ALEH

SALAAM) ne in ko Hukum diya tha, k woh apne Ghar ki Khawaateen ki

Imaamat kiya karen, in ko Maal E Ganeemat main se ek Baandi aur Ek

Ghulaam mila tha, jin ko unhon ne Madbar kar diya tha, (Yaani un se keh

diya tha, k mere marnay k baad tum azaad ho).. HAZRAT UMAR (RAZI

ALLAH ANHU) k Dor E Khilaafat main in donon ne Hazrat Umme Warqah

(Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kar diya aur donon Bhaag gae, Hazrat Umar

(Razi ALLAH Anhu) k Hukum se unko pakar liya gaya, aur un donon ko Suli

par latka diya gaya, Madinay Taebah main in ko sab se pehli Sooli di gai thi,

Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

Sach farmaya tha, AAP farmate the, Chalo As Shaheedah ki Ziyaarat k liye

chalen"..

(sunan Al Kubra,Jild#3,Page#130,Raqam Ul Hadees 5136, Matboo'a Maktab Daar

Ul Baaz, Makah Mukarrama)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Daaod Naeem (Aleh Rehmah) ne Jamee aur Abdur Rehman

Bin Khalaad Ansaari (Razi ALLAH Annhu) se in donon ne Umme Warqah

(Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI (ALEH SALAAM) jab badar gae

to, Umme Warqah Bin Nofil (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM)! Mujhey Gazwah E Badar main Apni Ma'yyat

main Jaane ki Ijaazat Dijiye, Mumkin hai k ALLAH TA'ALA mujhey

Shahaadat Naseeb farmae, AAP ne farmaya Tum Apne Ghar main Bethi

raho, ALLAH Azzawajal tumhen Shahaadat Naseeb farmae ga, to in ko Lod

Shaheedah k naam se Pukaarte the..

Is ki Shahaadat ka Waqiyah yeh huwa k woh Quraan E Kareem ki Tilaawat

kar rahi thin, aur unhon ne Ek Ghulaam aur Baandhi ko Madbar kiya tha,

woh donon raat k Waqt in k pass aae, aur ek Chaadar se in ka Gala Ghont

diya, yahaan tak k woh Foat hogain, Yeh Waqiyah HAZRAT UMAR E

FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) k Zamana E Khilaafat ka hai, phir un ko

pakar k Sooli de di gai, yeh Madine Munawwarah ki se Pehli Sooli Charne

waalay the"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#228-229, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah

Beroot)

Imaam Ibn-E-Saad (Aleh Rehmah) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne farmaya,

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne sach farmaya tha, k AAP (ALEH SALAAM)

farmate the, k Aao Shaheedah ki Mulaaqaat k liye Chalen"..

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jld#8,Page#475,Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Faisla Hkud karen, k Umme Warqah ko Shaheed hone s pehle batana, k Woh

Shaheed hongi, aur un ko As Shaheedah keh k Pukaarna Yeh ILM-E-GAIB

hai ya nahin??

HADEES # 33:

LEKIN WOH SHAKHS NAALEN MUBARAK KO SEENAY WAALA

SHAKHS HAI, YAANI HAZRAT ALI MURTAZA (RAZI ALLAH ANHU):

Imaam Muhib'Bud'Deen Abu Al Abbas Ahmed Bin Abdullah 694 Hijri main

Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Saeed Khadri (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain,

k mene HUZOOR (ALEH SALAAM) se suna k beshak tum main se ek Taaweel

Qura'an pe Jhagra karega, jese k is k Nuzool par jhagra kiya tha to, Hazrat Abu

Bakkar (Razi ALLAH Anhu) farmane lage, kiya woh main hun Ae ALLAH k

RASOOL (ALEH SALAAM), to HUZOOR (ALEH SALAAM) farmaanay

lage, nahin, Balkay Jootay k Seenay waala Hujray main hai,aur HAZRAT

ALI (Razi ALLAH Anhu) ko Joota Mubaarak diya tha, taa k is ko si lay"..

(Zakhair Ul Aqi Fi Manaqib Zawi Al Qarbi, Page#76, Matboo'a Daar Ul Kutub Ul

Masriyah)

Imaam ahmed Bin Hambal 241 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:

(Ba Hawala: Fazail E Sahaba La Bin Hambal, Jild#1, age#571, Raqam Ul Hadees

966, Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Imaam Bagdaadi (RehmatULLAH) ne bhi yahi likha:

(Ba Hawala: Taareekh E Bagdaadi, Jild#8, Page#433, Ba Raqam 4540, Matboo'a

Daar Ul Kutub Ul Ilmiyah BerooT)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH) ne Sahi bata kar Behki

(RehmatULLAH ALEH) ne Abu Saeed (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki

unhon ne kaha k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k saath the, AAP

ki Naalen Mubaarak toot gai, to HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH

Anhu) Peeche reh kar ise seenay lage, phir kuch door chal kar farmaya, tum

main se ek Shakhs woh hai jo Quraan ki Taaweel par jang karega, jis tarah k

main us ki Tanzeel par jang karta hun, Hazrat Abu Bakar Siddique (Razi

ALLAH Anhu) ne Arz kiya, Kiya woh main hun??

Farmaya: Nahin

Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz ki Kiya YA RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) main hun??

Farmaya: Nahin

Lekin woh Shakhs Naalen Mubarak ko seenay waala shakhs hai, Yaani

HAZRAT ALI MURTAZA (Razi ALLAH Anhu)"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#234,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen, Pehle se hi Bata dena, k Woh Shakhs Hazrat Ali (Razi

ALLAH Anhu) honge, yeh Gaib ka ILM hai ya nahin..

HADEES # 34:

SAB SE PEHLE JO MERI SUNNAT KO BADLAY GA WOH BANI

UMMAIYYAH KA AADMI HOGA (YAANI YAZEED):

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Abi-Sheeba O Abu Ya'Ali Aur Behki (RehmatULLAH)

Abu Zar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k Mene RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) se suna hai k AAP ne farmaya, sab se pehle jo meri Sunnat

ko Badlay ga, woh Bani Ummaiyah ka Aadmi hoga".

Behki (RehmatULLAH ALEH) ne farmaya, Shuba hota hai, k Gaaliban woh

Aadmi YAZEED BIN MAAWIYAH HAI"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Haaris Bin Abi Usama 282 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abu Ubaidah Bin Al Jarah (Razi ALLAH Anhu) se

Riwaayat hai k unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne

farmaya, yeh Deen Hamesha Mu'at'tadal aur Adal O Insaaf par Qaem rahe ga, Al

Bat'ta, Bani Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, us main

Rakhna Daaley ga"..

(Bagyat Ul Baahis An Zawaid, Musannad Ul Haaris,jild#2, Page#642, Raqam Ul

Hadees 616, Matboo'a Markaz E Khidmat Al Sunnah, Wa Seerat Un Nabuuwwah,

Al Madina Tul Munawwarah)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Mani O Behki Aur Abu nAeem (RehmatULLAH

Aleh) ne Abu Ubaidah Bin Al Jarrah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k

Unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Yeh Deen

Hamesha Mu'attadal aur Insaaf par Qaem rahe ga, Al Bat'ta Bani

Ummaiyyah ka ek Aadmi jis ka naam Yazeed hai, is main Rakhna Daale ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#236, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH ALEH) ne Maaz Bin Jabal (Razi

ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne

farmaya tum par Andheri raat k tukray ki maanind fitnay aaye, jab Ek

RASOOL Gaya, aur Dusra RASOOL aa gaya,aur NABUWWAT mansookh

hogai, aur Baadshahat Aagai, Ae Maaz (Razi ALLAH Anhu) Yaad rakho, aur

Gino (Phir Fitnay batana Shoru kiye) aur jab 5 tak puhnchay, to Farmaya,

Yazeed, ALLAH Azzawajal, Yazeed main Barkat na de, is k baad AAP

(ALEH SALAAM) ki Aankhon se Behnay lage, aur farmaya, mujhey Imaam

Hussain (Razi ALLAH Anhu) ki Shahaadat ki khabar di gai, aur in k Maqtal

ki Mitti lai gai, aur Mujhey in k Qaatil ki Khabar di gai, Is k Baad jab 10 Tak

puhchay, to farmaya, Waleed, Yeh Firon ka naam hai, Woh Islami Shariyat

ka Dhaanay waala hoga, is k Ahl-E-Bait ka ek Aadmi us ka khoon bahaega"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#237,Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Khud karen.. kiya yeh Ilm-E-GAIB nahin, k Pehle se Yazeed ka bata

dena, k Sab se pehle Sunnat Badalna Wala Aadmi Yazeed hoga..

Note: Wahabi Yazeed ko Sahi ko Maante hain, ab Aage aap khud samajh

jaen, k Wohi Pehla Aadmi tha, NABI (ALEH SALAAM) ki Sunnat ko badlne

waala, to us k Chahne waale Kese honge, aur Yahi Baat hai, k Yeh log ILM-

E-GAIB k Munkir hain..

HADEES # 35:

AMMAR BIN YASIR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya, TUMHEN BAAGI

JAMA'AT SHAHEED KAREGI:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Shekheen (RehmatULLAH) ne Abu Saeed O Muslim

(RehmatULLAH Aleh) neUmme Salma (Razi ALLAH Anhu) aur Abu

Qatadah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki kRASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi ALLAH Anhu) se farmaya,Tumhen

Baagi Jama'at Shaheed karegi, yeh Hadees Mutawatir hai, ise 10 Shabiyon ne

Riwaayat kiya hai".

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ibn-E-Abdul Bar (rehmatULLAH Aleh) Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) se aksar is baaray main Naqal ki gai

hai k AMMAR (Razi ALLAH Anhu) ko ek Baagi Giroh Qatal karega, aur Yeh

RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ka Akhbaar Ul GAIB hai aur yeh

ALAAM UN NABUWWAH hai, aur Yeh HADEES SAHI hai"..

(Al Astiyaab, Zikar Hazrat Ammar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu), Jild#3,

Page#1140, Ba Raqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Abi Al Abbas Ahmed Bin Ahmed Al Khateeb 810 Hijri main bhi yahi

Likhte hain:

(Bahwala: Waseela Tul Salaam Ba Nabi (ALEH SALAAM), Page#133, Matboo'a

Daar Ul Garb Ul Islaami, Beroot)

Imaam No'wi (RehmatULLAH Aleh) ne bhi yahi likha:

(Bahawala: Tehzeeb Ul Asma, Jild#2, Page#351, Ba Raqam#465, MAtboo'a Daar

Ul Fiqar, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Umar O Bin Azhaak Abu Bakar As Shebaani 287 Hijri

main bhi yahi Likhte hain:

(Bahawala: Al Ahaad O Al Mashaani Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1, Page#207,

Raqam Ul Hadees 271, Matboo'a Daar Ur Ra'ya Ur Riyaaz)

Imaam Ibn E Abdul Bar (RehmatULLAH Aleh) bhi yahi Likhte hain:

(Bahawala: Al Isti'aab Zikar Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu),

Jild#3, Page#1139, Baraqam 1863, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed bin Adullah Asfahani 430

Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: Hazrat Umar O Bin Deenaar (RehmatULLAH Aleh) Bayaaan karte

hain, k ek Misri Shakhs ne farmaya, k Ek baar Hazrat Umar O Bin Al Aas (Razi

ALLAH Anhu) ne logon mainHidaaya Taqseem kiya, Hazrat Ammaar (Razi

ALLAH Anhu) ko dusron k Muqaablay main ziyaadah diya, Un se in ki

Wajah Puchi gai, inhon ne farmaya, main ne in k Muta'alliq HUZOOR

(ALEH SALAAM) ko yeh kehte huwe suna, Ae Ammaar tera Qaatil ek Baagi

Giroh hoga"..

(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#197,Matboo'a Daar Ul

Kitaab Al Arabi, Beroot)

In k Ilawa Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah

Asfahani 430 Hijri main do (2) Sanadon k saaath Umm Ul Momineen Hazrat

Umme Salma (Razi ALLAH Anhu) se aur Chaar (4) Sanadon k saath Hazrat

Abu Saeed Khadri (RehmatULLAH Aleh) aur Ek Sanad k saath Hazrat

Abdullah Bin Umar O (Razi ALLAH Anhu) se aur ek Sanad k saath Hanzla

Bin Sawaid (Razi ALLAH Anhu) se is Riwaayat ko Naqal karte hain"..

(Halyat Ul Oliya O Tabqaat O Al Asfiyah,Jild#7,Page#196-197,Matboo'a Daar Ul

Kitaab Al Arabi, Beroot)

Yahi Muhadis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahani

430 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ataab Bin Saaeb k Silsila E Sanad se Abu Al Bakhtari aur

Mesrah ka Qol MArwi hai:

Hazrat Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ko Jang Safeen k Roz

Doodh pesh kiya gaya, AAP (Razi ALLAH Anhu) ne Nosh kar k farmaya,

HUZOOR NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k farmaan k Mutaabik, is k

Baad mere Batan main koi cheez nahin jaegi, is k baad Ammaar (Razi

ALLAH Anhu) Qataal main Mashgool hogae, aur Bil Aakhir, Qataal karte

karte duniya se chale ge"..

(Hulyat Ul Oliya O Tabqaat Ul Asfiyah Zikar Ammaar Bin Yaasir, Jild#1,

PAge#141, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

Imaa Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hjiri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammaar Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) Masjid ki jagah

main daakhil huwe,Sahab E Karaaam ne in par Bohat Ziyaadah inten rekhin thin,

inhon ne Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) inhon ne mujhey

halaak kar diya hai aur Mujh pe itna bojh daala hai jise main Utha nahin

sakta, HAZRAT AMEER UL MOMINEEN UMME SALMA (Razi ALLAH

Anhu) farmaati hain, mene NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ko

dekha, AAP Apni Zulf Mubaarak ko Dast E Aqdas se saaf farma rahe the, AAP

(Sallalaho Alehe Wassallam) k Baal Mubaarak k Baal Ghumgraalay (Curly)

the, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Sumaiyyah k Noor E Nazar yeh

log tumhen Qatal nahin karenge, tumhen to ek Baagi Giroh Shaheed karega"..

(As Seerat Un Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#3, Page#25,

Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Allama Abdul Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte

hain:

Tarjuma: " Jaama Mu'ammar Raashid main hai k Taameer Masjid E Nabwi

k Waqt Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) Bayak waqt Do Do (2,2)

Eenten utha kar laa rahe the, Ek Eent Apni taraf se, aur Dusri Eent

HUZOOR (ALEH SALAAM) ki taraf se, jab k Baaqi Log Ek Ek Eent Utha

kar laa rahe the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne HAZRAT AMMAR (Razi

ALLAH Anhu) se farmaya, Logon k Liye ek Gunah jab k Tumharay liye Do

(2) Gunah Ajar (Sawaab) hai, aur Dunya se Tumhari Aakhri Khuraak Doodh

hoga, aur Tujhey ek Baagi Giroh Qatal karega"..

(Roza Al Anaf Zikar Sumiya Um Ammar, Jild#2, Page#338, MAtboo'a Daar Ul

Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muhammad Bin Saad (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k Jang E

Safeen main Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) ne kaha k mere pass

Doodh ka Sharbat laao q k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne mujh se

farmaya k Dunya ka Aakhri Sharbat jo tum piyo ge, woh Doodh ka sharabat

hoga, Doodh laya gaya, us Doodh ko unhon ne Nosh farmaya, Phir Aage

barhe aur Shaheed hogae...

Abi Al Bakhtari (RehmatULLAH Aleh) bayaan karte hain k us roz Ammaar

Bin Yasir (Razi ALLAH Anhu) k pass Doodh laya gaya, to woh Muskurae aur

kaha k Mujh se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, k sab se

Aakhri Mashroob jo tum Piyo ge, woh Doodh hoga, yahaan tak ise pee kar

tum Dunya se Rukhsat hojao ge"..

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#3,Page#257, MAtboo'a Daar Us Saadir, BerooT)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " Hazrat Ammaaar (Razi ALLAH Anhu) ki kaneez se Riwaayat hai

k unhon ne kaha k HAZRAT AMMAAR (Razi ALLAH Anhu) ko Sakht

Beemaari Laahak huwi aur un par Behoshi Taari hogai, phir unhen Afaaqa

huwa, to dekha k hun sab in Gird ro rahe hain, unhon ne farmaya, kiya log

dar rahe the k main apne Bistar par Mar jaounga, Mujhey mere HABEEB

RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) ne khabat di hai k Mujhey

Baagi Jama'at Qatal karegi aur Dunya main meri Aakhri Giza Paani Mila

huwa Doodh hoga"..

(Dalael Un Nabuwwaah, Jild#6, Page#421, MAtboo'a Daar Ul Qutub, Ilmiyah,

Beroot)

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, Matboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Ahmed Bin Saad O Tibraani O Haakim (RehmatULLAH

Aleh) ne Sahikar behki O Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) se Abu Al

Bakhtari (RehamtULLAH Aleh) se Riwaayat ki k, Yom E Safeen ko Hazrat

Ammaar Bin Yaasir (Razi ALLAH Anhu) k Paas doodh ka piyaala laaya

gaya, use dekh kar unhon ne Tabassum kiya, logon ne pucha is main Hansne

ki konsi baat hai, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne

farmaya, Dunya main Aakhri Giza jise tum piyo ge, woh Doodh ka Sharbat

hai, is k baad woh Aage Barhe aur Shaheed hogae"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#239, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Huzail (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k unhon ne

kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) tashreef lae, Logon ne Arz kiya

Hazrat Ammaar (RAzi ALLAH Anhu) par chat gir gai hai, aur woh foat

hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Woh FOAT nahin huwe

hain"..

(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal,Jild#2, Page#857, Raqam Ul Hadees 1597,

Matboo'a Mosasta Ar Risaala, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Huzail (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat kik unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) tashreef lae, logon ne kaha k Hazrat Ammaar par chat gir gai hai,

aur woh Foat hogae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Hazrat

Ammaar (Razi ALLAH Anhu) foat nahin huwe hain"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#239, MAtboo'a Daar ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Fasila Khud karen, Hazrat Ammaar ko batana, k Un ko Ek Baagi giroh Qatal

karega aur un ki Aakhri Giza Doodh hogi, Yeh ILM-E-GAIb hai ya nahin??

Hazrat Ammaar (Razi ALLAH Anhu) ka ILM-E-GAIb ka Aqeeedah dekhen,

k Un ko PAkka Yakeen tha, k Bas un k HABEEB NABI (ALEH SALAAM)

ne keh diya, k Baagi Giroh Qatal karega, aur Aakhri Giza Doodh hai to bas...

Yeh hota hai Ishq E RASOOL (ALEH SALAAM) aur un k Atai ILM-E-

GAIB pe Aqeedah rakhna..

HADEES # 36:

Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) aur ILM-E-GAIB E MUSTAFA

(ALEH SALAAM)

Hafiz abu Al Qaasim Sulemaan Bin Ahmed Al Tabraani 360 Hijri main

Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Tumhare Pass Ahl-E-Jannat main se ek Shakhs aaega, to Hazrat

Umar (Razi ALLAH Anhu) tashreef le aae, phir farmaya, tumhare pass Ahl e

Jannat amin se ek Shakhs aega, to Hazrat Usman (Razi ALLAH Anh)

tashreef le aae"..

(Tibraani Al Osatm Jild#7, Page#504, Raqam Ul Hadees 66998, MAtboo'a

Maktaba Al Ma'aarif Ar Riyaaz)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayoti 911 Hijri main yahi Riwaayat karte hain:

(Bahawala: Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub,

Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Tibraani (rehmatULAH Aleh) ne Zaid Bin Saabit (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) se suna,

k AAP ne farmaya, MEre saath Usman (Razi ALLAH Anhu) chaley, us waqt

mere pass ek farishta tha, us na kaha yeh Shaheed honge, aur in ki Qoam in

ko Shaheed karegi, aur hum tamaaam farishte in se Haya karte hain"..

(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijir main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Bazaar O Tibraani (RehamtULLAH Aleh) ne " Osat" main

Hazrat Zubair Bin Awaam (Razi ALLAH Anhu)se Riwaayat ki, inhon ne

kaha k NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne Fatah E Maakkah k din ek

Qureshi Aadmi ko Qatal kar k farmaya, aaj k baad Jabar k saath kisi

Qureshi ko Qatal nahin kiya jaega, magar ek Aadmi Usman Bin Af'aan (Razi

ALLAH Anhu) ko Qatal karega, Lihaaza tum us Aadmi ko qatal kardena,

agar tum ne use Qatal na kiya to tum bakriyon ki Maanind Qatal kar diye jao

ge"..

(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#207, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Berooot)

Imaam Jalaal Ude Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar aur Behki

(RehmatULLAH) ne Abu Hurerah (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki,

unhon ne us Waqt farmaya, jab k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko

Balwaaiyon ne Mehsoor kar rakha tha, k MAin ne RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Fitnah ) Ikhtalaaf Ronama hoga,

hum ne Arz kiya YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) hamaray liye is

Waqt kiya Hukum hai??

AAP ne farmaya, Tum Ameer aur in Ashaab k Daaman se Waabasta rehna

aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ki taraf Ishaara kiya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#207, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat KA'ab Marah Bin Ka'ab (Razi ALLAH Anhu) bayaan

karte hain, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya,

aur bataya, k woh Anqareeb waqey hone waalay hain, us waqt ek shakhs

kapray se apne aap ko Dhaanpay huwe guzra, NABI E KAREEM (ALEH

SALAAM) ne farmaya, yeh Shakhs us Waqt Hidaayat par hoga, main ne

kharay ho kar dekha to woh HAZRAT USMAN BIN AFAAN (Razi ALLAH

Anhu), mene Phir AAP (ALEH SALAAM) ki taraf Rukh kar k Pucha, AAP

(ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan"..

(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu),

Jild#5, PAge#628, Raqam Ul Hadees 3704, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al

Arabi, Beroot)

Imaam Abu Eesaa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte

hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Fitnon ka Zikar kiya, Phir AAP

(ALEH SALAAM) ne Hazrat USman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k

Muta'alliq farmaya, k yeh Shakhs Fitnon main Mazlooman Qatal kiya

jaega"..

(Sunan Tarmizi Baab Fi Manaaqib E Usman Bin Afaan (Razi ALLAH Anhu),

Jild#5, PAge#630, Raqam Ul Hadees 3708, Matboo'a Daar Ul Ahya At Turaas, Al

Arabi, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Maaja O Haakim (RehmatULLAH) ne SAHI bata kar, aur

BEHKI O ABU NAEEM (REHAMTULLAH ALEH) ne HAZRAT AYESHA

SIDDIQUE'AH (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAN (RAZI ALLAH ANHU) ko Bulaya

aur AAP (ALEH SALAAM) in ki taraf ishara farma rahe tha, aur HAZRAT

USMAN (Razi ALLAH Anhu) ka Rang Mutayaggar horaha tha, Aur JAb

YOM Ud Daar yaani woh Din aaya, jis main unhen Mehsoor kiya gaya, to

hum ne Arz kiya Aap jang nahin karen ge? to Hazrat USman (Razi ALLAH

Anhu) ne farmaya, Nahin, Q k NABI (ALEH SALAAM) ne is Amar ka mujh

se Uhad (Waada) liya hain, Lihaaza main is par Apni jaan ka khayaal na

rakhunga, aur Saabir rahun ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#207, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Haakim O Ibn-E-Maaja Aur Abu naeem (Aleh Rehmah) ne

Hazrat Ayesha Siddique'Ah (RAzi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki unhon ne

kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne HAZRAT USMAAN E

GANI (RAZI ALLAH ANHU) se farmaya, Bila Shuba ALLAH TA'ALA

tumhen ek Qameez Pehnae ga"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, BerooT)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat Ameer Ul Momineen Ayesha Siddique'ah (Razi ALLAH

Anhu) bayaan karti hain k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne muhjey farmaya,

Mere Baaz Sahaba ko mere PAss Bulao, Mene Arz kiya, YA RASOOL

ALLAH! Abu Bakar (Razi ALLAH Anhu) ko bulaon? AAP (ALEH

SALAAM) ne mana farmaya, Phir mene Arz kiya, UMAR (Razi ALLAH

Anhu) ko? AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Nahin.. Phir mene Arz kiya

AAP k Chacha k Betay HAZRAT ALI (Razi ALLAH Anhu) ko AAP (ALEH

SALAAM) ne farmya: Nahin, Phir mene Arz kiya, Usman (Razi ALLAH

Anhu) ko? AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya: Haan, Pas Jab woh Aagae to

AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, (Ae Ayesha) Zara peeche ho kar beth

jao, Phir AAP (ALEH SALAAM) un se Sargoshi farmaanay lage, Hazrat

USman (Razi ALLAH Anhu) ka rang tabdeel hone laga, phir Yom-E-Daar

aaya, aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) us main Mehsoor hogae, hum

ne kaha Ae Ameer Ul Momineen Aap Qataal nahin karenge?? Aap (Razi

ALLAH Anhu) ne farmaya: Nahin, Beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

mujhey (is din) Wasiyat farmai thi, aur main is Wasiyat par sabar karne

waala hun"..

(Musnad Ahmed, Jild#6, Page#51, MAtboo'a Mosasta Qurtuba Misar)

Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Badar Bin Khaalid (RAzi ALLAH Anhu) bayaan karte

hain, k Yom-E-Daar ko Hazrat Zain Bin Saabit (Razi ALLAH Anhu)

hamaray pass kharay huwe aur kaha, kiya tum us shakhs se Haya nahin

karte, jis se MAlaikah bhi haya karte hain, Hum ne kaha woh kon hai??

Raawi ne kaha mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko farmaate huwe suna, k

AAP (ALEH SALAAAM) ne farmaya, Farishton main se ek FArishta mere

pass tha, jab Usman (Razi ALLAH Anhu) mere pass se Guzra to, us ne kaha

yeh shakhs Shaheed hai, is ki Qoam us ko Qatal karegi ,aur hum Malaikah is

se Haya karte hain, Badar Bin Khaalid (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k

phir hum ne AAP (Razi ALLAH Anhu) se logon k ek Giroh ko door kiya"..

(Tibraani Kabeer, Jild#5, Page#159, Raqam Ul Hadees 4939, Maktabatul Uloom O

Al Hakam Al Mosal)

Imaam Tibraani (RehamtULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte

han , k main HUZOOR (ALEH SALAAM) k saath tha, us Doraan ek Aadmi

NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) k pass aaya, aur us ne AAP (ALEH

SALAAM) k saath Musahfa kiya, to AAP (ALEH SALAAM) ne apne Haath

us Shakhs k haath se us waqt na churaya jab tak khud us Aadmi ne AAP

(ALEH SALAAM) ka Haath na Chora, phir us Aadmi ne AAP (ALEH

SALAAM) se Arz kiya, YA RASOOL ALLAH! Hazrat Usman (Razi ALLAH

Anhu) tashreef lae hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh AHL-E-

JANNAT main se hain"..

(Tibraani Kabeer, Jild#12, Page#405, Raqam Ul Hadees 13495, Maktabatul Uloom

O Al Hakam Al Mosal)

Imaam Haakim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " Hazrat Abdullah Bin Umar (RAzi ALLAH Anhu) Bayaan karte

hain, k Subah k waqt Hazrat Usman (Razi ALLAH ANhu) ne humen

farmaya, Beshak mene HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Guzishta Raat

khuwaab main dekha, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Usman Aaj

hamaray pas aaj humaray pass Roza Iftaar karo, PAs Hazrat USman (RAzi

ALLAH Anhu) ne Rozay ki Haalat main Subah ki aur usi Roza unhen

Shaheed kar diya gaya"..

(Mustard Al Haakim, Jild#3, Page#110, Raqam Ul Hadees 4554, MAtboo'a Daar

Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Tibraani (REhmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Umar Bin Khataab (Razi ALLAH Anhu) lihkte hain, k

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, jis din Usman (Razi ALLAH

Anhu) ki Shahaadat Waaqet hogi, us Din Aasmaan k Farishtey un par

Durood bhejenge"..

(Tibraani Al Osat, Jild#3, PAge#287, 3172, Matboo'a Daar Ul Harmen, Al

Qahaarah)

Imaaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Adi O Ibn-E-Asakar (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat

Anas (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne farmaya, Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! mere Baad

tuhmen khilaafat di jae gi, aur Munaafiqeen chahenge k tum use chor do, tum

use na chorna, aur tum us din Roza rakhna q k tum mere Pass Iftaar

karoge"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne Sahi bata kar, Abdullah Bin

Hawaala (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki hai, unhon ne kaha k RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum log ek aese Shakhs par Biloh

karoge, jo Chaadar se Imaama Baandhay ga, aur Jannati Logon ki Be'at lega,

to jab Logon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) par biloh kiya to woh

Hari Chadar ka Imaama Baandhay Be'at le rahe the"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Hawala (Razi ALLAH Anhu) se unhon ne

HUZOOR (ALEH SALAAM) se Riwaayat ki, HUZOOR (ALEH SALAAM)

ne farmaya, jo 3 baaton se Mehfooz raha, us ne Nijaat paai, Sahaba (Razi

ALLAH Anhu) ne Arz kiya, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) woh 3

baaten kiya hain??

FArmaya Meri Rehlat hai, aur us Khaleefa ka Qatal hai jo Haq par Qaem reh

kar Haq par jaan de ga"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#392, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah,

Beroot)

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Haakim (RehmatULLAH Aleh) ne sahi bata kar aur Behki

(RehmatULLAH Aleh) ne Ibn-E-Masood (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat

ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya,

Islaam ki Chakki Pentees (35), ya Chattees (36), ya Sentees (37) Saal k baad

Ghoomay ga, to agar woh log Halaak huwe, to Rah E Suwwaab Halaak hone

waalon main hai, aur agr in ka deen in k liye Qaem raha, to Sattar Saal tak

Qaem rahe ga, Hazrat Umar E Faarooq (Razi ALLAH Anhu) ne Arz kiya YA

NABI (ALEH SALAAM) yeh Muddat Guzishta Saal se hai?? Farmaya, Nahin

jo Aaendah aaegi..

Behki (RehamtULLAH Aleh) ne farmaya, lihaaza aesa hi Waqey huwa, Bani

Ummaiyyah ki Hukoomat is Saal main hi rahi, Yahaan tak k jab in main Sasti

Dar inindaaz huwi, to Sattar (70) Hijri k Kareeb KHuraasaan se Daawa

karne Waalon ka Zahoor huwa"..

(Khasais Ul Kubra, jild#2, Page#208, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " AAP (ALEH SALAAM) Qareeb tar hone Waalay Finon ka Zikar

farma rahe the, isi Asna main ek Shakhs Guzra, AAP (ALEH SALAAM) ne

farmaya, us din yeh Shkahs Hidaayat par hoga"..

(Fazail E Sahaba, La Bin Hambal, Jild#1, Page#507, Raqam Ul Hadees 828,

Matboo'a Masasta, Risaala Beroot)

Imaam abu Bakkar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte

hain:

TArjuma: " Hazrat Huzaifa (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k unhon ne

kaha RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, Qayaamat us Waqt

tak Qaem na hogi, jab tak tum apne Imaam ko Qatal na karoge, aur ek

Dusrey ko apni Talwaar se Qatal karoge, aur tumhare Shareer log, tumhari

Dunya k Waaris banjaen ge"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#6, Page#391, MAtboo'a Daar Ul Kutun Ilmiyah,

Beroot)

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, MAtboo'a Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hiri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Behki aur Abu Naeem (RehamtULLAH Aleh) ne Al "Ma'arfah"

main abu Rehman Bin Adees se Riwaayat ki k mene RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) se suna hai, AAP ne farmaya, Log deen se is tarah Nikal

jaenge, jese Qamaan se teer nikal jaata hai, aur woh Labnaan k Pahaaron

main Qatal kiye jaenge, Ibn-E-Lahiya'a (RehamtULLAH ALeh) ne kaha k

Abdur Rehman Bin Adees in Bulwaaiyon main shaamil tha, jo Ahl-E-Misar k

saath Qatal-E-Usman (Razi ALLAH Anhu) ki Garz se chale the, In

Bulwaaiyon ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ko Qatal kiya tha, is

Waqey k ek ya do saal baad libnaan main Ibn-E-Adees ko Qatal kiya gaya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

(Dalael Un Nabuwwah Imaam Behki, Jild#6, Page#394-395, Matboo'a Daar Ul

Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Haaris Bin Abi Usama (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad

main Muhaajireen E Habib (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne

kaha k Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah Bin Salaam (Razi

ALLAH Anhu) ko Kisi ko bhej kar bulwaya, uar woh us Waqt mehsoor the,

Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) ne Abdullah (RAzi ALLAH Anhu) se

kaha k Apna Sir utha k is Rozan ko dekho, AAJ Raat RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) is Rozan se Ronaq afroz huwe, aur farmaya, Ae Usman

(Razi ALLAH Anhu) kiya tum mehsoor ho?? mene kaha haan, to AAP ne ek

Dol latkaya, aur mene us main se Paani piya aur main apne andar is ki

thandak ab tak paa raha hun, is k Baad HUZOOR (ALEH SALAAM ne mujh

se farmaya, agar tum chaho to main ALLAH se dua karun, woh tuhmen in

par Gaalib karde ga, aur agar tum chaho to hamare pass Iftaar karo, to mene

AAP (ALEH SALAAM) k pass Haazir hone ko ekhtiyaar kiya hai, aur woh

usi Din Shaheeed kiye gae"..

(khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Hazrat Qees Bin Abi Haazim (Razi ALLAH Anhu) bayaan karte

hain, k Abu Sahla (Razi ALLAH Anhu) ne muhjey bataya, k Hazrat Usman

(Razi ALLAH Anhu) ne Yom-E-Daar (Muhaasray k din) ko farmaya, jab

woh Mehsoor the k beshak HUZOOR (ALEH SALAAM) ne mujhey ek

Wasiyat farmai thi, pas main isi Par Saabir hun aur Hazrat Qees (Razi

ALLAH Anhu) Bayaan karte hain, k woh is ka Intezar kiya karte the"..

(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#69 Raqam Ul Hadees 501, MAtbooa Mosasta,

Qurtuba Misar)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Mani'e (RehmatULLAH Aleh) ne apni Musnad main Ba

tareeq Naumaan Bin Basheer (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k jab

Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) mehsoor hogae, to rozay se rehne lage,

ek din Iftaar ka Waqt aaya, to unhon ne Bulwaaiyon se iftaar k liye Sheereen

Paani maanga, magar unhon ne Paani dene se inkaar kar diya, Aap ne

Tashnagi k Aalam main Raat basar ki, Phir jab Seher ka Waqt aaya, to Aap

ne farmaya, k RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) is chat se Ronaq Afroz

huwe, AAP k Saath Paani ka Dol thaa, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya,

Ae Usman (Razi ALLAH Anhu)! Paani piyo to mene Paani piya, yahaaan tak

k main Seraab hogaya, phir farmaya, aur Ziyaadah Piyo to mene Piya,

yahaan tak k main Ser hogaya"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#209, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)

Faisla Khud karen, itna Sab kuch Gaib k baaray main Batane k baawajood

bhi agar koi yeh kahe k NABI (ALEH SALAAM) ko Ataai ILM-E-GAIB

haasil nahin, to woh kis Qadar Bad Qismat hoga, k NABI (ALEH SALAAM)

ki is Qadar Shaan main kami kare.. ALLAH hum sab ko Hidaayat de,

Aameen..

HADEES # 37:

MUNAAFIQ ki KHABAR DENA:

IMAAM JALAAL UD DEEN SAYOOTI 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Muslim (RehmatULLAH ALEH) ne Abi Hameed (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat ki k hum RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Hamrah

the, Nasraaniyon k Hamaly ki khabar suni kar, Tabook ki taraf Rawaana huwe,

Doraan E Safar Waadi E Qiraa'a main ek Khaatoon k Baag k paas se

Guzre, Sarwar-E-Qonen (Aleh Salaam) ne farmaya, tum us Baag ki khajooron ka

Takhmeena lagao, hum ne Takhmeena lagaya, HUZOOR (ALEH SALAAM) ka

Andaaza 10 Wusaq tha, us Aurat se kaha tum apni Khajooron ka naam tol kar lena,

aur hum INshaALLAH tumhare Paas wapis aaenge, Hum medaan E Tabook main

the, k ek Roz AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, Aaj Raat main Shadeed

Huwa, aur Sakht Jharken chalen ge"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, page#458, Daar Ul Kutub, Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muslim (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Irshaad farmaya, Yeh Aandhi

kisi Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay Puhnchay to

Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa mar chuka tha"..

(Muslim Shareef, Kitaab Us Sifaat Ul Munaafiqeen)

Imaam Abdul Maalik Bin Hasshaam 213 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " Munaafiqeen k Sardaaaron main se ek Sardaar aaj mar gaya,

Rafa'a Bin Zaid Taaboot ka Ta'alluq bhi isi Qabeelay se tha, Jab HUZOOR

(ALEH SALAAM) Gazwah Bani Mustalaq se Waaapis Tashreef laa rahe the,

to Raastay main Shadeed Aandhi ka saamna karna para, Musalmaan use

Dekh kar bhaaag gae, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Khofzada

hone ki Zarurat nahin, yeh Aandhi Kufaar k Azeem Sardaaron main se ek

Sardaar ki Moat k liye Aai hai, Jab HUZOOR (ALEH SALAAM) Madina E

Teba main Ronaq Afroz hogae, to Maaloom huwa, k Rafa'a Bin Zed isi Din

Mara tha, jab Shadeed Aandhi aai thi"..

(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#2,

Page#60-61, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Yahi Imaam Abdul MAalik Bin Hasshaam 213 Hijri main dusri jagah Likhte

hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya is Aandhi se na daro,

yeh Aandhi ek Baray Munaafiq ki wajah se chali hai, jab Sahaba Madina E

Teba Puhnchay to, unhon ne Rafa'a Bin Zaid ki Moat ki khabar suni jo Bani

QenQah se Ta'alluq rakhta tha, yeh yahoodiyon ka ek sardaar tha, aur

Munaafiqon ki Panah Gaah tha, aur yeh usi din mara jis Roz Aandhi chali

thi"..

(As Seerat Un Nabuwwiyyah Al Maaroof, Seerat Ibn-E-Hasshaam, Jild#4,

Page#255, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya yeh Aandhi kisi

Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madinay puhnchay to

Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..

(Dalael Un Nabuwwah, Jild#4, Page#61, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah,

Beroot)

Imaam Ahmed Bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, ek Munaafiq ki Moat

ki wajah se yeh Aandhi bheji gai hai, jab hum Madina Teba Puhnchay to ek

Bohat Bara Munaaafiq Mar chuka tha"..

(Musnad Ahmed, Jild#3, Page#315, Raqam Ul Hadees 14418, Matboo'a Mosasta

qurtuba Misar)

Imaam Abi Al Farj Abdul Rehman Al Jazwi 598 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: "HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, yeh Aandhi MAdina E

Munawwarah main ek Munaafiq k Marne ki wajah se Chal rahi hai, Phir jab

hum MAdina Puhnchay to Waqa'i Munaafiqeen main se ek bohat Bara

Munaafiq isi din Jahannum O Asal ho chuka tha"..

(Al Wafa, Ba Hawal-E-Mustafa, Jild#1, Page#310, Matboo'a Mustafa Al Baabi,

Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne farmaya, yeh Aandhi ksi

Munaafiq ki Moat ki Alaamat hai, phir jab hum Madina Puhnchay to

Maaloom huwa, Munaafiqeen ka Peshwa Foat hogaya"..

(Khasais Ul Kubra,Jild#1, Page#391, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Muhammad Haaroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:

" Hazrat Jaabir (Razi ALLAH Anhu) se Riwaaayat hai, k ekDafa RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) ek Safar se Waapis Tashreef la rahe the, jab

Madinay k Kareeb puhnchay to ek Shadeed hawa chali, HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne farmya, yeh Hawa ek Munafiq ki Moat k liye chali hai, lihaaza

jab AAP Madina main Daakhil huwe to logon ne khabar di k AAJ Rafa'a Bin

Zaid mar gaya hai, yeh Shakhs Fil Haqeeqat Bohat Bara Munaafiq tha"..

(Khusoosiyaat E Mustafa (Aleh Salaam), Jild#2, PagE#250, Matboo'a Daar Ul

Isha'at Karachi)

FAISLA AAP KHUD KAREN.. k Itna Kuch Batane k Baad bhi kiya NABI

(ALEH SALAAM) ko GAIB ka ILM nahin??

HADEES # 38:

WOH MAAAL KAHAAAN HAI JO TUM MAKKAH MAIN DAFAN KAR

K AAE HO:

Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne Bayaan

kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne Mujh se

yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH) HAZRAT IBN-

E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k Jid SHAKHS ne

JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB (RAZI ALLAH

ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the, Un ka Ta'alluq

Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne pucha,

Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ?? Unhon ne kaha, is

Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko mene is se Pehle na

dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek Mukarram Farishte ne ki

thi, aur Abbas (Razi ALLAH Anhu) se farmya, Ae Abbas tum apna Fidya bhi

do, aur Apne Bhateejay Aqeel Bin Abi Taalib aur Nofil Bin Al Haaris ka

Fidya bhi do, aur apne Haleef Atba Bin Hajdam ka Fidya bhi do, aur jin ka

Ta'alluq Banu Al Haaris Bin Fahar se hai, Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne In

ka Fidya dene se Inkaar kiya, aur kaha main is Gazwah se pehle Islaam

kabool kar chuka tha, yeh Log mujhey Zabardasti apne Saath lae hain, AAP

(ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH tumhare Maamlay ko Khoob Jaanne

Waala hai, aur agar tumhara, Daaawa Bar Haq hai, to ALLAH tum ko is ki

Jaza dega, Lekin tumhara Zaahir Haal yeh hai k tum hum par Hmala Aawar

huwe, so tum Fidya Ada karo, aur RASOOL (ALEH SALAAM) us se 20

Okiyah Sona (Bator E Maal E Ganimat) Wasool kar chukay the, ABBAS

(RAZI ALLAH ANHU) ne kaha YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!!

is 20 Okiyah Sonay ko mere Fidye main Kaat len, AAP (ALEH SALAAM) ne

farmaya: NAHIN! Yeh woh Maal hai jo ALLAH ne Humen tum se le kar diya

hai, ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) ne kaha, mere Pass aur Maal to nahin

hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Maal kahaan hai, jo tu ne

Makkah se Rawaangi k waqt Umm Ul Fazal k pass rakha tha, , us Waqt tum

dono k pass aur koi nahin tha, aur tum ne yeh kaha tha k main is Muhim

main Kaam aagaya to, is Maal main se Itna Fazal ko dena, itna Qasham ko

dena aur Itna Abdullah ko dena, tab Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, us

Zaat ki Qasam jis ne AAP ko Haq de kar Bheja hai, mere aur Umm Ul Fazal

k ilaawah, is sab ko aur koi nahin jaanta, aur ab muhjey Yakeen hogaya k

AAP ALLAH k RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)

(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta

Qurtuba, Misar)

Imaam Ahmed bin Hambal 241 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Imaam Muhammad Bin Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) ne

Bayaan kiya k jis Shakhs ne Akrama (RehamtULLAH ALEH) se Suna, us ne

Mujh se yeh Hadees Bayaaan ki k, Akrama (RehamtULLAH ALEH)

HAZRAT IBN-E-ABBAS (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat karte hain, k

Jid SHAKHS ne JANG-E-BADAR main ABBAS BIN ABDUL MUTAL'LIB

(RAZI ALLAH ANHU) ko Giriftaar kiya, woh Abu Ul Yasar Bin Umro the,

Un ka Ta'alluq Banu Salma se tha, un se RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne pucha, Abu Ul Yasar tum ne is ko kese Giriftaar kiya tha ??

Unhon ne kaha, is Ma'aamlay main ek Shakhs ne meri madad ki thi, jis ko

mene is se Pehle na dekha tha, is k Baad us ki Esi Esi Haeiyyat thi, Tab

RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, tumhari Madad ek

Mukarram Farishte ne ki thi".. (SubhanALLAH)

(Musnad Ahmed, Jild#1, Page#353, Raqam Ul Hadees 3310, Matboo'a Mosasta

Qurtuba, Misar)

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main Likhte hain:

TArjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, k woh Maal kahaan

hai, jo tum ne Rawaangi k waqt Makkah Umm Ul Fazal Bint E Haaris k Pass

rakha tha, jab k tum dono k Saath koi na tha?? Tum ne un se kaha tha,

mujhey is Safar main Moat aagai, to Fazal k liye itna itna, aur Abdullah k liye

itna itna hai, Unhon ne kaha, Qasam hai us Zaat ki jis ne Haq k saath AAP ko

Mab'oos kiya, k is ka Siwae Mere aur Umm E Fazal k kisi ko ILM na tha"..

(SubhanALLAH)

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#14, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalhi 942 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k

NABI E KAREEM (ALEH SALAAM) ne JANG E BADAR k din Ahl-E-

Jahiliyat ka Fidya (400) Darham Muqarrar kiya, aur Hazrat Abbas ne yeh

Daawa kiya, k un k Pass Bilkul Maal nahin hai, Tab RASOOL ALLAH

(ALEH SALAAM) ne farmaya, acha to woh Maal kahaan hai ,jo tum ne

Umm Ul Fazal ne mil kar dafan kiya tha, aur tum ne kaha tha, k agar main is

Moohim main kaam aagaya, to yeh mera Maal mere Beton ka hai, Al fazal,

Abdullah aur Qasam, Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu) kaha, ALLAH ki

Qasam mujhey ab yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain, is Baat

ka mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko ILM na tha"..

(Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa Ul Qaazi, Jild#4, Page#197, Matboo'a Daar Ul

Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

TArjuma: " Ibn-E-Ishaaq aur Imaam zehri se Naqal karte hain k Hazrat

Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne kaha, k YA RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) mere pass Fidya dene k liye kuch nahin, AAP ne farmaya, woh

maal kahaan hai, jo tum ne aur Umm Ul Fazal ne Dafan kiya tha, aur tum ne

dam Rukhsat yeh kaha k agar main Mara jaaoun to yeh Maal mere Beton

Fazal aur Qasam k liye hai, yeh sunkar Hazrat Abbas (Razi ALLAH Anhu)!

ALLAH ki Qasam mujhey Yakeen hogaya, k AAP ALLAH k RASOOL hain,

Ba Khuda is Ma'aamlay kja mere aur Umm Ul Fazal k ilaawa kisi ko Qat'an

ILM na tha"..

(Khasais Ul Kubra, JILD#1, PAGE#341, Matboo'a Daar Ul Qutub ILMIYAH,

BEROOT)

Muhammad Haroon Ma'aawiyah Deobandi Likhte hain:

Hazrat Abdullah Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) aur Umm Ul Momineen

Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat hai k Jang E Badar main Kaafiron

ko Shikast huwi, to HUZOOR (ALEH SALAAM) k chacha Abbas Bin Abdul

Mutallaib jo us Waqt Eemaan nahin lae the, woh bhi Aseer ho kar aae the,

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Qediyon k Aewaz Fidyah Talab kiya, to

unhon ne Arz ki keh mere pass itna Maal nahin k Zar fidyah Ada kar sakun,

HUZOOR (ALEH SALAAM ne farmaya, Woh Maal kiya hua, jo tum Umm

Ul Fazal (Hazrat Abbas ki Zoja) k pass Dafan kiya hai aur us se keh aae the, k

agar main maara jaoun to yeh Maal meri Aulaad k liye hai, Hazrat Abbas

(RAzi ALLAH Anhu) ne kaha, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)

Khuda ki Qasam is maal ki mere aur Umm Ul Fazal k siwa kisi ko Khabar na

thi"..(Musnad E Ahmed)

(Khoososiyaat E Mustafa (ALEH SALAAM), Jild#2, Page#250-251,Matboo'a

Daar Ul Isha'at, Karachi)

Faisla Khud karen k Aaya ab bhi HUZOOR (ALEH SALAAM) ko ILM-E-

GAIB nahin??

HADEES # 39:

IN NEZON SE FIDYA ADA KARO JO JADDAY MAIN HAIN:

Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " HAzrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil (Razi ALLAH

Anhu) Bayaan karte hain, kNofil Bin Haaris Badar main Giraftaar kiye gae to, un

se RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya ae Nofil apni Jaan ka fidya

do, Arz ki YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM)!! Mere Pass to kuch bhi

nahin jis se main apni Jaan ka fidya Ada kar sakun, farmya, Apni Jaan ka fidya

un Nezon se Ada karo jo Jadday main hain, is par Nofil (Razi ALLAH Anhu)

ne Arz ki, MAIN GAWAHI DETA HUN, BESHAK AAP ALLAH K

RASOOL hain".. (Subhan ALLAH)

(Tabqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page46, Matboo'a Daar Us Saadir, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin

Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne un

se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya mere pass to

jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya

us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar Nofil Pukaar uthe, main

GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL hain, phir us maal ka fidya

de kar, Rihaai Haasil ki"..

(Khasais Ul kubra, Jild#1, Page#342, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Abu Al Qasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte

hain:

Tarjuma: " Musalmaan hone waale Aseeran-E-Badar main se ek Hazrat Nofil

Bin Haaris Bin Abdul Mutallib (Razi ALLAH Anhu) hain, kaha jaata hai k

Aap ne GazwahE Khandak k Saal Islam Qabool kiya, aur Madina E Teba ki

taraf Hijrat ki, yeh bhi kaha Gaya hai k AAP usi Waqt Islam le aae the, jab

Aap ko Qed kiya gaya, Waqiyah yun hai k NABI E PAK (ALEH SALAAM)

ne farmaya, Apna Fidya ada karo, unhon ne Arz kiya, mere pass Fidyeh ki

Adaegi k liye MAal nahin, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, un

Nezon k Zariye Fidya Ada karo jo tum ne Jaddah main Rakhey hain,

HUZOOR (ALEH SALAAM) ka yeh Irshaad sun kar woh kehne lage, Qasam

Ba Khuda ALLAH TA'ALA k Siwa kisi ko is baat ka ILM na tha, k Jaddah

main mere Nezay pare hain, Main GAWAHI DETA HUN K AAP ALLAH

TA'ALA k SACHAY RASOOL hain"..

(Roz Al Anaf Tasmee'ah MAn Asar Man Al Mushrikeen Yom E Badar,Jild#3,

Page#76, MAtboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Yousuf Ismail 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Haaris Bin Nofil kehte hain, k jab Nofil Bin

Haaris Badar k Muqaam par Qedi huwe, to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

un se farmaya, Apne Fidya de kar Azaadi haasil karlo, unhon ne farmaya

mere pass to jaan churaane k liye koi cheez nahin, HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne farmaya us maal se fidya do, jo Jaddah main hai, yeh sun kar

Nofil Pukaar uthe, main GAWAHI deta hun, k AAP ALLAH k RASOOL

hain, phir us maal ka fidya de kar, Rihaai Haasil ki"..

(Hajjatullah Ali Ul Aalameen Fi Mojizaat Saiyyad Ul Mursaleen, Page#347,

Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap ka.. Kiya ab bhi Aap ko Yakeen Nahin k Mere NABI (ALEH

SALAAM) ko ALLAH TA'ALA ne ILM-E-GAIB Ata kiya??

HADEES # 40:

TU USE BAIL KA SHIKAAR KARTE HUWE PAAE GA:

Allama Yousuf Bin Ismail Al Nibhaani 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abi Bin Roman aur Hazrat Abdullah Bin Abi Bakar (Razi

ALLAH Anhu)se Marwi hai k NABI (ALEH SALAAM) ne Khaalid Bin

Waleed ko Domah k Hukmuraan Akedah ki taraf Bheja, Akedar Nasraani

tha. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Peshan Goi farmai k tum use us Haalat

main Paao ge k woh ek Jangli Gaen (Cow) k Shikaar main MAsroof hoga,

Lihaaza Hazrat Khalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) Rawaana huwe,

yahaan tak k Hazrat KHaalid Bin Waleed Qilay k itne Qareeb Puhanch gae Jahaan

se Aadmi Nazar Aaskata tha,Raat Chaandni thi, Akeedar apni Biwi k Hamrah

Qilay ki Chat par tha,isi Asna main ek Jangli Gaen (Cow) Qilay k Darwaazay

k Saath apna Sir Takraaney lagi, Akeedar ki Biwi ne us se Kaha kiya Aap ne

Kabhi Aesa Manzar dekha hai?? Us ne kaha nahin, Phir us ki Biwi ne kaha

kiya is tarah k Shikaar ko Chora jaa sakta hai? Akeedar ne kaha nahin, Koi

yeh Moqa Haath se Zaaya nahin kar sakta, Woh Qilay se Neechey aaya,

Hukum diya k Ghoray par Zain rakhi jae, Phir us par Sawaar huwa, aur us k

Saath us k Gharaanay k Chand Admi the, woh Apne Shikaar k liye Rawaana

huwe to, NABI (ALEH SALAAM) k Qaflay se se Unki Mad Bheeer huwi,

Unhon ne use Giraftaar kar liya, aur us k Bhai Hassaan ko Giraftaar kar liya,

jis par deebaaach ki Sunehri Qubaa thi, Hazrat KHaalid Bin Waleed ne Use

Cheen kar HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Akeedar k

Hamrah Bhej diya..

Ibn-E-Ishaaq (RehmatULLAH Aleh) kehte hain k jab Hazrat KHaalid Bin

Waleed Akeedar ko le kar NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir

huwe to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne unhen Jaan Bakhshi farmai, aur

Juziyah par Sulah kar li, phir use Riha kar diya, Banu Tay k ek Shakhs

Bajeer ne is Waqiyeh ka yun Zikar kiya hai,

Ba Barkat hai woh jo Neel Gaenyon (Cows) ko Haank kar laaney waala hai,

mene dekha k ALLAH ar Taalib-E-Hidaayat ko Hidaaya deta hai..

Pas jo Shakhs Tabook Waale NABI se Munharif hota ho, to woh to humen

Jihaad ka hukum diya gaya hai..

Behki (RehmatULLAH Aleh) ne Zikar kiya, k RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne is Shaair ko Dua dete huwe farmaya, ALLAH tumhary Moun

ko Salaamat rakhey. is Dua ka Asar yeh hai k Nawway (90) ki Umar main

bhius Shakhs ki na to Daar main Harkat huwi, na us ka koi Daant toota"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#461, Matboo'a Daar Ul kutub Ilmiyah, Beroot)

(Tibkaat Ul Kubra Ibn-E-Saad, Jild#2, Page#166, Matboo'a Daar Us Saadir,

Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Khaalid Bin Waleed

(Razi ALLAH Anhu) ko Bulaaya, aur use Doma k Akeedar ki taraf bheja, yeh

Akeedar Bin Abdul Maalik tha, yeh Banu kandah ka ek Shakhs tha, aur

Domah ka Baadshah tha, yeh Nasraani tha, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

Hazrat KHaalid Bin Waleed se farmaya, Tu Use Bail ka Shikaar karte huwe

Paae ga"..

(Al Seerat Un Nabuwwahiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-HAshaam, Jild#5,

Page#207, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Fasila khud karen.. k Hazrat KHaalid Bin Waleed ko Batana k woh Akeedar

ko ek Bail ka shikaar karte huwe Paaen ge, yeh ILM-E-GAIB hai ya nahin..

HADEES # 41:

WOH DO (2) OONT KAHAAN HAIN, JINHEN TUM NE AQEEQ MAIN

FALAAN FALAAN WAADI MAIN CHUPA DIYA HAI:

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:

TArjuma: " Hazrat IBn-E-HAshaam (RehmatULLAH Aleh) ne kaha, k kaha

yeh jaata hai, k jabHUZOOR (ALEH SALAAM) Gazwah-E-Bani Mustalaq se

Waapis huwe, jab k Hazrat Jaweriya (Razi ALLAH Anhu) Aap k Saath

thin, AAP (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweruyah ko Bator E Amaanat ek

Ansaari k din, aur Hifaazat ka Hukum diya, HUZOOR (ALEH

SALAAM) Madina E Teba puhnchay to, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH

Anhu) ka Baap Haaris Apni Beti ka Fidyah le kar Puhncha, jab Aqeeq k

Muqaam par Puhcha to, Apne Ooonton ko dekha jo Fidyeh k tor par laaya tha,

use Do (2) Oont bohat Achay lage, aur us ne Aqeeq ki Waadiyon main use

Chupa diya, Phir HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah-E-Aqdas main Haazir

huwa, Arz ki AE MUHAMMAD Aap ne MEri Beti ko Pakar liya hai, yeh Oont

us ka Fidya hain, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Do (2) Oont

kahaan hain, jinhen tum ne Aqeeq main Fulaan Fulaan Waadi k Peechey

chupa diya hai, yeh sun kar Haaris ne kaha MAIN GAWAHI DETA HUN, k

ALLAH TA'ALA k SIWA KOI MAABOOD NAHIN, AUR AAP ALLAH K

RASOOL HAIN, ALLAH KI QASAM IS BAAT PAR ALLAH K SIWA KOI

AAGAH NAHIN, Haaris Musalmaan hogaya, Saath hi us k Do (2) Betay bhi

Musalmaan hogae, aur us ki Qoam k kafi Log bhi musalmaan hogae, Haaris

ne Donon Oonton ko laane k liye ek Aadmi bheja, jo in donon Oonton ko le

Aaya, Oont HUZOOR (ALEH SALAAM) ki Bargah main pesh kiya gae,

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ko

Haaris k Hawaalay kar diya, Hazrat Jaweriyah (Razi ALLAH Anhu) ne

Islaam kabool kar liya, aur Bohat achi Musalmaan Saaabit huwin, HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne un k Waalid ko Daawt-E-NIKAH di, Un k Waalid ne

Apni Beti ka Nikah HUZOOR (ALEH SALAAM) se kar diya, aur HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne Chaar so (400) Darham Meher Ata kiya"..

(Al Seerat Al Nabuwwahiyah, Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4,

Page#259, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Imaam Ali Bin Barhaan Ud Deen Shaafai 1066 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Abdullah Bin Ziyaad Bayaan karte hain, ALLAH

Ta'ALAH ne NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ko Gazwah E Bani

Mustalaq main Jaweriya Bint-E-Haaris Bator E Ganeemat Ata farmai, to un

ka Baap Haaris un ki Rihaai, k liye Fidyeh le kar Aaya, Jab Aqeeq main

Puhncha, to Oont ki taraf dekha, jo Apni Beti k Fidyeh main diye the, us main

se Do (2) Oont use Bohat pasand aae, Pas in Donon Oonton ko Waadiye

Aqeeq ki ek Ghaati main Gayab kar diya,phir Deegar Oonton ko Hanka kar

NABI (ALEH SALAAM) ki Khidmat main Haazir Hogaya, aur Arz ki YA

MUHAMMAD! meri Beti AAP k Yahaan Giraftaar hai, yeh is ka Fidyah hai..

NABI (ALEH SALAAM) ne farmaya, woh Donon (2) Oont kahaan hain, jo

tum ne Waadiyeh Aqeeq main Gayab kiya hain, Yeh sun kar Haaris ne kaha,

k MAIN GAWAAHI DETA HUN K AAP (ALEH SALAAM) ALLAH K

RASOOL HAIN, Waqai mene un donon (2) Oonton ko Aqeeq main Gayab

kiya, aur Is Baat par Siwae ALLAH k Aur koi Aagah na tha, is k Baad Haaris

ne Islam Kabool kar liya"..

(HajjatULLAH Ali Ul Aalameen Fi MojizaatSyed Ul Mursaleen, APge#361,

Matboo'a DaarUl Kutub Ilmiyah, Beroot)

Fasila Aap khud karen.. k NABI (ALEH SALAAM) ka batana k Haaris ne

Donon Oont aqeeq ki Wadiyon mai Gayab kiya k Yeh Gaib ka ILM hai ya

nahin???

HADEES # 42:

US TARAF SE KUCH SAWAAR TUMHAREY PASS AAENGE JO AHL-E-

MASHRIK k BEHTAREEN LOG HONGE:

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

TArjuma: " Mazeeda Al Asri Bayaan karte hain, k Ek Dafa NABI E KAREEM

(ALEH SALAAM),SAHABA E KARAAM (Razi ALLAH Anhu) k Saath Maho

Guftugu the, k Doraan-E-Guftugu Farmaya, k AnQareeb is taraf se Kuch

Sawaar tumhare Pass Aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen log hain, Yeh

Irshaad sun kar, Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Uthey aur us Jaanib

Rawana hogae, to 13 Afraad par Mushtamil ek Wafd in se mila, Pucha: kis

Qabeelay se Ta'alluq hai tumhara?? to unhon ne Bataya: Hum Bani Abdul

Qes se hain"..

(Khasais Ul Kunra, Jild#2, Page#26, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Shaaheen (RehmatULLAH Aleh) Sakhaar bin Abbas aur

Mazeedah Bin Maalik se Riwaayat karte hain, (Yeh Mazeedah Wafd Abdul Qes k

ek Rukan the) Woh Kehte hain, k Ashj Abdul Qes Daaren k Raahib ka ek Dost tha,

ek Saal is se Mulaaqaat huwi, to us ne Bataya, k Makkah Shareef main ek NABI

ka Zahoor hone waala hai, jo Hadiya Kabool karta hai, magar Sadqa nahin khaata,

us k Donon Shaanon k Darmiyaaan ek Nishaani hai aur woh Saarey Adiyaan par

Gaalib Aajae ga, is k Baad Raahib ki Moat Waaqey hogai, is k Baad Ashaj ne

Tehqeeq-E-Haal k Liyeapney Bhaanjey ko MAkkah Shareef bheja, woh Hijrat k

Saal aaya, aur NABI (ALEH SALAAM) se Mulaaqaat ki aur Nabuwat ki

Nishaaniyon ko Sahi paa kar ISLAM le aaya, NABI-E-KAREEM (ALEH

SALAAM) ne us ko Surah Al Hamd aur Surah Al Alaq ki Taaleem di, is k

Baad use Hukum diya, k Ab jaa k Apney Maamoo ko Islam ki Daawat do,

Lihaaza us ne Lot kar Apney Maamoo ko tamaam Haalaat se Aagah kiya, jis

ki Wajah se Ashaj ISLAM laya tha, Magar ek Arsey tak Apney Eemaan ko

Posheedah rakha, phir 16 Mardon k Saath Rawana huwa, aur Madinah Aaya,

jis Subah yeh Wafd MAdina Puhncha, usi Raat NABI (ALEH SALAAM) ne

Peshan Goi Farma di thi, k Mashriq ki taraf se ek Qaafila Aane Waala hai,

jinhen ISLAM k Liye Majboor nahin kiya gaya, Balkey Barza O Ragbat

Aarahe hain, in k Rehnuma ki ek Alaamat hai, Lihaaza Ashaj Abdul Qes apni

Qoam k Chand Nafoos k saath aaya, yeh Fatah-E-MAkkah k Saal ka

Waqiyah hai"..

(Hajjat ULLAH Ali Ul Aalameen Fi Mojizat SayedUL Mursaleen, Page#365,

MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Muhammad Saaad 230 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne us Raat jis ki Subah ko

Banu Abdul Qes ka Wafd Aaya tha, Afaq ki taraf dekh kar Irshaad farmaya,

" Mashrekeen ki ek Jama'at Aae gi, jinhen ISLAM k liye MAjboor nahin kiya

gaya, un logon ka Haal yeh hai k Safar ki Sobaton ne un k Jaanwaron ko

Dubla kar diya hai, in ka Zaad rah khatam ho chuka hai, aur un k Sardar ki

ek Nishaani hai, phir Dua Faramai, Ae ALLAH! Abdul Qes ko Maaf farma,

Woh Hoosool E Maal k liye mere Pass nahin aae, woh Ahl-E-Mashrik k

Behtareen log hain"

(Tabqaat Ul Kiubra, Ibn-E-Saad, Jild#1, Page#314, Matboo'a Daar Us Saadir

Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Haakim (RehamtULLAH Aleh) ne Hazrat Anus (Razi ALLAH

Anhu) se Riwaayat ki k Ahl-E-Hijar se Abdul Qes ka ek Wafd RASOOL

(ALEH SALAAM) ki Khidmat main Baaryaab huwa, woh Bethey the, k

Achanak AAP (ALEH SALAAM) ne un ki taraf Mutawwajjah ho kar

farmaya: " Tumharey Yahaan Kai Qisam ki Khajooren hoti hain, aur tum

falaan Qisam ki KHajoor ko is naam se Pukaarte ho, yeh sun kar Ek Shakhs

Bola, YA RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Meray Maa Baap AAP Par

Qurban hon, Agar AAP (ALEH SALAAM) ki Wilaadat Muqaam E Hijar

main hoti, to is se Ziyaadah AAP in k Muta'alliq ILM na rakhte, main

Gawahi deta hun, AAP (ALEH SALAAM) ALLAH k RASOOL hain..

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne farmaya, Jab tum meray pass Bethay to

Tumhari Sar Zameen utha kar meray Saamney kar di gai, aur mene use ek

Siray se Dusray tak Bil Tafseel Dekha, tumhari Khajooron main se Behtareen

khajoor "Barni" hao jo Bemaari dur karti hai, aur khud is main koi bemaari

nahin"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#27, Matboo'a Daaar Ul Kutub Ilmiyah, beroot)

Muhaddis-E-Kabeer Imaam Muhammad Bin Ismail Bukhari 256 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Mazeedah Abdi (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k Ashaj

(Razi ALLAH Anhu) Pedal chalte huwe, Bargah-E-NABI (ALEH

SALAAM)main Haazir huwe, aur Aap (ALEH SALAAM) k haath Mubarak

ko Pakar kar Boosaa diya,to NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne un se

Farmaya, k tumharey ander 2 Khaslaten aesi hain, k jin ko ALLAH TA'ALA

aur us ka RASOOL (ALEH SALAAM) pasand karte hain, us ne Arz kiya kya

woh aesi Cheezen hain? jin par main PEda huwa hnu, (Yaani Fitrati) ya woh

Baad main Peda ki gai hain, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya k Balkay

yeh woh Fitri hain, jin par tum peda kiye gae ho, Ashaj (Razi ALLAH Anhu)

ne farmaya, Sab Taareefen ALLAH TA'ALA k liye hain, jis ne Meray ander

aesi Khaslaten Peda farmain, jin ko ALLAH TA'ALA aur us ka RASOOL

(ALEH SALAAM) Pasand farmatey hain"..

(Tibraani Kabeer,Jild#20, Page#345, Raqam Ul Hadees 812, Matboo'a Maktab Ul

Uloom O Al Hakam Al Mosool)

Fasila khud karen, k NABI (ALEH SALAAM) ka Bata dena k Us Taraf se

kuch Sawaar aaenge, jo Ahl-E-Mashrik k Behtareen Sawaar honge, aur

Abdul Qes k Wafd ko us ki pasandeedah Khajoor ka Batana, Yeh ILM-E-

GAIB hai ya nahin.. JAzakALLAH

HADEES # 43:

ISI TARTEEB SE KHULAFA HONGE:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Abu Ya'Ali O Haakim aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne

Hazrat Ayesha Siddiqe'ah (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat ki k, Unhon ne

Farmaya, NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad k liye

Sab se pehle khud Pathar Uthaya, AAP k Baad Hazrat Abu Bakar Siddique

(Razi ALLAh Anhu) ne PAthar Uthaya, Us Waqt RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) ne Farmaya, Merey Baad (isi Tarteeb se) yeh Hazraat Khulafa

honge"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " O Abu Ya'Ali O Haaris Bin Usama , Ibn-E-Habbaan O Haakim

(RehmatULLAH Aleh) ne Sahi Bata kar, aur Behki O Abu Naeem

(RehmatULLAH Aleh) ne Safeena (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k, Jab

NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) ne Masjid ki Bunyaad rakhi, to

Hazrat ABu Bakar Siddique (Razi ALLAH Anhu) Pathar Laae, AAP (ALEH

SALAAM) ne use rakha, Phir HAZRAT UMAR FAAROOQ (RAZI ALLAH

ANHU) Pathar Laae, AAP (ALEH SALAAM) ne Use Rakha, Phir Hazrat

Usman (Razi ALLAH Anhu) PAthar Laae, aur AAP (ALEH SALAAM) ne

use RAkha, us waqt AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad isi

Tarteeb se Khulafa Hongey"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, PAge#194, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) ne Qutba Bin Maalik (Razi

ALLAH Ahu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (ALEH

SALAAM) k Pass Haazir huwa to, AAP k Saath Hazrat Abu Bakar O Umar

O Usman (Razi ALLAH Anhu) they, aur AAP Masjid E Quba ki Taameer

Farma Rahe the, aur Haan Aleka, AAP k Saah sirf yahi 3 Hazraat hain, AAP

(ALEH SALAAM) ne Farmaya, Meray Baad yahi 3 Saahibaan khilaafat

hain"

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#195, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud Kar sakte hain.. JAzakALLAH

HADEES # 44:

SAB SE PEHLE MUJH SE HAZRAT FATIMA (RAZI ALLAH ANHU)

MILENGI:

Imaam Abu Eesa Tarmizi 279 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Umm Ul Momineen Hazrat Aayesha (Razi ALLAH Anhu) Bayaan

karti hain, k Mene Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu) se Ziyaadah,

RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) k Kareeb kisi ko nahin dekha, jo apni

Nashisht Barkhuwaast aur Zindagi k Aam Maamoolaat main AAP (ALEH

SALAAM) k Sab se ziyadah Mushaahib ho, jab woh NABI-E-KAREEM

(ALEH SALAAM) k Paas Aatin to AAP (ALEH SALAAM) kharey hojaate,

in ko Bosa dete, aur in ko Apney paas Bithaate, jab NABI-E-KAREEM

(ALEH SALAAM) Bemaar hogae, to Hazrat Fatima (Razi ALLAH Anhu)

Aain aur Jhuk kar AAp ko Salaam kiya, aur Sir Utha kar Roney lagin, Phir

Dubaara AAP (ALEH SALAM) Par Jhukin aur Sir Utha kar Hansne Lagin,

jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) Foat hogae to mene un se kaha k

jab AAP Pehli baar NABI-E-KAREEM (ALEH SALAM) par jhuki thin, to

Roney lagin thin, phir jab AAP dusri baar jhukin aur Sir Uthaya to Hansne

Lagin thin, is ka kiya Sabab tha ?? Hazrat Faatima (Razi ALLAH Anhu) ne

Farmaya, main AAP ka Raaz bata rahi hun, pehli baar AAP (ALEH

SALAAM) ne Bataya tha k, AAP is dard aur is Bemaari se Foat hojaenge, to

main Roney lagi, phir dusri baar AAP (ALEH SALAAM) ne yeh bataya tha,

k AAP k Aehel main se sab se pehle MAIN AAP k Saath milongi, to main

Hansne lagi"..

(Sunan Tarmizi Baab Fazal-E-Fatima Bint-E-Muhammad (Aleh Salaam), Jild#5,

Page#700, Raqam Ul Hadees 3872, Matboo'a Daar Ul Ahya At'Turaas Al Arabi,

Beroot)

IMAAM AHMED BIN HAMBAL ne 241 Hijri main Yahi Riwaayat ki:

(Bahawala: Fazail-E-Sahaba Laa Bin Hambal, Jild#2, Page#764, Raqam Ul

Hadees 1233, Matboo'a Mosasta Risala Beroot)

Muhaddis E Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430

Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne faramya, Ae Fatima kiya tum is

Baat se Raazi nahin ho kiya k Jahaanon aur is Ummat ki Aurton ki Sardaar

ho?? MAin yeh Baat sun kar Hans Pari"..

(Dalael Un Nabuuwaah, Page#98, Raqam Ul Hadees 93, Matboo'a Daar Ul Teba

Ur Riyaaz)

FAISLA AAP KHUD KAREN K KIYA YEH ILM GAIB NAHIN K

HUZOOR (ALEH SALAAM) NE ZAINAB (RAZI ALLAH ANHU) ko

Bataya k Woh Sab se Pehle HUZOOR (ALEH SALAAM) ko Milengi..

JazakALLAH

HADEES # 45:

BESHAK yeh SHO'ABLA (RAZI ALLAH ANHU) k JOOTON KI AAWAAZ

HAI JO MUJHEY REHAANA K QUBOOL-E-ISLAAM ki KUSHKHABRI

DENE AARAHAY HAIN:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM

(Aleh Salaam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umaro ko

Apni Zojiyat k liye PAsand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar

diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki

Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k

Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k

hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai""..

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#386, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Imaam Abdul MAlik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ek Moqey par HUZOOR (ALEH SALAAM) Apney Sahab k Sath

Tashreef Farma they, k Apney Peechey kisi Aaney Waaley k Jooton ki

Aawaaz Suni.. To HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Beshak yeh

Sho'abla Bin Sai'yyah (Razi ALLAH Anhu) k Jooton ki Aawaaz hai jo

muhjey Rehana k Qubool-E-Islam ki khushkhabri dene Aarahe hain,

Chunachay Unhon ne Haazir-E-Khidamt ho kar Bataya, YA RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) REHANA NE ISLAM QABOOL KARLIYA

HAI.. Is k Is Amal Par AAP (ALEH SALAAM) ko Bohat Ziyaadah Khushi

Huwi"

(Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Seerat Ibn-E-Hashaam, Jild#4, Page#205-206,

Matboo'a Dar Ul Jeel, Beroot)

Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer bhi yahi 774 Hijri main

likhte hain:

(Bahawala: Al Seerat Ul Nabuuwaiyyah, Jild#4, Page#503, Matboo'a Daar Ul

Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Haafiz Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 458 Hijri main Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abhi Aap Sahaba E Karaam (Razi ALLAH Anhu) ki Majlis main

Tashreef farma they k AAP ne Apney Peechay Do Jooton k girne ki Aawaaz

suni, Farmaya: Yeh Dono (2) Jootay Ibn-E-Sho'abla k hain, jo mujhhey

Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat de raha hai"..

(Dalael E Nabbuwwah, Jild#4, Page#24-25, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah,

Beroot)

Allama Yousuf Bin Ismail 1350 Hijri main Likhte hain:

Tarjuma: " Behki (RehmatULLAH Aleh) Likhte hain k NABI-E-KAREEM

(Aleh Salaam) ne Bani Qurezaa ki Aurton main se Rehana Bint-E-Umaro ko

Apni Zojiyat k liye PAsand Farmaya, to us ne Islam Laaney se Inkaar kar

diya.. Us Se AAP Kabeedah Khaatir huwe, Abhi AAP Sahaba Karaam ki

Majlis main Tashreef farma they k AAP ne Apne Peechey Do (2) Jooton k

Girne ki Aawaaz suni aur Farmaya: " Yeh Dono (2) Jootey Ibn-E-Sai'yyah k

hain, jo Mujhey Rehana k Islam Laaney ki Bashaarat deraha hai""..

(HajjatULLAH AliULAALAMEEN Fi ojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#343-

344, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah Beroot)

Fasila Aap Khud Karen.. Kiya yeh ILM-E-GAIb nahin k Sirf Jootiyon ki

Aawaaz sun k Bata diya k yeh Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi ALLAH

Anhu) ki hai.. aur Sirf yeh na Bataya k Jootiyon ki Aawaaz Sho'abla (Razi

ALLAh Anhu) ki hai, Balkey yeh bhi Bataya k Sho'abla (Razi ALLAh Anhu)

Rehana k Islam Qubool karne ki khushkhabri dene Aae hain..

SubhanALLAH..

JazakALLAH

HADEES#46:

Abu Sufiyan Bin Harab (Razi ALLAH Anhu) k Dil ki Baat Batana:

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte

hain:

Tarjuma: " Hum ne Ek Mutassil Sanad se Abdullah Bin Abi Bakkar se

Riwaayat Naqal ki hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) Abu Sufiyaan ki Taraf

Tashreef le gae.. Jab Abu Sufiyaan ne AAP ko Dekha to Dil main kaha k

kaash main jaan leta k tune kis Wajah se Mujh par Galba Paaya hai..

HUZOOR (ALEH SALAAM) Tashreef lae, us k Donon Kandhon k

Darmiyaan Apna Haath Maara, aur Faramya, Ae Abu Sufiyaan ALLAH

TA'ALA ki Madad se tum par Gaalin Aaya hun, to Abu Sufiyaan ne Kaha

Main Gawahi deta hun k AAP ALLAH k RASOOL hain"

(Roz Ul Anaf Un Islam abi Sufiyaan O Saahibiyah, Jild#4, Page#73, Matboo'a

Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain 585 Hijri main Riwaayat Karte hain:

Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k

us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Aleh Salaam) k

Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya,

Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha

kar dekha, to HUZOOR (ALEH SALAAM) us k Sir par kharey the, Kehne

laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur

yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par

Aagah hogae"..

(Dalael Un Nabuwwah, Baab Islam Hind, Jild#5, Page#102, Matboo'a Daar Ul

Kutub Ilmiyah, Beroot)

Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Abu Sufiyan Bin Harab Fatah Makkah k Baad ek Din Betha tha k

us ne Apney Dil main kaha Ae Kaash main MUHAMMAD (Aleh Salaam) k

Muqaabil ek Lashkar Ikhattha kar sakun, Abhi woh Yahi Soch raha tha, k

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Us ki Beth par Thappi de kar Farmaya,

Agar aesa huwa to ALLAH TA'ALA tumhen Ruswa kareaga, Us ne Sir Utha

kar dekha, to HUZOOR (ALEH SALAAM) us k Sir par kharey the, Kehne

laga Bakhuda main Ab tak yeh yakeen nahin karta tha, k AAP NABI hain aur

yeh (Lashkar jama karne ki) Baat to merey Dil main Aai thi k AAP is par

Aagah hogae"..

(Al Seerat Un Nabuuwaiyyah, Khutba Un Nabi (Aleh SAlaam), Jild#3, Page#541,

Matbo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Hussain Behki 458 Hijri main Riwaayat karte

hain:

Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai

k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil

huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main

Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se

kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi

hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-

AKRAM (ALEH SALAAM) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh

ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta

hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh

Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha"..

(Dalael Un Nabuwwah Baab Islam Hind, Jild#5, Page#103, Matboo'a Daar Ul

Kutub Ilmiyah Beroot)

Haafiz Ammad Ud Deen Ismail Bin Umar Bin Kaseer 774 Hijri main

Riwaayat karte hain:

Tarjuma: " Hazrat Saeed Bin Museb (RehmatULLAH Aleh) se Riwwayat hai

k Jis Raat Makkah Fatah huwa to us Raat Musalmaan Makkah main Daakhil

huwe, Woh Saari Raat Tasbooeh O Tehleel Aur Tawaf-E-Kaaba main

Mashgool rahe, yeh Manzar dekh kar Abu Sufiyaan ne Apni Biwi Hind se

kaha: " Kiya tujhey ALLAH ki yeh Shaan, Be Niyaazi Nazar nahin Aarahi

hai?? Jab Subah huwi to Darbaar-E-Risaalat main Haazir huwa, NABI-E-

AKRAM (ALEH SALAAM) ne use Dekhte hi Faramya: Haan Waqai Yeh

ALLAH ki Taraf se hai, Abu Sufiyan ne yeh Sun kar kaha main Gawahi deta

hun, k AAP ALLAH k Banday aur us k RASOOL hain, Jab main ne Yeh

Baat kahi thi to Siwae ALLAH aur Hind k koi Aur Sunne Waala na tha"..

(Al Seerat Ul Nabuwwaiyah, Khutaba Un NABI (ALEH SALAAM), Jild#3,

Page#542, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul Arabi, Beroot)

Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Bin Al Jazwi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan karte hain k

NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM) k Doraan-E-Tawaaf Abu Sufiyaan aur

Hind k Darmiyaan Mulaaqaat huwi, AAP (ALEH SALAAM) ne Faramya, Ae

Abu Sufiyaan tumharey aur Hind k Darmiyaan aesi aesi Baaten huwi hain,

Abu Sufiyaan ne Dil main kaha Hind ne Mera Raaz Faash kar diya, main us

ka aesa aesa Hashar karunga, Jab NABI-E-KAREEM (ALEH SALAAM)

Tawwaaf se Faarig huwe, to Abu Sufiyaan se mile aur Faramya, Abu

Sufiyaan! Hind se is Qisam ki Guftugu na karna, Hind ne tumhara Raaz Fash

nahin kiya, yeh sun kar Abu Sufiyaan kehne laga, main Gawahi deta hun, k

AAP ALLAH k RASOOL hain"

(Khasais Ul Kubra, Jild#1, Page#441-442, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah

Beroot)

Imaam Nibhaani (RehmatULLAH Aleh) likhte hain:

Tarjuma: " Allama Saeyyad Ahmed O Halaan Makki (RehmatULLAH Aleh)

Likhte hain, Haasil kalaam yeh hai k Abu Sufiyaan ko Shoru Shoru main yeh

Inqalaab Nagawaar guzri, Magar NABI-E-AKRAM (ALEH SALAAM) us k

Saath Narmi aur Taaleef E Qalb se Kaam lete rahe, yahaan tak k Islam us k

Dil main jam gaya, Baad main Gazwah-E-Taef k doraan us ki ek Aankh

Phoot gai to woh use Hatheli par utha kar NABI-E-KAREEM (ALEH

SALAAM) ki Khidmat main Haazir huwa, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

farmaya, Agar tum chaho to ALLAH TA'ALA tumhari Aankh ko Pehle se

Behtar Surat-E-Haal main lota de, ya yeh Pasand karo k ALLAH TA'ALA

tumhen jannat main tumhen is se behtar Aankh Ata karde, yeh sun kar Abu

Sufiyaan ne Woh Aankh Phenk di aur kaha k main jannat ki is se Achi Aankh

pasand karta hun, is ki dusri aankh Khilaafat-E-Umar (Razi ALLAH Anhu)

main Yarmok ki larai k Doraan Phoot gai, Woh Mujaahideen ko Jihaad-O-

Qataal ki Targeeb dete huwe keh rahe the, Logo! yeh ALLAH k Azeem

Ayyaam main se Ek Din hai, tum ALLAH k Deen ki Madad karo, ALLAH

Tumhari Madad karega"..

(Hajjat Ul Ali Ul Aalameen, Fi Mojizaat Saeyyad Ul Mursaleen, Page#357,

Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, k Abu Sufiyaan k Dil ki Baat jaanna ILM-E-

GAIB hai ya nahin.. JazakALLAH

HADEES # 47:

UMAIR BIN WAHAB (RAZI ALLAH ANHU) KA KHUFIYA MANSOOBA

ZAAHIR KAR DIYA:

Imaam Muhammad Bin saad 230 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Umair se Farmaya, tumhen kiya

huwa, jo Hathiyaar liye aae ho? Unhon ne kaha k Haazri hotey waqt main

Bhoolay se Talwaar liye Chala Aaya, AAP (ALEH SALAAM) ne Farmaya k,

TUM Q AAE?? Umair ne kaha k Main Apney Larkey k Fidyeh main aaya

hun.. HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya kiya tum ne Haram main

Safwaan Bin Ummaiyyah se Uhad kiya hai?? Arz ki main ne kuch nahin

kiya.. Farmaya k tum ne yeh Uhad kiya k Muhjey tum is Shirt pe Qatal

karige k woh Tumhen yeh cheezen de ga, Tumhara Qarz Ada karega, aur

tuhmaray Ayaal Kharch Bardaasht karega, Umair ne yeh sun kar kaha, main

Gawahi deta hun, k ALLAH k Siwa koi Maaabood nahin aur Beshak AAP

ALLAH k RASOOL hain, YA RASOOL ALLAH WALLAH mere aur

Safwaan k ilaawa kisi ko itlaa na thi, main jaanta hun k ALLAH ne AAP ko

Aagah kar diya"..

(Tibqaat Ibn-E-Saad, Jild#4, Page#200, Matboo'a Daar s Saadir, Beroot)

Imaam Abu l Hasan Ali Bin Muhamad Bin Habib Al Maawrdi bhi 429 Hijri

main yahi Riwaayat karte hain:

(Bahawala: Aalaam Un Nabuwwaah, Page#162, Matboo'a Daar Ul Kitaab Ul

Arabi, Beroot)

Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya, Mujhey Sachi Baat

batao tum q aae ho? us ne kaha main to isis Maqsad k liye aaya hun, AAP

(ALEH SALAAM) ne Farmaya, tu aur Sufwaan Bin Ummaiyyah ne Hajar

main beht kar Koowaiin main Daalay jaaney waaley Quresh ka Tazkara kiya,

phir tu ne kaha agar Mujh par Qarz na hota aur agar meray haan Ahl-O-

Ayaal na hote to main MUHAMMAD (ALEH SALAAM) ko Qatal karne k

liye zarur Rawaana hota, Safwaan bin Ummaiyah ne terey Qarz aur teray

Ahl-O-Ayaal ki Zimedaari is shirt par utha li, k tu is ki Khaatir mujhey Qatal

karega, Haalaankay tere aur is k Iraaaday k darmiyaan ALLAH TA'ALA

Haael hai, Umair keh utha, main Gawahi deta hun, k AAP ALLAH k

RASOOL hain"..

(Al Seerat Un Nabuwwiyah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam , Jild#3, Page#214,

Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)

Faisla Aap kar Sakte hain, kiya yeh Gaib ka ILM nahin k HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne Umair Bin Wahab k Aaney ka Maqsad Bata diya.. aur un k

Safwaan Bin Ummaiyaah ki Baat cheet ka bhi bata diya.. JazakALLAH

HADEES # 48:

TU NE US K RUKHSAAR MAIN EK TIL DEKHA HAI, JIS WAJAH SE

TERAY JISAM KA AR BAAL KHARA HOGAYA:

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Saad (RehmatULLAH Aleh) ne Hazrat Saabit (Razi

ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, unhon ne kaha k HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne Bani Qalb ki ek Aurat ko Nikah ka Peghaam diya, aur Hazrat

Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ko dekhne k liye bheja to woh Gain, jab woh

Waapis Aaen to RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) ne un se Pucha, tum

ne kiya dekha?? Unhon ne kaha mene koi khaas Baat nahin dekhi, HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne Farmaya, Tum ne ek Khaas Baat dekhi hai, tum ne

dekha k us k Rukhsaar par ek Tilhai, jis ko dekh kar tumharey Badan k

Tamaam Rongtay khareyhogae, is par unhon ne Arz kiya, YA RASOOL

ALLAH (ALEH SALAAM) AAP se koi Baat posheedah nahin hai, Yaani

AAP (ALEH SALAAM) ko har Shey (Cheez) ka ILM hai"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#181, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Imaam Abi Al Farj Abdur Rehman Al Jozi 597 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k NABI

(ALEH SALAAM) ne un ko us Aurat ko dekhne bheja, jis k liye AAP ne

Peghaam E Nika diya tha, to unhon ne Aa kar kaha, main ne koi khaas baat

nahin dekhi hai, AAP (ALEH SALAAM) ne farmaya, tum ne us k rukhsaar

par til dekha hai, jise dekh kar tumhaarey Rongtay kharey hogae, woh

Farmaati hain, AAP (ALEH SALAAM) se koi baat posheedah nahin reh

sakti, khuwaaaah koi AAP se kitna hi chupaae, kis main yeh Jur'at hai"..

(Al Wafa, Ba Hawaal Ul Mustafa, Al Baab Al Khaamis, Ashar Fi Akhbaar E

RASOOL ALLAH (ALEH SALAAM) Bilgaayebaat, Jild#1, Page#314, Matboo'a

Mustafa, Al Baabi, Misar)

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main likhte

hain:

Tarjuma: " Riwaayat ki gai hai k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek aurat

ko Daawat-E-Nikah di, aur Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (Razi ALLAH

Anhu) ko dekhney k liye Bheja, jab Umm-Ul-Momineen Hazrat Ayesha (RAzi

ALLAH Anhu) Waapis Aain, to Arz ki main to is main koi Faeda nahin

dekhti, to HUZOOR (ALEH SALAAAM) ne Farmaya, tu ne us k Rukhsaaar

main ek Til dekha hai, jis ki Wajah se terey Jisam ka har Baal khara

hogaya"..

(Roz-Ul-Anaf, Lilsaheli, Gerat-Un-Nisa Un Nabi, Jild#4, PAge#20, Matboo'a Daar

Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Hadees to Khulli Daleel hai ILM-E-

GAIB ki... jis main Saaf Waazeh hai, k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

Bataya Hazrat Ayesha ko k unhon ne Un k Rukhsaar pe til dekha tha, aur til

dekhney se un k rongtey kharey hogae..

kiya yeh ILM-E-GAIB nahin??

aur to aur jawaab main Hazrat Ayesha (RAzi ALLAH Anhu) ne kiya kaha??

Unhon ne kahaa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ko har Shey ka ILM hai, aur

un se koi bhi Baat Posheedah nahin.. Ab Aap hi Eemaan ki Roshni main

Faisla karlen.. JazakALLAH

HADEES # 49:

AGAR TUM CHAHTEY HO TO MAIN TUMHEN BATA DETA HUN, K

KIS CHEEZ NE TUMHEN WAHIN ROKAY RAKHA??:

Allama Abu Al Qaasim Abdur Rehman Bin Abdullah 571 Hijri main Likhte

hain:

TArjuma: " Allama Zubair (Bin Bakkaar RehmatULLAH Aleh) ne Riwaayat

kiya k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek Shakhs ko kuch Tahaif de kar,

Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH

Anhu) k Pass Bheja, Woh Qaasid kaafi Arsaa Wahin thera raha, jab woh

Waapis Aaya to HUZOOR (ALEH SALAAM) ne usey Farmaya, Agar tum

chaho to main tumhen bata deta hun, k Kis cheez ne tumhen Wahin Roqye

rakha?? Us ne Arz ki haan!! HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Farmaya,

Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) aur Hazrat Ruqaiyyah (RAzi ALLAH

Anhu) k Husan O Jamaal ne tujhey wahin Roqey rakha, Us ne Arz ki

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne Sach farmaya, main un k Husan O Jamaal

ki Dil Kashi main Khoya raha"..

(Roz Ul Anaf, Baab Ul Hajrah, Ali Al Arz Al Habsha, Jild#2, Page#91, MAtboo'a

Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaaami 942 Hijri main likhte

hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Abi Aasim

(Razi ALLAH Anhu) Riwaayat ki, kaha k Mujh se Hazrat Usman (Razi

ALLAH Anhu) k ek Ghulaam ne Hadees Bayaan ki k RASOOL ALLAH

(Aleh Salaam) ne Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) k pass koi cheez

Hadyatan bheji, aur woh Qaasid kuch der thera raha, phir woh Qaasid aaya,

to RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne use Farmaya, tum kis liye theray

rahe..?? phir farmaya, agar tum chaho to main tumhen bataoun k kis Bina

par tum theray rahe?? Farmaya, tum ek Nazar Hazrat Usman (Razi ALLAH

Anhu) par Daaltey they, uar ek

Nazar Hazrat Ruqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) par, uar yeh dekhtey the, k in

main se kon Ziyaaadah Haseen hai, usne kaha, AAP ne such farmaya, Qasam

hai us Zaat ki, jis ne AAP ko Haq k Saath Ma'oos Farmaya, isi Baat ne,

mujhey Therae rakha tha"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page#180, MAtboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah, Beroot)

Yahi Allama Muhammad Bin Yousuf Al Saalihi Al Shaami 942 Hijri main

likhte hain:

Tarjuma: " Ibn-E-Asaakar (RehmatULLAH Aleh) ne Batareeq Zubair Bin

Bakaar (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki k mujh se Muhammad Bin

Salaam (RehmatULLAH Aleh) ne Hadees Bayaan ki, kaha k mujh se Hazrat

Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu) k Ghulaam Abu Al Muqaddam ne

Hadees Bayaan ki, unhon ne kaha k RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ne Ek

Aadmi k haath Bakri k Paae, Hazrat Usman Bin Af'aan (Razi ALLAH Anhu)

k yahaan bhejey, woh Aadmi kuch der thera raha, NABI (ALEH SALAAM)

ne farmaya, agar tum chaho to main tumhen bata dun, k kis liye tum wahaan

theray rahe, us ne kaha YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam)!! Zarur

bataiyeh, AAP (Aleh Salaam) ne Farmaya, tum Hazrat Usman (Razi ALLAH

Anhu) aur Hazrat Ruqqaiyyah (Razi ALLAH Anhu) ko dekh kar un k Husan

par Ta'ajjub kar rahe the"..

(Sabal Ul Huda, Jild#10, Page#54, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah, Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, k kiya yeh ILM-E-GAIB nahin, k HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne Bata diya, k Qaasid wahaan kis Wajah se ther gaya tha,

khud parhen aur khud Sochen... JazakALLAH

HADEES # 50:

YEH SHEEMA BINT-E-NAFEELAH AZDIYAH APNEY KHACHAR

SHEHBA'A PAR KAALA DOPATTA ORHEY MOJOOD HAI:

Muhaddis-E-Kabeer Imaam Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah Asfahaani 430

Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) Muhaajireen main se hain,

yeh wohi hain k jab NABI-E-KAREEM (Aleh Salaam) ne Sahaba (Razi

ALLAH Anhu) se Farmaya, yeh Heerah Bezaa hai, jise meray Saamney laaya

gaya hai, aur yeh Sheema Bint-e-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Shehba'a

par kaala Dopatta orhey Mojood hai, Khazeem (Razi ALLAH Anhu) ne kaha,

YA RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) hum ne, Heera'h ko Fatah kar liya, aur

hum ne Sheemah ko isi Haalat main paaya, to kiya woh MEri hogai,

HUZOOR (Aleh Salaam) ne Farmaya, haan woh teri hogai, Phir Hazrat

Khazeem (Razi ALLAH Anhu), Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH

Anhu) k Saath k saath Muslimah Kazzaab ko Qatal karne Chal Parey,

Chunachay Hazraat Sahaaba-E-Karaam (Razi ALLAH Anhu) ne Muslimah

Kazzaab ko Jahannum Waasil kiya, phir Hazrat Khazeem (Razi ALLAH

Anhu), HAzrat Khaalod Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k saath Heeera'h

ki taraf chal diye, jab Musalmaanon ka ka Lashkar Heera'h main Daakhil

huwa to, sab se pehley unhen (Sheemah) Bint-E-Buqeelah Siyaahi Maeel ek

Taqatwar KHachar par Sawaar mili, jesa k HUZOOR (ALEH SALAAM) ne

us ki Haalat Bayaan farmai thi, Cunachay use dekhte hi, Hazrat Khazeem

(Razi ALLAH Anhu) us sey chimat gae, aur is ka Daawa karne lage, un k

Mta'alliq HUZOOR (ALEH SALAAM) k Farmaan ki Gawaahi, Hazrat

Muhammad Bin Musallimah, Aur Hazrat Abdullah Bin Umar (Razi ALLAH

Anhu) ne di, Lihaaza Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne Sheema'a,

Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) k Supard kar di, Phir

Sheem'a k pass us ka Bhai Abdul Maseeh, Qilay se neechey utar kar aaya, aur

Khazeem (Razi ALLAH Anhu) se kehne laga, Sheema'a ko mujhey bech de,

Khazeem (Razi ALLAh Anhu) ne Jawaab diya, Ba khuda, main ek hazaar se

kam nahin karunga, Lihaaza Abdul Maseeh ne ek Hazaar de kar, Sheema'a

ko le liya, aur phir kehne lage, agar tum ek Laakh bhi maangte, to main woh

bhi dene ko Tayyaar tha, Hazrat Khazeem (Razi ALLAH Anhu) kehney

lagey, main to yahi samajhta raha, k Maal Dus so (10*100) (Yaani Ek Hazaar)

se Ziyaadah hota hi nahin"..

(Hulyat Ul Oliya, O Tabqaat Al Asfiya, Zikar Hazrat Khazeem Bin Os (Razi

ALLAH Anhu), Jild#1, Page#364, Matboo'a Daar Ul Kitaab Al Arabi, Beroot)

Imaam Jalaal Ud Deen Sayooti 911 Hijri main likhte hain:

Tarjuma: " Bukhaari (RehmatULLAH Aleh) ne Apni "Taareekh" main aur

Tibraani ne Behki aur Abu Naeem (RehmatULLAH Aleh) se Khazeem Bin Os

Bin Haarisah, bin Laam (Razi ALLAH Anhu) se Riwaayat ki, Unhon ne kaha

mene RASOOL ALLAH (Aleh Salaam) ki Jaanib se us Waqt Hijrat ki jab k

AAP Tabook se Waapis Tashreef lae the, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us

Waqt Farmaya, yeh Heerah Beezah hai, jise Meray Saamney laaya Gaya hai,

aur yeh Sheema'a Bint-E-Nafeelah Azdiyah Apney Khachar Sheba'ah par

Kaal Dopatta Orhey Mojood hai, Mene Arz kiya YA RASOOL ALLAH (Aleh

Salaam)!! Agar Hum Heerah main Daakhil hon, aur Agar main ise Wesa hi

paaon jesa k Aapney Sifat Bayaan ki, to kiya woh meray liye hogi, HUZOOR

(ALEH SALAAM) ne Farmaya, woh Tumharey liye hai, Lihaaza Jab Haazrat

Abu Bakkar Siddique ka Zamana-E-Khilaafat Aaya aur hum Muslimah

Kazzaab k Istesaal se Faarig huwe, to Heerah ki taraf Mutawwajjah huwe,

Hamarey Daakhil honey k Baad jo Aurat Sab se Pehley humen mili, woh

Sheema'a Bint-E-Nafeelah thin, aur usi Haaal main thin, jis Haalat ki

HUZOOR (ALEH SALAAM) ne KHabar di thi, Yaani woh Apney Khachar

Shebah par kaala Doppata Orhey Sawaar thi, aur main is k Saaath Muta'alliq

hogaya, aur mene kaha yahi Woh Aurat hai, jise HUZOOR (ALEH

SALAAM) ne Mujhey Ata farmaya..

Hazrat KHaalid Bin Waleed (Razi ALLAH Anhu) ne is par mujh se

Shahaadat Talab farmai, aur mene us ki Shahaadat pesh ki, Woh Shahaadat

Muhammad bin Muslimah (Razi ALLAH Anhu) aur Muhammad bin Bashar

(Razi ALLAH Anhu) ki thi, to Hazrat Khaalid Bin Waleed (Razi ALLAH

Anhu) ne usey meray Hawaaley kar diya, phir uska Bhai jamarey Pass Sulah

ki Garz se aaya, aur us ne kaha k Ise Farokht kar do, mene kaha khudah ki

Qasam Dus So (10*100) Darham se kam na karunga, to us ne mujhey ek

Hazaar Darham de diye, Phir mujh se kaha, agar tum ek LAakh Darham bhi

,aamgtey to main Zarur deta, mene kaha Main Dus Soo Darhum se ziyaadah

Ginti jaanta hi nahin tha"..

(Khasais Ul Kubra, Jild#2, Page186-187, Matboo'a Daar Ul Kutub Ilmiyah,

Beroot)

Faisla Aap khud kar sakte hain, yeh Batana k Sheema'h Bint-E-Nafeelah,

Apney Khachar pe Kaala dopatta orhey milengi, yeh GAIB ki khabar hai ya

nahin.. JazakALLAH

Hadees # 51

Hazrat Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) bayan karty hain k main

nain

HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) ko

farmaty huay suna k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI

WASALLAM) nain farmaya:

“Muslmaano ki ya moomino ki ek jama’at zurur Aal-e-kisra (family of Kisra) k us

khazany ko fatah kary gi jo Qasr-e-Abyad (white palace) main hay.”

**********************************************

Sayyedina Jabir bin Samura (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:

I heard Allah's Messenger SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM

(as saying that)

“There would lie open for a group of Muslims, or for a group of believers, the

treasures of the family of Kisra which would be in the white (palace).”

From : Muslim

Book : Al Fitan wa Ashraat As Sa’ah

Volume : 4

page : 2237

hadith number : 2919

From : Ahmad Bin Hambal

Book : Al Musnad

Volume : 5

Page : 89, 100

Hadith number : 20854 , 29083

From : Abu Y’ala

Book : Al Musnad

Volume : 13

Page : 441

hadith number : 7444

Hadees # 52

Hazrat Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) farmaty hain k

"HUZUR (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain mujhy

qayamat tak roonuma honay wali har baat bata di aur koi aysi baat na rahi jisy

main nain AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) say

poocha na ho. Albatta main nain yeh na pucha k Ahl-e-Madinah ko konsi cheez

madeenah say nikaly gi?"

**********************************************

Sayyedina Huzaifah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) reported:

Allah's Messenger (may peace be upon him) informed me of what is going to

happen before the approach of the Last Hour.

And there is nothing that I did not ask him in this connection except this that I did

not ask him as to what would turn the people of Medina out from Medina.

From : Muslim

Book : Al Fitan wa ashraat As Sa'ahChapter

Chapter : Qayamat tak paish any waly Fitnon k bary main AAP SAW ka khabar

dayna

Volume : 4

Page : 2217

Hadith number : 2891

From : Ahmad Bin Hambal

Book : Al Mustadrak

Volume : 5

page : 386

Hadith number : 23329

From : Haakim

Book : Al Mustadrak

Volume : 4

Page : 472

Hadith number : 8311

Hadees # 53

1.Hazrat Abu Amamah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k akhir

main yeh alfaaz hain.

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:

"Pas mujh say duniya aur akhirat k bary main kiay jaany waly sawalaat k jawabaat

main nain usi muqaam par jaan liay."

From : Tabrani and Ruyani

========================================

. Ek aur rawayat k alfaaz hain k

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:

"Aur main nain Duniya o akhirat ki har cheez ki haqeeqat jaan bhi li aur daykh bhi

li."

From : Tabrani

========================================

3. Hazrat Jabir bin samrah (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say marwi rawayat k

akhir main yeh alfaaz hain.

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALEHI WASALLAM) nain farmaya:

"Pas us k baad kabhi aysa nahi hua k mujh say kisi cheez k mutalliq sawal kiya

gaya ho aur main usy na janta hon."

From : Ibn e Abi Shaibah and Ibn e Abi 'Asim

Yeh hadees Hassan hay aur is k Rijaal thiqah hain.

========================================

References

From : Tirmidhi

Book : Tafseer Al Quran

Chapter : Sorat Saad

Hadith number : 3233-3235

From : Darimi

Book : As Sunan

Volume : 2

Page : 170

Hadith number : 2149

From : Ahmad Bin Hambal

Book : Al Musnad

Page/volume : 368/1 , 66/4 , 243/5

From : Tabrani

Book : M'ajam Al Kabeer

page/Volume : 290/8 , 109/20 , 141/20

From : Ruyani

Book : Al Musnad

Volume : 1

page : 429

Hadith number : 656

From : Abu Y'ala

Book : Al Musnad

Volume : 4

Page : 475

Hadith number : 2608

From : Ibn e Abu Shaibah

Book : Musannaf

Volume : 6

Page : 313

Hadith number : 31706

Hadees # 54

Hazrat Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) say rawayat hay k

HUZUR Sallallahualaihiwasallam nain hazrat zaid, hazrat J'afar aur Hazrat

Abdullah Bin Rawahah (Radi ALLAH TA'ALA anhum) k mutalliqkhabar aany say

pehly hi un k shaheed ho jaany k mutalliq loogun ko bata diya. Chunachy AAP

Sallallahualaihiwasallam nain farmaya:

"Ab jhanda Zaid nain sambhala hua hy laykin wo shaheed ho gaay.

Ab J'afar nain jhanda sambhal liya hay aur wo bhi shaheed ho gaay.

Ab Ibne Rawahah nain jhanda sambhala hay aur wo bhi shaheed ho gaay."

Yeh farmaty huay AAP Sallallahualaihiwasallam ki chashmaan e Mubarak (eyes)

Ansoun say bhari hui thin.

(Phir farmaya)

"yahan tak k ab ALLAH ki talwaaron main say ek talwaar (khalid bin waleed Radi

ALLAH TA'ALA anhu) nain jhanda sambhaal liya hay aur us k haathon ALLAH

TA'ALA nain kafiron par (Muslmanon ko) Fatah ata farmai hy."

***************************************************

Sayyedina Anas (Radi ALLAH TA'ALA anhu) Narrated that:

The Prophet had informed the people of the martyrdom of Zaid, Ja'far and Ibn

Rawaha (Radi ALLAH TA'ALA anhum) before the news of their death reached.

The Prophet said,

"Zaid took the flag (as the commander of the army) and was martyred, then Ja'far

took it and was martyred, and then Ibn Rawaha took it and was martyred."

At that time the Prophet's eyes were shedding tears.

He added, "Then the flag was taken by a Sword amongst the Swords of Allah (i.e.

Khalid) and Allah made them (i.e. the Muslims) victorious."

From : Bukhari

Book : Al Maghazai

Chapter : Zameen e shaam main Ghazwa e mota

hadith number : 4014

From : Bukhari

Book : Al Janaiz

Volume : 1

page : 420

Hadith number : 1189

From : Bukhari

Book : Al Jihaad

Volume : 3

Page : 1030

Hadith number : 2645

From : Bukhari

Book : fadael e Sahaba

Chapter : Khalid bin Waleed k Manaqib

Hadith number : 3547

From : Nisai

Book : Sunan AL Kubra

Volume : 5

page : 180

Hadith number : 8604

From : Ahmad Bin Hambal

Book : Al Musnad

Volume : 1

page : 204

Hadith number : 1750

From : Haakim

Book : Al Mustadrak

Volume : 3

page : 337

Hadith number : 5295

Hadees # 55

NABI E KAREEM SALLALAHU ALAIHI WASALLAM KA ILME GHAIB

DEKH KAR HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ RADIALLAHU ANH NE IMAAN

LAAYA....

HAZRAT ABU BAKR SIDDIQ RADIALLAHU ANH KA IMAAN LAANE KA

WAQIYA :

EK MARTABA TIJAARAT KE GARZ SE MULK SHAAM (SYRIA)

RAWAANA HUAE. RAAT KO MAHWA ISTERAAHAT HUE TO EK AJEEB

SA KHAWAAB DEKHA KE CHAAND, SOORAJ AASMAAN SE UTAR

GAYA HAI AUR AAPNE IN DONON KO SEENE (CHEST) SE LAGAYA HAI.

ALA AL SAHIH BAHEERA RAAHEB(EK SAHI AALIM WO ZAMAANE

MAIN) KE PAAS GAYE, IS NE POOCHA KAHAAN SE AAYE HAIN ? TO

FARMAYA MAKKAH SE, PHIR POOCHA: KIS QAANDAAN SE TALLUQ

HAI? AAPNE FARMAYA QURAISH SE, PHIR SAWAAL KIYA AAP KYA

KAAM KARTE HAI ? AAPNE FARMAAYA TAAJIR HOON, US NE KAHAA

AAP KE QAWAAB KE TAABEER YE BATAAYE KE TUMHAARA

KHAWAAB YOON POORA HOGA :

"BESHAK TERI QAUM SE EK NABI MA'ABOOS HOGA TO TUM IS KE

HAYAAT MAIN IS KE WAZEER HONGE AUR BAAD WAFAAT IS KE

KHALIFA AUR JAANASHEEN BANOGE"

HAZRAT ABU BAKR SIDDIQE RADIALLAHU ANH DAR E MUSTAFA

SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM PER HAAZIR HUE AUR POOCHA,

AAPNE DAAWA E NABUWWAT KIYA HAI ?? NABI E KAREEM

SALLLAHUALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA HAAN,(HAZRAT ABU

BAKR NE) ARZ KIYA KOI DALEEL HAI ? HUZOOR SALLALLAHU

ALAIHI WASALLAM NE FARMAAYA KYA WOH DALEEL KAAFI NAHI

HAI JO MULKE SHAAM (SYRIA) MAIN DEKH KAR AAYE HO. HAZRAT

ABU BAKR SIDDIQE RADIALLAHU ANH NE FAURAN KALIMA PADHA

AUR ISLAM MAIN DAAKHIL HO GAYE.

REF :

ZURQAANI ALAL MAWAHIB 1/239-240

AL RIYADH AL AZAR 15/413

SEERAT E HALBIYA 1/274

KHASAIS AL KUBRA 1/72

TAREEQ E DAMISHQ 2/9

IS WAQIYE KO MAULVI NAWAAB SIDDIQ HASAN KHAN

BHOPALI(AHLE HADIS MOHADDIS) NE APNE KITAAB "TAKREEM AL

MOMINEEN" PG 10-11 PER NAQAL KIYA HAI

Alhamdulillah in Tamam Aayat aur Ahadees se humare

sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm e ghaib saabit hai.

Aur ab hum un Aayat wa Ahadees padege jise dusre digar

firqe ilm e ghaib ki nafi hone k idalil lete hai aur hum in sha

ALLAH unhe galat saabit karege..

Ilm e ghaib ki woh aayat jo ALLAH ka Zaati aur Khaas Ilm

e Ghaib saabit karti hai lekin Gustakh use NABI

Sallallahualaihiwasallam ki ilm e ghaib ki nafi ki dalil lete

hai...

Aayat no # 1.

Surah naam 55

نہيں جانتااور اسی هللا کے پاس غیب کی کنجیاں ہیں جنہیں اس کےسوا کوئی

Aayat no # 2

Surah Hud 49

يہ غيب کی خبريں ہيں جنہيں ہم آپ کی طرف وحی کر رہے ہيں اس سے پہلے نہ تو آپ ہی جانتے تھے

اور نہ آپ کی قوم جانتی تھی پس صبر کر کيوں کہ بہتر انجام پرہيزگاروں کے ليے ہے

Aayat no # 3

Surah jin 25

کا تم سے وعدہ کيا گيا ہے وہ قريب ہے يا اس کے ليے ميرا رب کوئی کہہ دو مجھے خبر نہيں جس

مدت ٹھيراتا ہے

Aayat no # 4

Surah Hud 31

ميں نہ تم سے يہ کہتا ہوں کہ ميرے پاس خدا کے خزانے ہيں اور نہ يہ کہ ميں غيب جانتا ہوں

Aayat no # 5

Surah Inaaam 50

ميں غيب (يہ کہ)کہہ دو کہ ميں تم سے يہ نہيں کہتا کہ ميرے پاس هللا تعالی کے خزانے ہيں اور نہ

خدا )جانتا ہوں اور نہ تم سے يہ کہتا کہ ميں فرشتہ ہوں۔ ميں تو صرف اس حکم پر چلتا ہوں جو مجھے

و پھر تم غور کيوںآتا ہے۔ کہہ دو کہ بھال اندھا اور آنکھ والے برابر ہوتے ہيں؟ ت (کی طرف سے

Aayat no # 6

Surah Airaaf 188

کہہ دو ميں اپنی ذات کے نفع و نقصان کا بھی مالک نہيں مگرجو هللا چاہے اور اگر ميں غيب کی بات

جان سکتا تو بہت کچھ بھالئياں حاصل کر ليتا اور مجھے تکليف نہ پہنچتی ميں تو محض ڈرانے واال

ان لوگوں کو جو ايمان دار ہيں اور خوشخبری دينے واال ہوں

Aayat no # 7

Surah Surah Tauba 101

اور تمہارے گرد و نواح کے بعضے گنوار منافق ہيں اور بعض مدينہ والے بھی نفاق پر اڑے ہوئے ہيں

تم انہيں نہيں جانتے ہم انہيں جانتے ہيں ہم انہيں دوہری سزا ديں گے پھر وہ بڑے عذاب کی طرف

يں گےلوٹائے جائ

Aayat no # 8

Surah al maeda 109

سل فيقول ماذا أجبتم ٱلر يوب قالوا ال علم لنا يوم يجمع ٱلل م ٱل ـ أنت عل ن

گا کہ جس دن خدا پيمبروں کو جمع کرے گا پھر ان سے پوچھے (وہ دن ياد رکھنے کے الئق ہے)

تمہيں کيا جواب مال تھا وہ عرض کريں گے کہ ہميں کچھ معلوم نہيں توہی غيب کی باتوں سے واقف ہے

Aayat no # 9

Surah e Ahqaaf 9

سل وما أدرى ما يفعل بى وال بكم ن ٱلر ا مبين ن أتبع ال ما يوحى لى قل ما كنت بدع وما أنا ال نذير م (٩)

کہہ دو کہ ميں کوئی نيا پيمبر نہيں آيا۔ اور ميں نہيں جانتا کہ ميرے ساتھ کيا سلوک کيا جائے گا اور

ميں تو اسی کی پيروی کرتا ہوں جو مجھ پر وحی آتی ہے اور ميرا کام (کيا جائے گا)تمہارے ساتھ کيا

کرنا ہےتو عالنيہ ہدايت

Aayat no # 10

Surah hud 123

ل عليه وٲت وٱألرض وليه يرجع ٱألمر كلهۥ فٱعبدہ وتوڪ ـ م غيب ٱلس ا تعملون ولل فل عم ـ ب وما رب

ر سب کام کا رجوع اسی کی طرف ہے پس اور آسمانوں اور زمين کی پوشيدہ بات هللا ہی جانتا ہے او

اسی کی عبادت کرو اور اسی پر بھروسہ رکھ اور تيرا رب بے خبر نہيں اس سے جو کرتے ہو

Aayat no # 11

Surah e Luqman 34.

يث ويعلم ما فى ٱألرحام ل ٱل عندہۥ علم ٱلساعة وينز ا وما ت ن ٱلل اذا تڪسب غد وما تدرى نفس درى نفس م

عليم خبير بأى أرض تموت ن ٱلل

بے شک هللا ہی کو قيامت کی خبر ہے اور وہی مينہ برساتا ہے اور وہی جانتا ہے جو کچھ ماؤں کے

کرے گا اور کوئی نہيں جانتا کہ کس زمين پر مرے گا پيٹوں ميں ہوتا ہے اور کوئی نہيں جانتا کہ کل کيا

بے شک هللا جاننے واال خبردار ہے

Aayat no # 12

Surah e Airaaf 187

قيامت کے متعلق تجھ سے پوچھتے ہيں کہ اس کی آمد کا کونسا وقت ہے کہہ دو اس کی خبر تو ميرے

گا وہ آسمانو ں اور زمين ميں بھاری رب ہی کے ہاں ہے وہی اسے اس کے وقت پر ظاہر کر دکھائے

بات ہے وہ تم پر محض اچانک آجائے گی تجھ سے پوچھتے ہيں گويا کہ تو اس کی تالش ميں لگا ہوا

ہے کہہ دو اس کی خبر خاص هللا ہی کے ہاں ہے ليکن اکثر لوگ نہيں سمجھتے

Aayat no # 13

Surah Nisa 164

ھم عل ـ قد قصصن ورسال لم نقصصھم علي

من قبل ورسال ا ي موسى تڪليم وكلم ٱلل

اور ايسے رسول بھيجے جن کا حال اس سے پہلےہم تمہيں سنا چکيں ہيں اور ايسے رسول جن کا ہم نے

تم سے بيان نہيں کيا اور هللا نے موسی سے خاص طور پر کالم فرمايا

Aayat no # 14

Surah kahaf 25,26

ا ث ما ئة سنين وٱزدادوا تسع ـ أعلم بما لبثوا (٥٢)ولبثوا فى كھفھم ثل وٲت وٱألرض قل ٱلل ـ م لهۥ غيب ٱلس

ن دونهۦ من أبصر بهۦ وأسمع ا ما لھم م ولى وال يشرك فى حكمهۦ أحد

کہہ دو هللا بہتر جانتا ہے کہ کتنی مدت (٥۲)اور وہ اپنے غار ميں تين سو سے زائد نو برس رہے ہيں

رہے تمام آسمانوں اور زمين کا علم غيب اسی کو ہے کيا عجيب ديکھتا اور سنتا ہے ان کا هللا کے سوا

ں اور نہ ہی وہ اپنے حکم ميں کسی کو شريک کرتا ہےکوئی بھی مددگار نہي

Aayat no # 15

Surah Nahal 77

وٲت وٱألرض ـ م غيب ٱلس على ڪل شى قدير وما أمر ٱلساعة ال كلم ٱلبصر أو ھو أقرب ولل ن ٱلل

مانوں اور زمين کی پوشيدہ بات تو هللا ہی کو معلوم ہيں اور قيامت کا معاملہ تو ايسا ہے جيسا آنکھ اور آس

کا جھپکنا يا اس سےبھی قريب تر بے شک هللا ہر چيز پر قادر ہے

Yeh woh Tamam aayat hai jisse yeh saabit hai ki Ilm e Ghaib sirf o sirf ALLAH k

liye hai yaani Zaati ilm e ghaib aur aap logo ne yeh b gaur kiya hoga ki is aayat ki

Arabic matan me “ALIMUL GHAIB” likha hai jise hum b maante hai ki

ALIMUL GHAIB sirf o sirf ALLAH hi kay liye hai aur yeh tarjuma Deoband

ullema ka hai q k dusre firqe Aala Hazrat k Tarjuma na maante hai aur na likhte

hai..Inka Tarjuma dene ka maqsad yeh hai ki yeh Gustakh kitna niche gir sakte hai

Fitna failane k liye aur saath hi yeh b gaur kiya hoga ki in aayat se yeh baat bilkul

saabit nahi k “ALLAH K SE BH LM E GHA B APN QUDRAT SE YA ZAAT

SE ATAA NAH KAREGA”

Jab k aap logone Quran shareef ki di hui aayat me padha ki

Tarjuma: "Aur ALLAH ki yeh Shaan nahin hai k Ae Aam logon tum ko GAIB

ka ILM de, haanALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko

chahe". (PARAH#4,Surah # Al-Imran, Aayat#179)

Toh saaf zaahir hogaya ki ZAATI aur ATAAI me bahut farq hai jise Gustakh

nahi maante (MAZ ALLAH ).

Ilm e ghaib ki woh Hadees jise Gustakh ILM e Ghaib ki Nafi

k liye Dalil lete hai aur unke jawabaat...

Mukhalifeen nafi e ilm e ghaib k liye bahut si Ahadees pesh karte hai unsabka

ijmali jawaab toh yeh hai ki un ahadees me Huzur Sallallahualaihiwasallam ne yeh

na Farmaya ki mujhe Rab ne fala chiz ka ilm na diya balki kisi me toh hai

ALLAHU AALAM kisi me hai mujhe kya khabar.kisi me hai ki fala baat Nabi

sallallahualaihiwasallam ne na batai.kisi me hai ki Nabi

sallalllahualaihiwasallamne fala se se yeh baat puchi aur yeh Tamam baate ilm ki

nafi saabit nahi karti na Batana ya puchna ya ALLAHU AALAM farmana aur

bahut si maslehato’n ki wajah se b ho sakta hai.Bahut si baateln khuda ne bande ko

na batai.sawaal k bawajood makhfi(chupaye) rakha.Bahut si chizo’n k

Muta’alikparwardigar e Aalam farishto’n se puchta hai kya usko b ilm nahi.ek

hadees sahi kataiyudhalaat aisi lao jisme ataai ilm e ghaib nafi ho.magar In sha

ALLAH na laa sakege.yeh jawaab nihayat kaafi tha magar fir b unka mashur

ahadees arz karke jawaab arz karta hu. Wabillahittaufik.

Hadees # 1

Sahih Bukhari Volume 9, Book 93, Number 477:

Narrated Masruq:

'Aisha said, "If anyone tells you that Muhammad has seen his Lord, he is a liar, for

Allah says: 'No vision can grasp Him.' (6.103) And if anyone tells you that

Muhammad has seen the Unseen, he is a liar, for Allah says: "None has the

knowledge of the Unseen but Allah."

is Hadees ka jawaab ::

Yeh HAdees Bilkul Sahi hai lekin HAdees ko Samajna padega.....

Is hadees me 2 point hai..

1 )HUmare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne ALLAH ko Dekha.

2) Agar koi kahe ki NABI sallallahualaihiwasaalm ko ilm e ghaib hai toh woh

jhuta hai...

1 Point ka jawaab..

Imam Ibn Hajr al Asqalani (Rahimuhullah) says in his Fath ul Bari

عن المروزي قلت ألحمد نھم يقولون ن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على هللا الفرية

فبأي شي يدفع قولھا قال بقول النبي صلى هللا عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى هللا عليه وسلم أكبر من

قولھا

Translation: Maruzi (rah) said to Imam Ahmed (rah): People say that Aisha (ra)

used to say that whosoever says that the Prophet (saw) saw his Lord has attributed

a lie to Allah, so how shall this be answered? (Imam Ahmed) replied: From the

saying of Prophet (sallallahualaihiwasallam) [himself] “رأيت ربي” i.e. I saw my

Lord, this will be an answer to Aisha (ra)’s Qawlbecause the saying of Prophet

(sallallahualaihiwasallam) is far superior than saying of her (i.e. Aisha ra)[Fath

ul Bari, Sharah Sahih ul Bukhari, Volume No. 8, Page No. 494]

2 point ka jawaab yeh hai ki Hazrat Aisha ne ZAATI ilm e ghaib k baare kaha hai

ki agar kisi ne kaha ki NABI sallallahualaihiwasallam khud se Ghaib jaante toh

woh jhuta hai...q k Ilm e Ghaib khud se jaan lena sirf o sirf ALLAH k liye hai...aur

ALLAH k ilawa kisi k liye nahi....

NOTE : HAdees kabhi Quran shareef se takra nahi sakti....aur Yeh Hadees sahi

hai..aur Quran ki woh aayatein b SAHI hai Jo ATAAI ilm e ghaib k baare batati

hai.. (Surah AL-Imran aayat no.179.)

Isliye yeh HADees NABI sallallahualaihiwasallam k Ilm e Ghaib ki NAFI nahi

karti............. :)

Hadees # 2

Mishkat baab Elaan nikah ki pehli hadees hai ki Huzur Sallallahualaihiwasallam

ek nikah me tashreef le gaye jaha’n Ansar ki kuch bacchiya daff bajakar jung e

badar k maktuleen k marsiya k geet gaane lagi,unme se kisi ne yeh misra padha

“wa fina nabiyun yaalimu ma fi gadeen”,Humme aise Nabi hai jo kal ki baat jaante

hai toh Huzur Sallallahualaihiwasallam ne farmaya ki yeh chod do,wahi gaaye jao

jo pehle gaa rahi thi.

Isse maalum hua ki NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib nahi tha agar

hota toh aap inko yeh kehne se na rokte,sachhi baat se kyo roka???

JAWAAB : Awwal toh gaur karna chahiye ki yeh misra khud un bacchiyo’n ne

toh banaya hi nahi,q k bacchiyo’n ko sher banana nahi aata,aur kisi kaafir wa

mushrik ne banaya,wa Huzur sallallahualaihiwasallam ki Nabi nahi mante the,la

muhala yeh kisi sahabi ka sher hai,batao wa sher banane waale sahabi MAZ

ALLAH mushrik hai ya nahi,fir Huzur Sallallahualaihiwasallam ne na toh is sher

banane wale ko bura kaha na sher ki majammat ki balki usko gaane se roka q roka?

4 waja se 1) Agar koi humare saamne humari taarif kare toh bataur inkisaar kehte

hai ,are miyan yeh baat chodo,wahi baat karo.yaha b inkisaar hai. 2) yeh ki khel

kud gaane bajane k darmayan naat k ashaar padhne se mumanat farmai , iske liye

adab chahiye . 3) yeh ki Ghaib ki nisbat ko apni taraf karne ko napasand farmaya

4)yeh ki marsiya k darmiyan naat hona a pasand farmaya , jaisa ki aajkal naat

khwa’n karte hai , ki naat wa marsiya ko milakar padhte hai.

Mirkaat se isi hadees k matahet hai ,

Mana Farmaya ilm ki nisbat apni taraf karne ko q ki ilm e ghaib khuda k siwa koi

nahi jaanta aur rasul wahi ghaib jaante ha jo ALLAH batay ya yeh napasand kiya

ki aapka zikr daff bajanae me ya maktulin k marsiya k darmiyan kiya jaye q ki

aapka darja isse aala hai.

Ashiytullama’at me isi hadees k matahet hai “shareheen ne kaha hai ki Huzur

Sallallahualaihiwasallam ka usko mana farmana isliye hai ki isme ilm e ghaib ki

nisbat huzur sallallahualaihiwasallam ki taraf hai , lihaja aapko napasand aai aur

kuch ne farmaya ki aapka zikr shareef khel kood me munasib nahi.

Hadees # 3

Madina paak me ansar baago me nar darakht ki shaak mada darakht me lagate the

taaki fal zyada de , is kaam se ansaar ko Huzur alaihissalam ne mana farmaya(is

kaam ko arbi me talkih kehte hai) Ansar ne talkih chod di , khuda ki shaan fal ghat

gaye , iski shikayat sarkare do aalam ki khidmat me pesh hui , toh farmaya antum

aalamu be umure duniyakum , apne duniyawi mamlat tum khub jaante ho ,

Maalum hua ki aapko yeh ilm na tha ki talkih rokne se fal ghatt jayege aur Ansar

ka ilm aapse zyada saabit hua.

Jawaab : Huzur Alaihissalam ka farman , antum aalamu be umure duniyakum ,

izhare narazi hai ki jab tum sabr nahi karte toh duniyawi muamlaat tum jaano jaise

hum kisi se koi baat kahe aur wah isme kuch ta’ammul kare toh kehte hai bhai tu

jaan! Isse nafi ilm maksud nahi.

Sharah Shifa Mulla Ali Qari “Bahse maujizat” me farmate hai.

Tarjuma : ALLAH Taala ne Huzur Alaihissalam ko tamam dini wa duniyawi

maslehato’n per muttala farmane se khas farmaya , is per yeh aitraaz hai ki Huzur

ne Ansar k darakhto’n ki talkih karte hu paya , toh faramaya ki tum isko chod dete

toh accha tha , unhone chod diya toh kuch fal hi na aaya ya naakis aaya toh

faramaya ki apne duniyawi mamlaat tum jaano , shaikh sanosi ne farmayaki aapne

chaha tha ki unko khilafe aadat kam karke baabe tawakkul tak pahucha dein

unhone na mana ti farama diya ki tum jaano , agar woh yeh maan jaate aur do ek

saal nuksan bardasht kar lete toh is mehnet se bach jaate .

Mulla Ali Qari isi sharah shifa jild 2 safa no. 238 me farmate hai.

Agar woh Hazrat Huzur k farman per saabit rehte toh is fun me faukiyat le jaate

aur un se talkih ki mehnat dur hojati.

“Faslul khitab” me Allama kaisari se nakal farmaya.

Huzur Alaihissalam ke ilm se zamin wa aasman me zarra bhar chiz b poshida nahi

, agarche aap farmate the ki duniyawi kaam tum jaano .

Hazrat Yusuf Alaihissalam ne kabhi kashtkari na ki thi aur na kashtkaro’n ki

sohbat haasil ki magar zaman e kaht aane se pehle hukum diya ki galla khub kasht

karo aur farmaya “fama hasadtum fajruhu fi sumbulehi” , ki jo kuch kaato’n usko

baal hi me rehne do yaani gehu ki hifazat ka tarika sikhaya , aaj bhi galla ko bhuse

me rakh kar uski hifazat karte hai unko kheti baadi ka khufiya raaj kis tarah

maalum hua? Aur faramaya “ijalni ala khazainul-arze inni hafizun aalim” , mujhko

ko zameen k khazano per mukarar kardo me iska muhafiz aur har kaam janne wala

hu , yeh mulki intezaam wagairah kis se sikhe ? toh kya Huzur Alaihissalam ki

danai aur Huzur ka ilm Hazrat Yusuf Alaihissalam se bhi kam hai (MAZ ALLAH )

Hadees # 4

Hadees shareef me hai ki Huazur alaihissalam ne kuch biwiyo’n k ghar shahad

mulahiza farmaya us per Hazrat Aisha ne arz kiya ki Ya Habib ALLAH aapke

dahen paak se magaafir ki buu aa rahi hai toh farmaya ki humne magaafir nahi

istemal farmaya , shahad piya hai , fir huzur ne apne per shahad haram karliya , jis

per yeh aayat utri “lema tuhirrimu ma allahu laka” maalum hua ki aapko apne

dahan paak ki buu ka b ilm na tha ki isse buu aa rahi hai ya nahi .

Jawaab : ska jawaab isi aayat me hai “tabatgi marjaata azwazika” a habib yeh

haram farmana aapki bekhabri se nahi balki un mautreej ajwaaj ki raza k liye hai ,

fir apne muh ki buu ghaib naih mehsus chiz hai har sahi hu dimag mehsus kar leta

hai kya deobandi ambiya k hawas ko bhi naakis manne lage hai .

Hadees # 5

Agar Huzur alaihissalam ko ilm e ghaib tha toh bire mauna ke munafikeen dhoke

se aap se 70 sahaba e ikram kyo’ n le gaye?? Jinhe waha le jaakar shahid kar diya ,

is aafat me unhe Huzur Alaihissalam ne kyo’n fasaya??

Jawaab : Ji ha Huzur Alaihissalam ko yeh bhi khabar thi ki bire mauna wale

munafikeen hai aur yeh bhi khabar thi ki yeh log in 70 sahaba ko shaheed kar

denge , magar saath hi yeh bhi khabar thi marzi e ilahi yehi hai aur un 70 ki

shahadat ka waqt aagaya hai , yeh bhi jaante the ki rab taala ki raza per raazi rehna

bande ki shaan hai , Ibrahim Alaihissalam toh marzi e ilahi paakar farzand per

churi le kar tayar ho gaye , kya yeh begunah per zulm tha?? Balki rajaye maula per

raazi thi , accha batao rab taala ko toh khabar thi ki ghosht me zaher hai , aur bir

mauna waale un 70 ko shaheed kar denge “wahi” bhej kar kyo’n na rok diya ,

ALLAH taala samaj de.

Hadees # 6

Hazrat Siddikatul kubra ka haar ghul ho gaya , jagah jagah talash karaya gaya na

mila , fir oont k niche se baramad hua , agar Huzur Alaihissalam ki ilm tha toh

logo’n ko usi waqt kyo’n na bata diya ki haar waha hai , Maalum hua ki ilm na tha

.

Jawaab : Is hadees se n baatana maalum hua na ki na janna aur na batane se

sekdo’n hikmate hoti toh kuch hazrat ne chand ke ghatne badne ka sabab daryaft

kiya , rab taala ne na bataya , toh kya khuda e paak ko bhi ilm nahi ?? marzi ilahi

yeh thi , ki siddika ka haar ghum ho , musalmaan uski talaash me yaha ruk jaaye ,

zohar ka waqt aajaye paani na mile , tab Huzur alaihissalam se arz kiya jaaye ki ab

kya kare tab yeh aayatein tayammum naazil ho jisse Hazrat siddika ki azmat

qayamat tak k musalmaan maalum kar le ki unke tufail humko tayammum ka

hukum mila , agar usi waqt haar bata diya jaata toh aayat tayammum kyo’n naazil

hoti , rab k kaam asbaab se hote hai , ta’ajub hota hai hai ki jo aankh qayamat tak

ke haalat ko mushahda kare usse oont ke niche ki chizen kis tarah makhfi(chupi)

hai , shaane mehboob alaihissalam pehchanne ki khuda taufik de .

Hadees # 7

Gustakhon ka kehna hai ki Agar Nabi sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib tha

toh unhone Khaibar me zaher wala ghost q khaya????? Aur ilm e ghaib hote hue

zaher wala ghost khaya iska matlab ki aapne khudkushi karne ki koshish ki Jo

Islam me Haram hai aur Haram kaamo se Nabi pakeeza hai..

Jawaab : us waqt Nabi Sallallahualaihiwasallam ko khabar thi k us ghost me Zaher

hai aur saath hi yeh b khabar thi k zaher se un per koi farq nahi padega ALLAH ki

ataa se aur saath hi yeh b pata tha ki ALLAH ki marzi se agar woh ghost khakar

inteqaal hojate toh unhe Shaheed ka maqaam milta.

Yeh Jawaab k baat Deoband likhte hai ki “Un sahabs e kram ka kya jo us waqt

maujud the aur Zaher wala ghosht khakar inteqaal hogaye??? Nabi

Sallallahualaihiwasallam ko pata tha toh unhe zaher wala ghosht khaane diya???

Is per Sunni ka Jawaab from Ahadees :

Abu Dawud, Al-Darimi and bn Hisham likhte hai “Ghosht ne khud Nabi

sallallahualaihiwasallam se kaha ki usme zaher mila hua hai aur Sahabi “Bishr bin

al-Bara' bin Ma'rur al-Ansari (may Allah be pleased with him)” ne ghosht kha liya

aur inteqaal hogaye. Agar Nabi sallallahualaihiwasallam ko pehle se khabar hoti

toh woh sahaba ko ghosht khane se manaa karte.Nabi sallallahualaihiwasallam ek

niwala liya aur fir muh se thuk diya aur aapne farmaya ki “Ghosht ne mujhse kaha

ki usme zaher mila hai” lekin jabtak Bishr as-Sahabi ne kha liya aur inteqaal

hogaye . Imam Nawwawi (may Allah have mercy on him) ne kaha ki yeh ek

Mu’jizat me se hai.

Aur Jaankari k liye Internet pe aap log check kar sakte hai ki Yahood o Nasara aur

Isaai ne b yehi sawaal kiye hai joyeh Gustakh karte hai.

Nabi sallallahualaiwasallam ne zaher wala Ghosht khaya q k Yahudi ne kaha “ ن

Agar yeh Asal NAB hai toh in per Zaher ka asar nahi ”كان نبيا فال يضرہ

hoga.(Sallallahualaihiwasallam)

[Mishkat al masabih, Bab al- mawjizat)

Deoband ur Wahbi ko sochna chahiye ki Yahudi or Isaai ne humare Sarkar

Sallallahualaihiwasallam ko aazmaya hai k zaher asar karega ki nahi.aur isliye

humare sarkar ne yeh mujizat dikhaya.

Sahaba e kram ka inteqaal hogaya q k zaher un pe asar karta hai jo NABI nahi.

Deoband aur wahbi ne is mujizat me yeh note nahi ki jisne humare sarakar

sallallahualaihiwasallam ko aazmaya unhone is k baad Imaan laaye aur Islam

Qabul kiya. [ Al bidaya wan nihaya, vol 3,p 388]

Deoband aur Wahbi ne Hamesha humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam k ilm e

ghaib ko jhutlaya aur yehi saabit karte hai ki NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm

e ghaib nahi(Maz ALLAH)

Alhamdulillah Humne itni AAYAT aur HADEES pesh ki hai Jisse saabit hai ki

ALLAH ne NABI sallallahualaihiwasallam ko ilm e ghaib ataa kiya.

Hadees # 8

Bukhair jild 1 kitabul janaiz safa no. 166 , me Hazrat ummul-ula ki riwayat hai

,Khuda ki qasam me nahi jaanta haalaki me ALLAH ka Rasul hu ki mere saath

kiya jayega.

Isse maalum hua ki Huzur alaihissalam ko apni bhi khabar na thi ki qayamat me

mujh se kya mamla hoga .

Jawaab : Is jagah ilm ki nafi nahi balki diraytan ki nafi hai yaani me apne atkal wa

qyas se nahi jaanta ke mere saath kya mamla hoga balki iska ta’akkul wahi e ilahi

se hai toh a ummul-ula tum jo usman ibne majun ke jannati hone ki gawahi mahaz

qyas se de rahi ho yeh mautbaar nahi .

Isi ghaib ki khabre me toh ambiya e kram bhi qayas nahi farmate , warna mishkat

“Babu fazail dayyadul-muslimeen” me hai ki hum aulade aadam k sardar hai us

roz “liwa-ul-hamd” humare haath me hoga aadam wa aadmiyan humare jhande ke

niche honge unki mutabik kis tarah ki jayegi.

Imamo’n ke Qawl Ilm e Ghaib par

Mufasir # 1

--Imam Ismail al Hiqqi (rah) in Ruh ul Bayan likhte hai

{ذل الى وقت التعليم {ما لم تكن تعلم }بالوحى من اليب وخفيات االمور {وعلم

Tarjuma :ALLAH taala ne Ghaib sikhaya aur chupi hui baate jo pehle na pata thi.

Mufasir # 2

--Imam Khazin (rah) likhte hai –

يعني من أحكام الشرع وأمور الدين وقيل علم من علم اليب ما لم تكن تعلم وقيل {وعلم ما لم تكن تعلم

معناہ وعلم من خفيات األمور وأطلع على ضمائر القلوب وعلم من أحوال المنافقين وكيدھم ما لم تكن

تعلم

Tarjuma :ALLAH ne Nabi sallallahualaihiwasallam ko ahkaam sikhaye aur umoor

e deen sikhaye aur Ilmul Ghaib sikhaya jo aap na jaante the aur yeh b sikhaya jo

Dilo’n me hai aur ahwaal aur munafiqeen ki chalakiyan jo tum nahi jante.

Mufasir # 3

--Imam Jalal ud din Suyuti (rah) likhte hai—

لم ما لم تكن تع من األحكام واليب {وعلم

Tarjuma : ALLAH ne Ahkaam aur ghaib sikahaya.

Mufasir # 4

--Imam Baghwi (rah) likhte --

من علم اليب، :من األحكام، وقيل

Tarjuma : ALLAH ne ahkaam aur ilmul ghaib sikhaya.

Ilm e Ghaib ke khilaf ibarat fukah ke bayan me

1) Fatwa kaaji khwa’n me hai

Tarjuma : kisi ne bagair gawaho’n ke nikah kiya toh mard aur aurat ne kaha

ki humne khuda aur rasul ko gawah kiya , toh logo’n ne kaha hai ki yeh qaul

kufr hai kyo’n ke usne etkad kiya ki Rasul ALLAH alaihissalam ghaib

jaante hai , Halaki aap toh ghaib zindagi me na jaante the che jaaye ki maut

k baad

.2) Sharah fiqhe akbar me Mulla ali qari alaihirrehma farmate hai .

Tarjuma: Hanfiyo’n ne sarahatan zikr kiya ki yeh etkad ki NAB

alaihissalam ghaib jaante the kufr hai kyo’nki yeh aqeeda khudaye paak k us

farmaan ke khilaf hai ki “farma do aasamano aur zameeno ka ghaib khuda

ke siwa koi nahi jaanta”.

n dono barato’n se maalum hua ki Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib

manna kufr hai .

Jawaab : n dono ibarato’n ka ijmali aur iljami jawaab toh yeh hai ki

mukhalifeen bhi Huzur Alaihissalam ko kuch ilm e ghaib maante hai , lihaja

woh bhi kaafir hue kyo’nki in ibarato’n me qul ya thoda ka toh zikr nahi ,

yeh hai ki jo bhi Huzur ko ilm e ghaib mane woh kaafir hai , khwa ek ka

maane ya zyada ka , toh woh bhi khair manaye , maulvi ashraf ali sahab ne

“Hifzul imaan” me baccho,paglo aur jaanwaro ko baaz ilm e ghaib maana

hai , Maulvi khalil ahmed sahab ne “Barahine Fatiha” me shaitaan aur

malaqul maut ko wasi ilm e ghaib mana , Maulana qasim sahab ne

“tehzirunnas” me kamal hi kardiya ki saari makhlukaat se Huzur

Alaihissalam ka ilm zyada mana , ab in teeno saahbo’n per kya hukum

lagaya jayega??? Tafseeli jawaab yeh hai kaaji kha’n ki ibaarat me hai

“Qalu” logo’n ne kaha aur kaaji kha’n wagaira fuqha ki aadat yeh hai ki woh

“qalu” us jagah bolte hai jaha’n unko yeh qaul pasand na ho .

Shaami jild 5 safa : 445 me hai.

Ek shaks ne nikah kiya ALLAH wa Rasul ki gawahi se toh nahi jaiz hai

balki kaha gaya ki woh kaafir ho jayega .

Is ibaarat ke matahat shaami ne tatar khaniya se nakal kiya,

Tarjuma : Mooltkit me hai ki woh kaafir na hoga kyo’nki tamam chizen

Huzur Alaihissalam ki rooh per pesh ki jaati hai aur rasul baaz ghaib jaante

hai , rab nefarmaya hai ki pas nahi zaahir farmata apne ghaib per kisi ko

siwaye pasandida rasul ke , me kehta hu ki qutube aqaid me hai ki auliya

ALLAH ki karamatme se baaz ghaibo’n per muttla(bakhabar) hona bhi hai .

Shaami “Baabul-Murtdin” me masla bajajiya zikr farma kar farmaya ,

Tarjuma : Iska khulasa yeh hai ki daawa ilm e ghaib nasse Qurani ke khilaf

hai ki isse kaafir ho gaya , magar jabki isko sarahatan ya dalalatan kisi sabab

ki taraf nisbat kar de , jaise wahi ya ilham.

Mujmeraat me hai ki sahih yeh hai ki woh shaks kaafir na hoga kyo’nki

Ambiya e kiram ghaib jaante hai aur un per chize’n pesh ki jaati hai pas yeh

kufr na hoga.

In ibaarat se maalum hua ki aqeeda e ilm e ghain per fatwa kufr lagana galat

hai balki fuqha ka bhi aqeeda hai ki Huzur Alaihissalam o ilm e ghaib diya

gaya.

Mulla Ali Qari ki ibaarat nakal nahi ki gai , Asal Ibarat yeh jo matlab wazeh

karti hai .

Tarjuma : Fir jaano ki Ambiya e kiram ghaib ki chizo’n ko nahi jaante

siwaye uske jo unko ALLAH ne bata di aur Hanfiyo’n ne tasreeh ki ke jo

NABI Alaihissalam ko ilm e ghaib jaane.

Ab pura matlab maalum hua ki NABI Sallallahualaihiwasallam ko ilm e

ghaib zaati manne ko Mulla ali qari kufr farma rahe hai na ki Ataai , kyo’nki

Ataai ko toh maan rahe hai , aur fir unki ibarate hum suboot ilm e ghaib me

pesh kar chuke hai , ki Mulla ali qari Huzur Sallallahualaihiwasallam ko

tamam “Ma Kaana wa Mayakun” ka ilm maante hai.

Ilm e Ghaib per Akli aitrazaat ke Bayaan me

1) Ilm e Ghaib khuda ki sifat hai isme kisi ko sharik karna shirk fisifat hai

lihaza Huzur Sallallahualaihiwasallam ko ghaib manna shirk hai.

Jawaab : Ghaib janna bhi Khuda ki sifat hai , aur haazir chizo’n ka janna

bhi khuda ki sifat hai , ALIMUL GHAIB WASHHADATE isi tarah sunna ,

dekhna , zinda hona sab khuda ki sifat hai toh agar kisi ko haazir chiz ka ilm

maana ya kisi ko SAMI ya BASIR ya HAY mana har tarah shirk hua , fark

yehi kiya jaata hai ki humara dekhna zinda rehna khuda ke dene se hai aur

haadis hai , khuda ki yeh sifat jaati aur kadeem fir shirk kaisa?? Isi tarah ilm

e ghaib nabi ataai aur haadis aur mutnahi hai , rab ka ilm zaati kadeem aur

qul maalum gair mutnaahiya ka hai , neez yeh shirk ko tum per bhi laazim

hai kyo’nki tum Huzur Alaihissalam ke liye baajan har tarah sharik karna

shirk hai ,aur maulvi Hussain ali sahab da bhachar wale jo Maulvi rashid

ahmed sahab ke khas shagird hai apni kitaab “Balagatul-hairaan” me likhte

hai ki “Khuda ko har waqt makhlukaat ke amaal ka ilm nahi hota balki

bande jab aamal kar lete hai tab ilm hota hai” ab toh ilm e ghaib khuda ki

sifat rahi hi nahi fir kisi ko ilmm ghaib manna shirk kyo’n hoga .

2) Huzur Alaihissalam ko ilm e ghaib kab haasil hua , tum kabhi toh kehte

ho ki Me’raj me katra tapkaya gaya isse ilm eghaib mila aur kabhi kehte

ho ki khwaab me rab ko dekha usne apne daste kudrat Huzur

Alaihissalam ke shaana par rakha jisse tamam uloom haasil hue , kabhi

kehte ho ki Quran tamam chizo’n ka bayan hai isliye Nuzule Quran se

pehle ilm mil chuka tha toh Quran se kya mila , Tehsile haasil Namumkin

hai .

Jawaab : Huzur Alaihissalam ki nafse ilm e ghaib toh wiladat se pehle hi ataa ho

chuka tha kyo’nki aap wiladat se qabal aalam e arwah me Nabi the , aur Nabi kehte

hi usko hai jo Ghaib khabre de magar “Ma kaana wama yakoon” ki takmil shabe

me’raj me hui , lekin yeh tamam uloom e shahudi the ki tamam chizo’n ko nazar se

mushaahida farmaya , fir Quran ne unhi dekhi hui chizo’n ka bayaan farmaya ,

isliye Quran me hai “Fatjalla li qulli shai’in wa araftu” dekhna aur hai bayan kuch

aur , jaise Hazrat Aadam alaihissalam ko paida farma kar unko tamam chizein

dikha di , baad me unke naam bataye , wah mushaahida tha aur yeh bayan , agar

chizein dikhai na gai thi toh “summa arajhoom alal-malaikate” ke kya maana hoga

yaani un chizo’n ko malaika per pesh farmaya , lihaza dono qaul sahi hai , ki

me’raj me bhi ilm mila aur quran se bhi , agar kaha jaaye ki fir nuzul e quran se

fayda kya ? sab baatein toh pehle hi se Huzur ko Maalum thi , batai jaati hai na

Maalum chiz , tohiska jawaab yeh hai ki Nuzul e Quran sirf Huzur Alaihissalam

Ke ilm ke liye nahi hota balki isse hazarha digar fayde hote hote hai , maslan yeh

ki kisi aayat ke Nuzul se pehle uske ahkaam jaari na honge uski tilawat wagairah

na hongi agar Nuzul e Quran Huzur Alaihissalam ke ilm ke liye hai toh baaz soorat

dobar kyo’n naazil hui , tafseer madarik me hai .

Soorah : Fatiha Makki hai aur kaha gaya hai ki madni hai aur sahih tar yeh hai ki

yeh Makki bhi hai aur Madni bhi , awwalan Makkah me Naazil hui fir Madina me .

Mishkat me Hadees me’raj me hai ki Huzur Alaihissalam ko shab e me’raj me 5

namazein aur Surah : Bakra ki aakhri aayat hui , Is hadees ki sharah me Mulla Ali

Qari ne sawaal kiya ki me’raj toh Makka muajjama me hui aur Surah:Bakr Madina

hai fir iski aayat me’raj me kaise ataa hui ?? toh jawaab dete hai .

Khulasa yeh hai ki isme mukarrar hui Huzur Alaihissalam ki taazim aur aapki

ehtamaame shaan ke liye lihaza ALLAH ne us raat bagair waasta Jibrael wahi

farma di .

Is Hadees ke matahet lamhat me hai ,

Shab e me’raj me yeh aayat bagair waaste ke utri fir unko Jibrael ne utara toh

Quran me rakhi gai .

Batao ki 2 baar Nuzl kis liye hua ? Huzur Alaihissalam ko toh pehle Nuzul se ilm

haasil ho chuka tha aur har saal mahe ramzan me Jibrael ameen Huzur

Alaihissalam ko saara Quran sunate .

Mukadhma Nurul-Anwar taarif e Kitaab me hai , Batao yeh Nuzul kyo’n tha balki

Quran se maalum hota hai ki Huzur ko tamam aasamani kitabo’n ka pura ilm tha ,

rab taala farmata hai .

Tarjuma : Yani a ahle kitab tumhare paas humare woh Rasul aa gaye jo tumhari

bahut se chupi hui kitaab ki baato’n ko zaahir farmate hai aur bahut se dar guzar

farmate hai , agar Huzur Alaihissalam ke ilm me saari qutub aasamani nahi toh

unka zaahir farmana ya na farmana kya maani , haqeeqat yeh hai ki Huzur

Alaihissalam awwal hi se quran ke aarif the magar qurani ahkam Nuzul se pehle

jaari na farmaya , isliye Bukhari ki pehli hadees me hai ki Hazrat Jibrael ne gaare

hira me pehli baar aakar arz kiya “ikra” aap padiye , yeh na arz kiya ki fala aayat

padiye aur padho usi se kehte hai jo jaante ho , Huzur Alaihissalam ne farmaya

“ma anaa bekare’in” me nahi padhne wala yaani me toh padhane wala hu ,padh toh

pehle hi liya hai ,lauh e mehfooz me Quran hai aur lauh e mehfooz Huzur

Alaihissalam ke ilm me pehle hi se hai , aap wiladat se pehle Nabi sahbe quran hai

bagair wahi ke Nubuwat kaisi ? Lihaza manna hoga ki qable wiladat hi quran ke

aarif hai .

Aaj bhi bahut bacche haafiz paida hote hai ,Hazrat isa ne paida hote hi farmaya

“Ataaniyal-kitab” rab ne mujhe kitab di .

Maalum hua ki abhi se kitab ko jaante hai , baaz paighambaro’n ke liya farmaya

“aataynahool-hukma sabiyan” , humne unhe bachpan hi se ilm hikmat di , Huzur

ne paida hote hi sajda karke ummat ki shafa’at ki , halaki sajda aur shafa’st hukme

Qurani hai , Gaus paak ne mahe ramzan me Maa ka doodh na piya , yeh Hukum

Qurani hai , Nurl-anwaar ke khutba me khalk ki bahes me hai .

Maalum hua ki Quran per amal karna Huzur Alaihissalam ki paidaishi aadat hai ,

hamesha halima dai ka ek ppistan pak chusa ,dusra bhai k liye choda , yeh adal wa

insaf bhi qurani huum hai , agar ibtida se quran ke aarif nahi toh yeh amal kaise

farma rahe hai .

3 ) Deobandiyo’n ka ek mashur etraaz yeh bhi hai ki tumhari pesh karda aayato’n

ke ummoom se laazim aata hai ki Huzur ka ilm rab ke barabar ho magar tum in

aayato’n me qayamat tak ki qaid lagate hi “Ma lam takun taalam” na toh qayamat

ki qaid hai na “ma kaana” aur “ma yakun” ka zikr , aur ek dafa khas hone se ainda

khususka darwaza khul jaata hai , dekho qutub e usool lihaza humne in aayato’n

me ahkaame shariah ki qaid lagate hai , yaani usse sirf sharai ahkam murad hai .

Jawaab : ska yeh hai ki yaha aayat me takhsis nahi balki akli ist’sana hai kyo’ki

rab ka ilm gair mutnahi hai makhluq ka dimag gair mutnahi uloom nahi le sakta

burhan ibtaale tasalsul wagairah se lihaza mutnahi hoga ,Ahadees se pata laga ki

qayamat tak ki Huzur ne khabar di isliye daawa kiya gaya , ist’sana ka aur hukum

hai takhsis ka hukum dusra , dekho “Akimussalata” se bacche diwana , haiza kharij

hai , yeh takhsis nahi balki ist’sana hai .

Kya Ghaib Ilm hai???

Jawaab :: ALLAH ne Ghaib ko Ilm Qrar dia jo k ALLAH k liye Zaati hai aur baakion k liye ataii ho

skta hai.... dekhain ALLAH farmata hai: ن علمہ وال یحیطون بشیء م "Aur wo nahi patay us k Ilm main se." lekin uss k agay hi ALLAH ne farma dia: االا بماشاء "Magar jitna Wo chahay." Surah BAqrah aayat no. 255 ... iss se saabit hoa k Iss dunya main aisay log ALLAH ki makhlooq main mojood hain jin ko ALLAH apni mansha k mutabik apnay zaati uloom main se ata farmata hai. hamara maslak yeh hai k ALLAH ne apne Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسالم ko roz-e-awwwal se roz-e-Akhir tak ka Ilm dia aur tamam Uloom mandarja Loh-e-Mehfooz neez apni zaat-o-sifaat ki maarfat se muta'aliq boht aur be'shumar Uloom ata farmaye. Jamee Juziyaat-e-Khamsa ka Ilm dia jis main Khas waqt-e-Qayamat ka Ilm bhi shamil hai.... Mufassirin aur Shar'heen ne apne Kalam main iss baat ki tasreeh farma di k Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃعلیہ الصلوۃ uss wakt tak Dunya se tashreef nahi le gye jab tak k ALLAH ne Nabi-e-Paak والسالم .ko Dunya aur Akhrat k tamam Ghayoob na bata diye والسالمAllama Ahmed Saavi Maliki apni “Tafseer-e-Saavi” Jild 4, Page # 245 pe Ayat یسئلونک عن الساعۃ مرسھاk teht farmty hain: وھذا قبل اعالمہ بوقتھا فالینا فی انہ صلی ہللا علیہ وسلم لم یخرج من الدنیا حتی اعلمہ ہللا بجمیع مغیبات الدنعا واآلخرہ ولکن امر بکتم اشیاء منھا کما تقدم“Ye Ayat kareema Huzur ko Waqt-e-Qayamat ka Ilm diye janay se pehle ki hai. Lihaza Ayat Kareema ka mazmoon hargiz iss maslak k khilaf nahi k Huzur us wakt tak Dunya se tashreef nahi le gye jab tak ALLAH ne Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسالم ko Dunya aur Akhrat k tamam Ghayoob na bata diye. Lekin un main se baaz ko chuupanay ka Hukm Huzur ko dia gaya. Jesa k hamari issi kitab main iss per baar baar tambeeh guzri hai.”